Kya Jis Masjid Me Qabar Ho Usme Namaz Jayaz Hai ?
Kya buzurgon ki Qabar ko masjid bana na wahan ibadat karna jaiz hai,
aaj kal dekha jata hai k takreeban masajid me kisi na kisi buzurg ki qabar hoti hai aur loog usko taazeem karte hain aur to aur wahan fateha aur duayen mangi jati hain issi tarah dargahon ko bhi loog ibadat gaah bana liye hain aur wahan chadhawe chadaren aur mela bhi lagta hai aurton aur mardon ka maqloot hota hai
kya ye sari cheezen shariat me jayez hai,
aaj ham har taraf peete jaare hain har jage dhutkare jaa rahe hain hamari kahin koi khiar nahi kahin izzat nahi kya ye sab khud hamare amaal ka sabab nahi ?
kya hame ye qabron ko us tarah mita na nahi chahiye jis tarah Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam k hukm kar hazrat Ali r.a ne mita diya tha
kya ham apni masjidon se in qabron ko saaf nahi karen
kya ham dargahon darbaron ko apni ibadat gaah na banate huye unko khatam na karen
kya koi in sare sawalon ka jawab dega ?