Maa tere doodh ka haq hum se ada kya hoga

  • Work-from-home

zulqarnain

~ A Man Of Two Ages ~
VIP
Dec 28, 2008
8,004
2,473
113
31
Karachi
maa tere doodh ka haq hum se ada kya hoga

maa tere doodh ka haq hum se ada kya hoga
tu ho naraz to khush hum se khuda kya hoga
yaad hy aaj bhi aey maa wo zamana mera
mujhko school talak chor k aana tera
sard jaroan ki thirikti hoi raaton mein mujhe
maa chupa leti thi tu piyar se baanhoan mein mujhe
garmioan mein mujhe aanchal ki hawa deti thi
poolne phalne ki tu mujhko dua deti thi
raat bhar jaag k seeney pe sulaya tune
khud rahi bhooki magar mujhko khilaya tune
tere jesa kisi aur ka dil kiya hoga
maa tere doodh ka haq hum se ada kya hoga

tujhko allah ne kya khoob sharaf bakhsha hy
zikar qura’an k paaroan mein tera aaya hy
teri azmat ko farishtoan ne salami di hy
yaani valiyoan ne imamoan ne ghulami ki hy
apney betoan k sitam hans k utha leti hy
aur tu hy k inhein phir bhi dua deti hy
hy teri zaat pe allah ki qudrat ko bhi naaz
ho ijazat to parhoon tere aanchal pe namaz
martabey mein koi maa tujhse bada kya hoga
maa tere doodh ka haq humse ada kya hoga

tune aulaad pe kya kuch nahi qurbaan kiya
apni neendien hamen deen apna wo sukh chain diya
log krtey thy agar tujse shikayat meri
jaan pr khel k krti thi hifazat meri
jab koi mujhko sataey to bigar jati thi
mere khatir kabhi jhagrey pe utar jati thi
meri saanson mein tu mojood hy khusboo ban kr
meri raatoan mein chamakti hy tu jugnoo bn kr
tera dil tor k betoan ka bhala kya hoga
maa tere doodh ka haq hum se ada kya hoga

yaad aati hein abhi tak mujhey batein teri
mere roney se chalak jati thin aankhein teri
tu mujhey rota hoa dekh kr ro deti thi
apna sukh chain mere wastey kho deti thi
ye duaein mujhe dedy main sanwar jaonga
tu yunhee roothi rahygi to main mar jaonga
hoga ehsaan galey badh k laga ley mujhko
apni mamta bhari jannat mein chupaley mujhko
yehee aik rstaa hy aur is k siva kya hoga
maa tere doodh ka haq hum se ada kya hoga

teri azmat ko kya barh k farishton ne tawwaf
aur qadam mein ne uthaey teri marzi k khilaf
kitna bad bakht hun farman-e-khuda bhool gaya
main jawaan hotey he ehsaan tera bhool gaya
manta hun k khatakaat,gunahgaar hun main
tu khafa hy to musibat mein giraftaar hun main
mua’af krdey mujhey phir barh k sahara dedy
maa meri doobti kashti ko kinara dedy
warna mujh jesa gunahagaar koi kya hoga
maa tere doodh ka haq hum se ada kya hoga

log bv k liye maa ko bhula detey hein
osk jazbaat ko sooli pe charha detey hein
burhey maa baap k jo kaam nahi aao gey
apni aulaad se tum iska sila paao gey
ye agar bicharey to phir haath kahan aaen gey
rehmatoan ki liye soghaat kahan aaen gey
haan abhi waqt hy maa baap ki khidmat krlo
naikiyaan loot lo or khushyon se daman bharlo
jaeyga bas wohee jannat mein jo maa ka hoga
maa tere doodh ka haq hum se ada kya hoga

wasta adam-o-hawwa ka tujhey deta hun
wasta shah-e-madina ka tujey deta hun
wasta deta hun haider ki shuja’at ka tujhey
wasta fatima zehra ki ibaadat ka tujhey
tu jo khush hogi to khush hongy hussain or hassan
warna veeran raheyga mere jivan ka chaman
aey meri maa tu mera doodh na bakhshey gi agar
aag dozakh ki jalaey gi mujhey reh reh kar
baad marney k zra soch mera kya hoga
maa tere doodh ka haq hum se ada kya hoga

maa ka dil tootey to awaz khuda tak jaey
ye jo roey to farishtoan ko bhi rona aaey
maa k dukh dard ko beta na agar samjhey ga
osko jannat mein khuda bhi nahi janey dey ga
mere aaqa nahi deingy osey jaam-e-kausar
raat din barsey gi allah ki laanat os par
chahey hafiz ho k haaji ya namazi aalam
ese betoan se khuda kese ho raazi aalam
jo bhala hee na kareyga to bhala kya hoga
maa tere doodh ka haq hum se ada kya hoga
tu ho naraz to khush hum se khuda kya hoga

maa aap ko salam!
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Nice sharing....................
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
nice shering...zabar10.................
 
Top