Kuch Logon Se Allah Bohat Pyar Krta Hai.............

  • Work-from-home

MuftiSaeed

Regular Member
Dec 26, 2013
124
86
528
New York, New York
Assalaam O Alaikum,

Praise Be To Allah

Ek maan ke 2 bete hein, ek fermaberdaar hai aur doosra nafermaan, leking dono bete hein. Kya maan chaahti hai jo nafermaan hai wo merjaaye? nahin bilkul nahin. Balke dono ko khilaye gi same, pehnaye gi same. Isi tara Allah ki nazar mein sab ek jese hein.

Behshak gungaar ho yaan no ho, pyar dono keliye sae hai. negative soch shaitan ki terf se hai. Kasoor hamara hota hai lekin ungli Allah per uth ti hai. K Allah naik logo ko ziada pyar kerta hai. Ghalat hai, Allah ki zaat nirali hai us jesa kuch bhi nahin. hamen us ke message ki sahi samjh nahin.

Us ki nazr mein gunegaar wo nahin jo gunah kerta hai, gunegaar wo hai. jo gunah per urta hai aur ziddi aur apni baat se murta nahin.

Example

Jab Allah ne iblees aur farishton se kaha, adam ki accept karo, sab ne kiyya iblees nahin kiyya balke upper se justifications dena shroo kerdi, lekin yeh soch ker k kainaat banane waale ne hukkam kiyya hai baghair logic pesh kiyye jhuk jaana chaahiye tha, wo jhuka nahin balke details dena shroo kerdiya zid per urr gya, ulta gussa dikhaya aur dat gya jhukne ki bajaaye. Baat maan ne ki bajaaye. Isi baat per Allah ne kaha to dafa hoja tu is laik nahin hidaayat ke. Lekin us ne akkar na chori aur ulta Allah se kaha, Tu ne mujhe gumra kiyya hai, kyonke tu mujhe pasand nahin kerta. Phir ulta Allah se kaha, kyonke tu ne mujhe nikala hai, ab dekh main kya kerta hoon insaano ko saath.

Quran 7:16-18

کہا جیسا تو نے مجھے گمراہ کیا ہے میں بھی ضرور ان کی تاک میں تیری سیدھی راہ پر بیٹھوں گا (۱۶) پھر ان کے پاس ان کے آگے ان کے پیچھے ان کے دائیں اور ان کے بائیں سےآؤں گا اور تو اکثر کو ان میں سے شکر گزار نہیں پائے گا (۱۷) فرمایا یہاں سے ذلیل و خوار ہو کر نکل جا جو شخص ان سے تیرا کہا مانے گا میں تم سب کو جہنم میں بھر دوں گا (۱۸)

Her kisi ko dekhna chaahiye khud mein kahin ziddi to nahin, akakr to nahin, kisi baat per urrte t o nahin, kyonke yeh sab shaitani behavior hai, aur iblees ko khush kerne wala hai, wo insaan hidayat ke kabil nahin hota.

Ek muslman ki pehchan aazji haihunbleness, izzat dena pyar dena ikhlaq dena. khud ko nicha rakhna. chaahe samane ummer mein bara ho yaan chota ho, ameer ho yaan fakir ho. Khud mein aajzi hai yaan nahin khud ko pehchaan ne ke liye khud ko test karen.

Kisi bhikaari jis se budboo aarahi ho, phatte kapre hoon, keecher mein betha hoon. Us ko apne haath se khaana khilaa ker dekhe, us ke saath 30 mnts guzzar kere dekhen, us se 1 ghenta baaten kerke dekhen, aap khud ki aazmaish hojaaye gi, kitne Allah se muhabbat kerte hein prophet se muhabbat kerte hein aur sacha ikhlaas hai dil mein. Gale laga ker dekhen, shaed isi per zindgi ke saare gunaah maaf hojaayen aur Allah takdeer mein janant likh de. Hamen sab ko khud ki aazmaish kerni chaahiye, kya wake hi Allah aur rasool se pyar kerte hein.

Insaan kab ziada gunah kerta hai, jab shaitan us ke dil mein daalta hai, tum to gunagar ho, aur bohat aage chale gaye ho ab kya, wo us despression mein aur ker beth ta hai aur door chala jaata hai. Jo insaan strong strong hota hai apne nafs per control kerta hai. kamzor nafs waale ko time lagta hai. Lekin Allah us ko pakka kerdeta hai. Shaitan chaahta hai is ki lagaam khul jaaye, phir insaan itna door nikal jata hai yeh bho ehsaas nahin rehta wo kitna bara gunaah ker raha hai.

Example, ek aam muslman 5 times pray kerta hai lekin jhoot burayee aur milwat dokha kerta hai. aur kehta hai alhamdulillah main 5 wakt namaz perta hoon acha muslman hoon. Doosri terf ek naik insaan ek jhoot bolta hai, wo saari raat Allah ke saamne rote hai, Allah mujhe maaf kerde.

