Lesson 3: Creating A New Image

  • Work-from-home

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar

[SHADOW=1]Lesson 3: File Menu (Creating A New Image)[/SHADOW]​
Asalam-o-alaikum and a very Good Morning everyone, Shukar hain aaj lights ka itna masla nahin hain tu ache se class ko shoro kersakte hain so lets start the lesson.Aaj hum apko seekhane ja rahe hain k New Image (Blank) Photoshop mei kaise banate hain means aaj hum file jho k start up hain Photoshop ki voh study karenge:
[SHADOW=1]File>New[/SHADOW]NEWShortcut key (Ctrl+N)
New.png
1: Click File from the menu Bar.2:Click New jaha pe ek dialouge box open hujayegi jho kuch aisa dekhega.
New 1.png

Name:- es dialouge Box mei Name k jagah pe aap apna image ka naam likh sakte ho jho bhi aap chahe ya phir usay Untitled bhi rak sakte hain so aap pe depend kerta hain, maybe baad mei ager naam rakna ho tu Save kerne k time mei aap Name Desakte hain.
Image Size:-
Image Size.png
yaha pe jitna aapke image ka size banega voh likha hua hota hai, preset size mei jitne size k aap select kerte rahenge yaha pe uske size aapko likhe jayegi.
Preset size:-
Preset Size.png
yaha pe apke lie already determined Image sizes hain jho koi bhi size pe aap click kersakte hain baki ager aap khud aapne idea k mutabek koi size dena chahte hain then uske lie apko preset size mei custom pe click ker k width and height mei aapne passand k size likhne hugi, width and height k side pe apko box diye gaye hain jaha pe measurement units hain jess mei aapko image ki size by pixle,inches,meters or milimeters select kerne hain. Photoshop mei Basicly pixles he select huti hain so I also Select Pixel.
Resolution:-
Custome size and resolution.png
allows you to set the image resolution. generally resolution 72 ppi (pixles,inches) huti hain for internet Best Quality images but kessi image ko print kerne k lie es se bhi higher size k resolution raksakte hain so it depends on you.

Mode:
Mode.png
yeh Image k color mode ko deffine kerti hain jho image ka standerd mode hamisha RGB (Red,Green,Blue) huti hain but yaha pe aapke lie aur bhi options hain apply kerne k lie jho aap apni image mei apply kersakte hain but yaad rahe Photoshop mei RGB images he Hamisha editable huti hain, jub k yeh baki Mode sometimes lock hute hain jes mei koi changes nahin lasakte but jub usay hum RGB mei convert kare, tu he edit kersakte hain so hamisha RGB mode he use kiya kare khaas ker jub kuch edit ya design kerni ho tu..

Contents:-
Content.png
yeh background se related command hain yaha pe apko 3 options diye gaye hain aapke image k background k lie.
white- esay select ker k aapka background color white hoga.

white.png
Transparent- jho k animated images and GIF images k lie mostly use huti hain es se aapka background Trans hoga.
Transparent.png
Background color- yeh jho color apke tool box k background mei select hue ho usay color k image aapke background mei dekegi.
background color.png
Note:- difference between white background and Transparent: transparent mei kio k image ka background transparent hota hain tu voh ager kessi bhi website pe ya page pe aap post karenge voh image usay website k background ki color legi, chahe voh site black theme mei ho ya koi aur different color mei,
transparent page.png
but white background ka aap kessi bhi website pe post karenge then uska Background white he show hugi.
white page.png
es images mei buss aapko example show jer rahe hu both ki so en donu k difference eslie bayan ker rahe hu because mostly transparent backgrounds white color mei dekte hain just kio k mostly web pages k color white hote hai tu eslie ta k aap jaan sake k they both are not the same so yeh procedure aapko likha yaha pe, aur ek baat dehan mei rahe k transparent background images and animated images hamisha GIF or Transparent sometimes PNG image type mei bhi save huti hain and white and other colored background baki types like:pNG,JPEG,BITMAP etc mei save huti hain.
RGB:jaise k image mode mei RGB ka zikr kiya so RGB is the abbreviation of Red,Green and Blue and yeh primary Colors kah late hain and primary colors are sets of colors jess k combination se ek usefull range of colors bante hain and bellow is an example of primary color:


Thats All for todoy Screenshots k wajah se page kuch zyada wide dekh raha hain but its a very simply lesson aap serf dekhe nahin balke ache se padhe and Photoshop mei ek bar try be kare jho bhi samajh na aye Iam here to answer InshAllah :)
 

Attachments

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
masha Allah jitna bhi abhi tak apne samjhaya hai achi tarah samajhme agaya Alhamdulillah :)

ek sawal tha kya ham background colour start me set karsakte hain ya phir zaroorat ke hisabse baad me bhi usko badal sakte hain ?
 
