City KARACHI se LARKANA tak

  • Work-from-home

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Assalam-o-Alaikum Guys.. kuch arsa pehle main aik official tour pe gaya tha SUKKUR & LARKANA apne safar ki details ko main aik article ki surat main aap sub ke sath share kar raaha hon aur main ye Article especially Asma24 ko dedicate kar raha hon aur dil ki gehari se Hans_Mukh bro ka thanks boloon ga jin ki badoolat main har kism ki pareeshani aur mushkil se daur raha aur Sara Cilli Milli ka bhi thanks kahoon ga jis ne is safar ko yadgaar bananey main meri madad ki aur RedRose64 ka shukrya ada karon ga un ki duwaon ke lye jo unhoo ne meri hifazat ke lye mangi thien :)

KARACHI se LARKANA tak

26th May 2012 saturday ki sham thi Al-Mansoor Hotel ye naam sham se baar baar mere zehan main ghoom raha tha, kuch khati meethi yadoon ne gher rakha tha usi main se aik yaad is hotel se juri thi.. Firm ki taraf se mujhe order pass huwa tha ke urgent basis pe mujhe Sukkur Jana hai Jahan kisi se meeting ke baad Monday ko Mujhe Sukkur se Larkana jana tha. youn toe safar ka mujhe bachpan se he shoq tha magar Larkana ka soch kar main inkaar na kar paya hala'n ke wohan pe 47c degree tempreture chal raha tha. dil aur dimagh ki jang jari thi kyon ke dil kehta tha ke pata nahi ye masroof zindagi phir wohan jana naseeb karey na karey is lye mujhe zaroor jana chaye aur dimagh main baar baar 2 din pehle ka waqia chal raha tha jab musafiroon se bhari bus main se urdu speaking, phatan aur panjabioon ko chun chun ke mara gaya tha sirf qoomiat ki base main aur ye waqia interior sindh main he pesh aya tha. khair dil jeet ki huwi aur khuwaish khoof pe ghalib agai. ghar pohanch ke maine apne ghar waloon ko out of city janey ka bataya aur apna traveling bag tayar karna shuro kar dya.
mere sath mera aik cousin bhi ja raha tha kyon ke safar lamba tha is waja se firm ne mujhe kisi aik ko apne sath le janey ki permission de rakhi thi. subha 8 bajey nikalna tha humen magar saturday ki woh raat jaise neend bhi chand ki terha kaheen badloon main chup gai thi sochtey sochtey kab subha huwi pata bhi na chala.. kyon ke safar pehle sukkur ka tha is waja se hum ne daewo se ticket book kye. subha 9 bajey bus ne chalna start kya.. jaise jaise karachi se daur ja raha tha waise waise yadoon ka tanta bandhta ja raha tha agar kisi ne is terha lamba safar kya hai toe woh meri baat bakhoobi samjh sakta hai ke woh yadain kis kism ki hoti hain. side window se dekhte dekhte main mazi main khoo chuka tha itney main announcment huwi ke hyderabad achuka hai 2:15 hours guzar chukey thay. 11:15am pe hum hyderabad main thay. bus ne 10min baad phr se chalna start kya.. ub main jis raste pe safar kar raha tha woh rasta mere lye bilkul new tha kyon ke hyderabad se agey main us route se kabhi nahi gaya tha. jaise jaise hum karachi se daur hotey ja rahey thay garmi ka ehsass honey laga tha full AC bus bhi interior sindh ki garmi ka muqabla nahi kar pa rahi thi. JAMSHORO cross kar dya tha bus ne next station MORO tha jahan pe bus ne stay karna tha 10mins ke lye. itney main mere aik Mohsin ke phone ne mujhe yadoon se thori dair ke lye bahir nikala cell phone dekhne pe pata chala phone kisi aur ka nahi mere har dil aziz bhai HANS MUKH bro ka hai. Sajid bhai se kafi dair tak baat hoti rahi aur woh mujhe Tasali de rahey thay ke un ka banda LARKANA main muntazir hai mera jab main pohnchon mujhe koi mushkil nahi hogi he can arrange each and everything. itney main MORO ka station agaya tha aik baar phr se announcment huwi aur maine mazrat ke sath Sajid bhai se kaha ke kuch dair main karta hon baat.