Ferk kya hai dono mein, ferk yeh hota hai. dil ka kuch hissa shaitan ne pakra hota hai aur kicha Allah ki terf hota hai. jitna hassa Allah ki terf hoga, Allah us ke dil mein ehsaas daale ga. jitna hissa shaitan ki terf hoga wo ehsaas nahin hone deta k bura ker raha hai.

Hum kese dil ko paak karen, ziada se ziada naik amal kerna Allah se muhabbat aur rasool se muhabbat kerna, aur ziada se ziada islam ka ilm hasil kerna rasool ki zindgi ko poora perna, taaek sabak mile, jab insana ko kisi gunah ka pata chale fauri tauba kare k ayenda nahin kare da us se himmat hoti hai. Jab himmat milti hai to shaitan ko takleef bher jaati hai.

jitna insaan Allah ki terf jaata hai choti choti gunah se bacvhta ha. Allah us ke haath mein berkat peda kerta hai. Teen chezen shaitan ka hathyar hein. aankh, kaan aur zaban. Aaj kal, wo dekhte hein bekaar mein jo ghalat hai najaiaz aur haram hai, aaj kal ka is baat ka ehsaas bhi khatam hogya hai, ghair mehram dekhna jaiz nahin, lekin sab tv shows dekhte hein. lerkian lerke dekhti hein aur lerke lerkian dekhte hein. dekhna hai to sirf islamic lectures aur Allah ka naam dekho. Phir kaan, Allah ne kaha is mein ghalat na jaaye hum saara din gaane aur gheebat aur bekaar cheezen sunte hein. Burayee kerne wala aur paas bethe burayee sun ne wala dono ko ek hi gunah mile ga. aur zaban, sab se khatarnaak, bekaar baten bolna, gaane gun gunana, galian dena, budtameezi, be ehtraami, gjhaleez napaak baten, baron se budtmeezi, choto se budtameezi, oye oye kerke baat kerni. yeh sab ghalat. Insaan ko tab hidayat mile gi jab in teen cheezon per control kare ga. Jo control anhin ker sakta wo sab se kamzor deemagh wala insaan hai.

Ek gunah hojaaye fauri maafi maango, phir hojaaye phir mango maangte raho, sache dil se tauba karo. Lekin toot jaaye fauri 2 rakah salat tauba paro. Allah ne iblees se kaha tha, mera banda jitni baar gunah kare ga, jitni baar maange ga, maaf kerta rahoon, sirf is waja se shaitan dil mein baat daalta hai, k main bohat gunagaar hoon bohat bura hon meri nahin suni jaaye i. taake insaan Allah ki terf na jaaye.

Lekin Allah hi sirf ek zaat hai, jis ke derwaaze 24 hours her kisi keliye open hein, chaahe wo duniya ka sab se bara bura inssan kyoon na ho, Allah aur gungaar mein sirf ek rakawat hai. Wo hai sajde mein 2 aanoo sache dil se tapka le. "Aye Allah tera gunagaar banda tere paas aaya hai, maaf kerde aayenda nahin karoon ga" bas phir aap araam se so jaaiye.

Ek kissa hai, bani israel ke admi ka, jis ne 99 qatal kiyye, wo ek imam ke paas gya, us imam ne kaha tera gunah maaf nahin hosakta. us qatil ne us ko bhi qatal kerdiya. wo qatil ek aalim ke paas gya jo Allah ka sahi ilm jaanta tha, qatil ne us ko poocha to, aalim ne kaha, haan kyon nahin hosakta, us aalim ne kaha, ek shert per hoga, pehle tauba sachi karo k dubara nahin karo ge. Phir tum yaha se chale jaao esi jaga jahan tumhen acha mahol mile, matlab jahan islam ka sahi ilm seekho. (yehi problem hai, insaan jahan rehta hai ussi ke logo aur molvion se fatwa leta hai, kabhi bahar jaa ker kisi ko contcat nahin kerta masla poochne keliye)

Insaan ka gunaah, asman bhi bher, lekin 2 ansoo sache dil se niklwe hue, Allah maaf kerdeta hai.

Quran 39:53

کہہ دو اے میرے بندو جنہوں نے اپنی جانوں پر ظلم کیا ہے الله کی رحمت سے مایوس نہ ہو بے شک الله سب گناہ بخش دے گا بے شک وہ بخشنے والا رحم والا ہے (۵۳)

Allah is verse mein fermaate hein Prophet (pbuh) se, in logon se keh do, jo log bohat aage ja chuke hein gunnah mein, in se kehdo, itne gunaah ke bawajood bhi, meri rehmat se mayoos na ho. Main sab gunah maaf kerdon ga aur palat aao.

Jis insaan ka imaan pakka ho k Allah her gunaah maaf kerdeta hai aur her gunaah maaf kerne per kaadir hai. to ALlah us ko baksh de ga.

And Allah Knows Best

Assalaam O Alaikum Wa rahmatullah Wa barakatohu

Abu Ammaar Saeed Ahmed

IRFNY.com
 
  • Like
Reactions: Hira_Khan
Top