Lesson 4: How To Open,Close and Save Images

  • Work-from-home

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
[SHADOW=1]
Lesson 4: How To Open,Close and Save Images
[/SHADOW]

OPENShortcut key (Ctrl+O)
1-open...png
To open an existing image (From your PC in photoshop), follow these steps:
1.Click File from the Menu Bar.2.Click Open...3.jaha pe aapne image ko save ki hain voh folder Browse kare.4.Click Open or Press Enter.

2-open.png
Open Box mei hain "Files of type" Yaha pe aap jho bhi file format select karenge then usi format k mutabek open box mei Images aapko open hune k lie dekegi, means ager aap waha pe JPG format ko select kerte hain tu open box mei serf JPG format k images show honge,
3- Open.png
aur ager aap PNG format k images open kerna chahte hai so uske lie PNG format pe click kerna hoga, to akser aise buhut se different images type hoti hain aapke PC mei jesse aap photoshop mei open kerna chahte hain ya pir usay open kerte wakt open box mei dekhna chahte hain so eske lie
"types of File" mei All Format ko Select kare jaha pe jitne bhi type k images hain (PNG,JPG,Bitmap,PSD,TIFF,RAW etc) sub open hugi, so aap hamisha yahi format select ker k rakhe.

5-Open.png
Because ek particular type of image k lie aap uska name types of file mei select kersakte hain but generally sabhe images type ko dekhne k lie (For openning) All format Types of file ko select ker k rakhe.

BROWSEShortcute Key (Shift+Ctrl+O)
6-Browse.png
Browse same Open jaisa kaam kerta hain, but fark serf itna hain k jub aap es mei kessi image ko Search kerte hain (Photoshop mei open kerne k lie) then uske saath aur bhi zyada options hote hain means esmei aapko Photo ka full info dekhaya jata hain like ( photo ka naam, photo kaunse Date mei creat hue,Image Format,image width and Height, Mode and Resolution) eske saath kaunse folder mei hain and photo k lie delete ka bhi option bhi hain jho open mei yeh sub options nahin hota so yeh difference hain open and Browse mei.
7-Browse....png

Open As...Shortcut key (alt+Ctrl+O)
8-Open As....png
ye bhi same open he jaisa kaam kerta hain, just way of opening the image is little bit different, jub Open as pe click karenge, "file Format" mei chahe koi bhi file format select hue ho(Like:RAW,JPG,PNG,TIFF,PSD & etc) aapke PC mei maujod sabhe image files ko show kerte hain, means "Open As" mei ager JPG file select ho tu Open Box mei JPG k saath baki jitne bhi image format hain sub show honge, but open nahin honge jub tuk uske khud ki format pe aap select na kare.

9-open as.png
so yeh pahla difference hain k her ek format chahe select hue ho aapko sabhe formats k images show honge jho k open command ka opposite hain and 2nd Difference yeh hain k es mei All Formats ka koi option bhi nahin jho open mei maujood tha.baki same yeh file open kerta hain.

Open Recent:
10-open recent.png
yeh command aapke recently jitne bhi images photoshop mei open hue, usay close kerne k baad phir se yaha se bhi open kersakte hain.

CLOSE Shortcut Key (Ctrl+W)
11-Close.png
yeh aapke open hue image ko photoshop mei close kerti hain.

SAVE Shortcut Key (CATRL+S)
12-Save.png
aapne jho bhi image photoshop mei banaye ho usay save kerti hain image mei.- save box mei file name k jagah pe aapko image ka naam likhna hain jho bhi aapne rakha ho jaise k humne www.Tafreehmela.com likha hain just for an example.

13- Save.png
and Format mei aap image ka format select kersakte hain k kaunse format mei aapko image save kerni hain like:JPG,GIF,PNG etc or pir uske baad aapko save button pe click kerni hain.

SAVE AS Shortcut Key (Shift+Ctrl+S)
14-Save as.png
yeh aapke same save hue Image ko dusre naam pe save kerti hain means k ager aapko ek image ko kahe names pe save kerne ho so this command work for that.Jho bhi question ho aajke lesson se related zaroor pochyega and jho difference hain open images k functions mei, I hope aapko samajh aye hugi but aapko yeh sub serf read kerne mei samajh na ayegi balke practicaly ek baar try kerne se he samajh ayegi. Tommorrow InshAllah Quize Post honge so jho bhi pochna hain kal k quize se pahlay poch sakte hain else get ready for the answers.
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
masha Allah aaj ka lesson bhi bohot ache se samajh aaya

ek sawal tha kya hame browse se kuch faidah hai yane uske details dekh kar open karne se ?
aur konse type ke image me kaam karna zyada behtar hai jaise jpg png psd bitmap ?
aur hamne dekha hai ke jab psd me save karte hain to wo zyada jagah leta hai banisbat dusron ke to isko thora wazeh kijiye :)

jazakallah khair
 
Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
thx for teaching sabah per mujhe fursat hi nahi ho rahi aajkal jo dhyan se parhoon ise ho jaye fursat to phir baith ke seekhoongi ise...:(
 
MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
masha Allah aaj ka lesson bhi bohot ache se samajh aaya

ek sawal tha kya hame browse se kuch faidah hai yane uske details dekh kar open karne se ?
aur konse type ke image me kaam karna zyada behtar hai jaise jpg png psd bitmap ?
aur hamne dekha hai ke jab psd me save karte hain to wo zyada jagah leta hai banisbat dusron ke to isko thora wazeh kijiye :)

jazakallah khair

kyun k Sabah absent hain toh apke question ka jawab mein de rahe hon

*Browse aur Open men zyada fark nahi...
Zyadatar kaam k asani k lie Open se hi mustafeed hote hain
Just yeh hota hain k Browse karne se image k sare detailz saath ate hai (image type n image size etc)

* image type toh PNG aur JPG mein save karna chahiye
PSD toh photoshp image hote hain....
agar PSD mein koi image save kare toh jab open karnegay woh image toh Photoshop page mein open hogi aur us mein later changes bhi la sakte hain....
lekin agar forum ya kahi aur Image ko upload karna hain toh sab se acha JPG image simple n smart hain:)

hope mein apko samjha payen hon
phr bhi nahi samjhe toh app poch sakte hai....:)
 
MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
alright guyz...:p

agar yeh sab lessons aap rozana Photoshop mein try kare
toh aap jaldi seekh sakte hai aur phr yeh lessons bhoolengay bhi nahi....

so try these step wheneva u have time....
 
yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
Nice MSC, well done

in simply JPG, PNG and GIF and web compatible images, PSD is basically extension of the photoshop and editable..., whereas bitmap is also bit heavy image as compare to above said like JPG, PNG and GIF, so didn't use on web....

kyun k Sabah absent hain toh apke question ka jawab mein de rahe hon

*Browse aur Open men zyada fark nahi...
Zyadatar kaam k asani k lie Open se hi mustafeed hote hain
Just yeh hota hain k Browse karne se image k sare detailz saath ate hai (image type n image size etc)

* image type toh PNG aur JPG mein save karna chahiye
PSD toh photoshp image hote hain....
agar PSD mein koi image save kare toh jab open karnegay woh image toh Photoshop page mein open hogi aur us mein later changes bhi la sakte hain....
lekin agar forum ya kahi aur Image ko upload karna hain toh sab se acha JPG image simple n smart hain:)

hope mein apko samjha payen hon
phr bhi nahi samjhe toh app poch sakte hai....:)
 
  • Like
Reactions: hoorain

jazakallah :)
jee achi tarah se samajh me agaya aur shukriya ke apne Sabah ki gair haziri me unki help kiye

psd editable hai to kya JPG aur dusre nahi hain ye bhi to save karne ke baad edit hosakte hain ?
 
Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Assalam o alaikum sabah.
alhamdulillah aajka lesson bhi acche se samajh aagaya.
mashaAllah se aapne itne acche method se samjhaya k sawal hi paida nahi hota.
main inshaAllah quiz keliye tayyar hon.{(running)}
 
MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...

jazakallah :)
jee achi tarah se samajh me agaya aur shukriya ke apne Sabah ki gair haziri me unki help kiye

psd editable hai to kya JPG aur dusre nahi hain ye bhi to save karne ke baad edit hosakte hain ?
agar kisi image mein baad mein changes lane ho toh app PSD mein save kare...
lekin khayal rake k PSD image agar save karna ho to layers ko merge na kare kyun k phr changes nahi la payengay like layers lock hojaeyngay

simply Sirf PSD editable hain JPG n PNG nahi hian editable
later agar koi changes lane ho toh app Image ko PSD mein save kare
aur jab image complete hojae toh phr JPG n PNG mein SAVE AS kar sakte hain.....
aur GIF sirf animated image k lie use hote hain....

got my point???
 
jee samajh gaye ham khud se try karenge phir kuch puchna ho to yahan puchlenge inshaAllah :)
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar

jazakallah :)
jee achi tarah se samajh me agaya aur shukriya ke apne Sabah ki gair haziri me unki help kiye

psd editable hai to kya JPG aur dusre nahi hain ye bhi to save karne ke baad edit hosakte hain ?
Sana ne kafi ache se samjhaya, thanks to her... but pir bhi yaha pe jho thora confusion hain let me clear it.
PSD ka kaam kuch u hain k:
aap kessi image ko design kerte hain like for magazine cover jeske lie kafi time and sochne k lie idea ki zaroorat huti hain, jub edit kare and time kum ho and jaha tuk edit kiye chahte hain k waha tuk yeh save rahe baki changes kal karenge kuch new idea k saath and eske saath old banaye gaye changes mei ager kuch remove kerna ho tu voh bhi simple removeable ho tu uske lie hain PSD, but ager aise he JPG mei save karenge tu voh sabhi changes k layers merge hoker image k zerye save hugi jesse aap baad mei edit nahin kersakte.. so eslie PSD mei save kerne se pahlay serf changes ko for a particular time tuk save rakne k lie use kerte hai jess mei aapke sabhe changes same save rahti hain jub chaho changes lao jub tuk k aapka image complete na hue ho and jub aapne socha k changes complete hugae hain then aap usay save karenge JPG mei. tu eslie yeh photoshop format PSD use huti hain for such help. but JPG editable hain just for copy paste aisa nahin k copy paste k baghair ager us mei koi text ya image ka layer photoshop mei open ker k easily move kersakte so its not possible with other type of images except PSD.
 
  • Like
Reactions: Deep Silence

bohot bohot shukriya :)
jee ache se samajh me agaya hai
jazakallah khair
 
Top