awsomeAaj yun mosam nay di jashan-e-muhabbat ki khabar
Phoot kar ronay lagay hain main,muhabbat aur tum
Hum nay junhi kar liyaa mehsoos manzil hai kareeb
Raastay khonay lagay hain main,muhabbat aur tum
Chaand ki kirnon nay hum ko is tareh bosaa diyaa
Devta honay lagay hain main,muhabbat aur tum
Aaj phir mehroomion ki daastanien aorh kar
Khaak mein sonay lagay hain main,muhabbat aur tum
Kho gaye andaz bhi,awaaz bhi, alfaaz bhi
Khamoshi dhondnay lagay hain main,muhabbat aur tum