MORO Station pe utar ke aisa laga ke jaise hum aag main jal rahey hain. ufff itni shadeed garmi thi ke aisa lagta tha koi aag ke goley maar raha ho. AC se bahir akey itni garmi main yahi haal hona tha khair jaldi jaldi hum ne khaney peene ki chezen lien aur wapis Bus main akey beth gaye. namaz ka time huwa tha is waja se bus ne 10mins se zyada ka stay kya 2 bajey bus ne phr se chalna start kya humari agli manzil pe RANI PUR, KHAIRPUR ke station bhi thay magar humari bus ne ub SUKKUR ke station pe he rukna tha. Ranipur jis ka naam kafi suna tha maine bachpan se meri nazar ke samney tha kuch dair main youn toe ye city modern nahi magar historical place ki waja se mashoor hai.. bus se bethe bethe maine kafi pics capture kar lien thien. subha se meri aik dafa bhi ankh nahi lagi thi jab ke mera cousin sota huwa aya tha tamam rastey. kuch he dair main daur daur tak khali medaanon ne itilaah di ke KHAIRPUR aney wala hai aur kuch mins main bus KHAIRPUR main dakhil ho chuki thi. KHAIRPUR se SUKKUR tak ke rastey main aap ko MANGOES aur khas toor se DATES ke betahasha baghaat nazar ayen ge ajab he nazara lag raha tha dil chahta tha ke bus rukwa kar kuch dair in baghaat ki thandi chaoon main guzaroon magar afsoos ye hasrat dil main he rahi.. is waja se maine un yadoon ko picture ki surat main mobile main safe kar lya. 4 baj chukey thay SUKKUR shuro ho chuka tha har taraf sirf DATES ke baghat dikhtey kaheen kaheen choti choti canals nazar atien jo in kheeton aur baghaat ko seerab karney ke lye banai gai thien .. 4:!5 pm pe bus apni pehli manzil yani ke SUKKUR pohanch chuki thi.
Garmi ka ye alam tha ke mera aur cousin ka haal bura huwa jata tha magar shoq -e-safar ne sub kuch balaye taaq rakh ke agla kadam barhaney pe majboor kya tha. jis bandey se meri meeting thi usey maine call kar ke rehne ke lye hotel ka pocha toe us ne mujhe RED CARPET naam ke hotel ka bataya kyon ke sunday ka din tha is waja se us ne HOTEL main akey he milna tha mujhse so maine rikshaw pakra is chotey se safar ke dauraan humara guzar SUKKUR BARRAGE se huwa jis historical place ka naam bachpan se suna tha aur books main jis jagah ki tasveeren dekhta aya tha woh jagah main apni ankhoon se dekh raha tha main bata nahi sakta ke kya feelings thien meri khair 20mins main us RED CARPET HOTEL ke samney tha is HOTEL ke barey main Miss Patar Patar Asma24 ne bataya tha ke yahan ke khaney buhat achey hain magar itefaaq dekhen stay bhi isi hotel main kara hum ne. ROOM NO.4 hum ko alot kya gaya tha. Room main jakey hum ne AC khola thori dair main kuch sukoon mila toe khayal aya hum ne ub tak lunch he nahi kya. khair usi hotel main intercom kar ke hum ne lunch mangwaya aur phir pet ko bhi aram mila. thori dair main jis ne meeting ke lye ana tha woh agaya meeting ke baad main free tha kaheen bhi janey ke lye magar new tha wohan pe is waja se zyada daur na ja saka kuch galian dekhien roads pe ghoma paan ki shop se paan liye.. jo bhi mujhe dekhta tha aise ghoorta tha ke jaise main koi aur makhlooq hon. aik paan waley se pocha bhai ye sub ghoor kyon rahey hain toe us ne kaha aap KARACHI se aaye ho na is waja se main buhat heraan huwa ke in ko bataya nahi toe pata kaise chala khair ye scene toe akhir tak chala ke har kisi ko pata chal jata ke hum KARACHI se aye hain. maghrib ki azan honey wali thi main jaldi jaldi wapis hotel aya. aur phr mera sara waqt bed pe lete aur TV dekhte he guzra thori dair ke lye apne jolly mizaaj se majboor ho ke hotel ke waiters se gappay bhi lagaye maine dinner main hum ne chicken tikka mangwaya jo ke kafi different tha karachi ke chikcen tikkey se. khair Raat ke 2 baj rahey thay aur neend kosson daur thi yadain he yadain thien safar main guzra aik aik lamha aur APNA KARACHI buhat yaad araha tha.
Fajar ki Azan is baat ki naveed de rahi thi ke subha honey wali hai aur sari raat khuli ankhoon se he guzar di maine subha 8 bajey us bandey ne phr se ana tha aur hum ne us ke sath us ke office jana tha LARKANA main. sari raat jagney ki waja se meri subha 7 bajey ankh lag gai woh toe ALLAH ka shukar hai mere cousin ki ankh khul gai warna meri neend toe aisi hai ke jab soo jaon toe koi thapar bhi marey toe ankh na khuley . 8 main se 10 mins kam thay ke us ne mujhe utha ke pocha ke hum ne kab nikalna hai lo ji time dekha toe 10min main hum ne hotel se windup karna tha khair jaldi jaldi uth ke tayari ki phr us bandey ko phone kya toe pata chala ke woh khudh late hai aur hum ko us ne highway pe bulaya ke wohan akey mera wait karna. hum ne sukoon ka sans lya ke kuch time mila pohachney ka.
