Lab e dildaar se koi sada

  • Work-from-home

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Wahhhhhh Saif bohot hi zabardassstttttt likha hai aapne..
Bohot din baad likha isliye improvement aayi hai kya, ya phir aur bhi bohot saari ghazlen likh kar rakhi hai jo share nahi kiya abi tak:-?

haye ke adaab ne mere bezaar kar diya mujh ko
ishq mein shaamil na haya hoti to kya baat hoti
aakhri baar hi ka sun kar jee na sake hum.....
woh phir se milne ko juda hoti to kya baat hoti
woh maghroor aur hum manaane pe majboor
uski tarah uski yaad bhi khafa hoti to kya baat hoti
Awsome:-bd
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Hmmmm bohot bohot shukria bhai jan

ji bhai aur bhi eik do hain aur yeh to bohot puraani ghazal hai meri

bas maqta aaj change kiya iska pichla achha nahin laga mujhe ;)

khairrrrrrr aapki daad se pata chala ke shayari achhi likhi is dafa mene :p

once again THANKSSSSSSSSSSSSSSSSSS . . .
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
haan g pakka....:)
bs jahan pr app nay likha hay na
"To kia Baat hoti"
baat pr aa k thora atak sa jata hay........
app ko b aisa lgta hay yaa main he atak rahi hoon ghazal parhty hoay?
Nahin mein to nahin atak raha sis
lekin bohot si khaamiyan aisi hoti hain
ashaar mein jo likhne wale ko nahin
pata lagtin magar parhne wale ko pata
lagte hain so aap bata dein isse behetter kuch ;)
 
  • Like
Reactions: *Muskaan*

*Muskaan*

TM Star
May 1, 2012
4,425
1,299
113
Nahin mein to nahin atak raha sis
lekin bohot si khaamiyan aisi hoti hain
ashaar mein jo likhne wale ko nahin
pata lagtin magar parhne wale ko pata
lagte hain so aap bata dein isse behetter kuch ;)
nahi bhai.....agar app nahi atak rhy to phir mujh say he theek say nahi parhi jaa rahi ho ge:)
 

*Muskaan*

TM Star
May 1, 2012
4,425
1,299
113
:mad:

Hogi wogi ko chhorein aur seedhe se bataayen ke iske jageh kya behetter hoga . . .
bhai jo b hay fillhaal to mujhy b samajh nahi aarhi k isay kesy set krna hay....
par jesy app nay likhi hay wesy sab ko theek lag rahi hay to phir theek he hay
awain tension lay rhy ho;))
 

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
waah waah ap jese shayari my b karta tu kia baat huti waah :p

ishq mein shaamil na haya hoti to kya baat hoti
bhaai is pr kch bolna chahunga ishq me haya huti kahan hy ? haya to muhabbat me huti hy ishq aur muhabbat me bht fark hy
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
waah waah ap jese shayari my b karta tu kia baat huti waah :p

ishq mein shaamil na haya hoti to kya baat hoti
bhaai is pr kch bolna chahunga ishq me haya huti kahan hy ? haya to muhabbat me huti hy ishq aur muhabbat me bht fark hy
Hahha insha'ALLAH aap bhi shayar ban jaaoge Ameen Sum Ameen

bhai ishq mohabbat aur pyaar pe bohot likhe hum ALHAMDULILLAH

aur ALHAMDULILLAH yaar ishq bhi pakeezgi se hoti hai

jo be hayaiy se ho use fahashi kehte hain ishq mohabbat ya pyar nahin kehte . . .
 

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
Assalamo alaikum TM kaafi waqt baad apni koi shayari
manzar e TM per la ker aap doston ki khidmat mein peish
kar raha hoon insha'ALLAH aap sub ko pasand aayegi
Lab e dildaar se
Lab dildaar se koi sada hoti to kya baat hoti
aur woh aashiqi ki wajah hoti to kya baat hoti
jiske hawaale dil hum ne apna kar diya tha
use bhi hum se umeed zara hoti to kya baat hoti
haye ke adaab ne mere bezaar kar diya mujh ko
ishq mein shaamil na haya hoti to kya baat hoti
aakhri baar hi ka sun kar jee na sake hum.....
woh phir se milne ko juda hoti to kya baat hoti
woh maghroor aur hum manaane pe majboor
uski tarah uski yaad bhi khafa hoti to kya baat hoti
yeh bin uske jeete rehna to naam e zindagi nahin ke
us per yeh zindagi meri fana hoti to kya baat hoti
saza bewafaon sa diya gaya humein taa umer ChiragH
gar jana me ishq parakhne ki ada hoti to kya baat hoti
***S_ChiragH***
walaikum assalam
ahan kya baat hai bro:) itne din jo ghayeb tou ye ghazal likhne main masrooof the hmmmmm:p
ek aur umda ghazal by you:) likhte rahiye
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH
Top