  • Like
Reactions: nrbhayo and Sabah

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
walikum salam
:)
quite informative
:-bd
gr8 job sis keep it up
:)
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Walaikum Salam Sabah Sisssssssssssssss
Jazak Allah khair
Bahut acche se apne samjhaya....Really a good Teacher
Din ba din ap meri Fav banti jarahi ho....................{(confuse)}
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
walaikum assalam sabah.:)
alhamdulillah aajka lesson bhi theek se samajh aagaya.
aapne jo itne acche se samjhaya.mashaAllah.thnks.
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

NamaL

Super Star
Nov 18, 2010
8,506
3,891
1,313
walaikum salam
very useful infomation
gr88888888888 job
aap toe waqaiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii
bht achi teacher han
nice sisooooooooooooooo
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
masha Allah jitna bhi abhi tak apne samjhaya hai achi tarah samajhme agaya Alhamdulillah :)

ek sawal tha kya ham background colour start me set karsakte hain ya phir zaroorat ke hisabse baad me bhi usko badal sakte hain ?
aapke sawalo se maloom hota hain aap ache se sub read ker rahe ho.. :)
ji ofcours aap baad mei bhi color badal sakte hain and InshAllah week k last mei ek review video create karenge and un mei aapke same sawal ko apply ker k show karenge jho easy hain, aap abhi khud bhi try kersakte hain ek baar..
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

aapke sawalo se maloom hota hain aap ache se sub read ker rahe ho.. :)
ji ofcours aap baad mei bhi color badal sakte hain and InshAllah week k last mei ek review video create karenge and un mei aapke same sawal ko apply ker k show karenge jho easy hain, aap abhi khud bhi try kersakte hain ek baar..
shukran :)
jee puri koshish kar rahe hain apke har lesson ko ache se read karne ki
aap khud itni mehnat kar rahe ho ham sab ke liye
Allah apko jazaye khair de Aameen
 
  • Like
Reactions: nrbhayo and Sabah

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Walaikum Salam Sabah Sisssssssssssssss
Jazak Allah khair
Bahut acche se apne samjhaya....Really a good Teacher
Din ba din ap meri Fav banti jarahi ho....................{(confuse)}
Oh thats Great.. thank you :)

walaikum assalam sabah.:)
alhamdulillah aajka lesson bhi theek se samajh aagaya.
aapne jo itne acche se samjhaya.mashaAllah.thnks.
achi baat hain, aapko ager kuch smaajh na aye tu poch sakte hain InshAllah puray koshish karenge samajh ne ki :)

walaikum salam
very useful infomation
gr88888888888 job
aap toe waqaiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii
bht achi teacher han
nice sisooooooooooooooo
acha ji.. shukriya :)
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar


shukran :)
jee puri koshish kar rahe hain apke har lesson ko ache se read karne ki
aap khud itni mehnat kar rahe ho ham sab ke liye
Allah apko jazaye khair de Aameen
Ameen...Allah aur likhne ki taqat de (Aameen) :) buss aap dua mei yaad rakyega hamisha...
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Sabah siso main thora busy hon likan pher bhi koshish ker kay thora thora sekh reha hon ,, thanx sabah siso.
Bro aap confuse na ho aram se kaam bhi kare and ache se lesson k reviews bhi kare abhi tuk jho lessons post hue they are not that much complicated aap kabhi bhi chaho parh sakte hain koi problem nahin take your time :) and jho bhi samajh na aye zaroor pochyega...
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Sorry Sabah for my absence in ur classes . i m very busy in these days suddenly kuch tender aagaye hain un ko fill up karna par raha hai and tonight i stay at office for this matter hope u dont mind main InshaAllah baad main classes theek se read kar ke sub kuch apply karon ga once again sorry :)
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

nrbhayo

Newbie
Nov 23, 2009
111,082
9,732
0
Boht achy teacher , new image to bnaty hi thy , but u ny tmam detail smjha di.. thanx
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Sorry Sabah for my absence in ur classes . i m very busy in these days suddenly kuch tender aagaye hain un ko fill up karna par raha hai and tonight i stay at office for this matter hope u dont mind main InshaAllah baad main classes theek se read kar ke sub kuch apply karon ga once again sorry :)
Koi baat nahin Zee, aap jub bhi free ho review zaroor keryega and yeh lessons simple bhi hain but hosake tu plzz Attendence zaroor lagwaye us se aap logu ki activity mei izafa hoga and it will be noted as class activity...
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Boht achy teacher , new image to bnaty hi thy , but u ny tmam detail smjha di.. thanx
haa new image ager simple se banaye tu buss new image plus size do and ok.. yeh simple tha but es mei jho extra functions the unhe bhi details mei samjhana zaroori hain..
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top