28th May 2012 monday ki subha 9 bajey hum Larkana ke lye nikal chukey thay Sukkur se Larkana ka safar aik ghantey ka hai MOEN JO DARO waley road se seedha rasta LARKANA ki taraf jata hai. abhi hum us road pe he thay ke dekha road block hai pata chala ke POLICE ne kisi ko pakar lya hai aur us ke ghar waley ehtijaj kar rahey hain aur is chakar main hum aik ghante tak woheen phansey rahey. khair phr thori he dair main hum LARKANA pohanch chukey thay 10:45am pe maine apna pehla kadam us shehar main rakha jahan ki arzoo le kar main aya tha youn toe istiqbaal mera wohan ki garam hawaon ne kya magar kisi ke pass honey ki khushboo bhi sath aai thi aur woh koi aur nahi meri buhat pyari aur stupid si friend ASMA24 ki thi ji han main MISS PATAR PATAR ki city main first time aya tha . AL-MANSOOR hotel ki kahani kya thi woh bhi sunata hon ke aik dafa maine jhoot main ASMA ko kaha tha ke main Larkana main hon aur AL-MANSOOR hotel main stay kya hai ye sub dost se poch ke mazaq main kaha tha maine ASMA ko jo ko ASMA sach samjh bethi aur us waqt ASMA single thi is waja se ye MADAM milney bhi arahi thien shaam main magar humare he aik COUSIN ne bhanda phoor dya tha ke ZEE Larkana main nahi hai. Khair Larkana Medical University woh jagah thi jahan maine jana tha for official work. wohan se jab main farigh huwa toe 12:30 ho chukey thay. kisi chotey se kaam ke silsiley main mujhe market jana para wohan se thori daur he magar wohan pohanch ke meri nazar pari AL-MANSOOR HOTEL pe ye naam kai saloon se zehan main gardish karta tha magar dekha first time tha maine ASMA humari mezbani through SMS kar rahi thi aur buhat si places hum ne dekhien, buhat bhook lagi thi is waja se ASMA ki farmaish pe hum AL-RAFIYA RESTURANT gaye lunch ke lye. lunch ke baad hum ne socha ke abhi buhat time hai kyon na MOENJO DARO bhi dekha jaye aur phr HANS MUKH bro ke friend ke cousin ko maine phone kya jo ke humara muntazir tha woh thori he dair main agaya. kyon ke KARACHI main sea side ki hawa chalti hai is waja se garmi zyada feel nahi hoti magar wohan pe kafi zyada garmi lag rahi thi aur woh larka ASIF humen pedal chala raha tha ASMA se poch ke hum ne SILVER SPOON ka rukh kya jahan ka FALUDA kafi mashoor tha magar qismat kharab nikli aur SILVER SPOON humen band mila. khair wohan se hum MARKET gaye phr maine wohan ki soghaat ke toor pe Aam ki peti li. isi dauran meri BULBUL yani SARA CHILLI MILLI se bhi batain huwien. shehar se daur akey apne shehar ki yadain aur wohan ke logoon ki yadain zyada he barh jati hain.. khair garmi ko dekhte huwe humara MOENJO DARO janey ka program cancel ho gaya aur ASIF ke behad israar pe hum ko us ke ghar pe jana para jaise ke aap logoon ne suna hoga ke Interior Sindh aur Punjab ke log kafi mehmaan nawaz hain so usi terha unhoo ne humare lye lunch ka bandobast kar rakha tha RICE CANAL ke sath he uska ghar tha jis ki dhamkian Mujhe ASMA se milti rehti hain ke wohan mujhe dubayen gi mohtarma. hum lunch kar chukey thay is waja se inkaar kar dya hum ne kuch he dair main SAJID BHAI ka phone aya aur sari safar ki tafseel un ke gosh guzari maine magar humare mezbaan hum se itney naraz honge humen nahi pata tha warna hum wohan lunch zaroor karte ye baat SAJID BHAI se baad main pata chali ke woh mind kar gaye thay. 4:10 bajey tak hum ne wohan pe rest kya phr bari mushkil se ASIF ne humen janey ki ijazat di warna us ka israr tha ke aik din ruk jaon aur us ke kheet aur baghaat waghera dekhon us ke village jaon us ke sath dil toe kehta tha jana chaye magar kyon ke official work se aya tha is waja se wapis jana zaroori tha. khair hum wohan se nikley rikshaw main bethe bethe us ne humen kafi jagahen dikhayen. kyon ke Daewo service LARKANA ke route pe nahi ati is waja se humen ASMA ke mashware pe AL-MADINA coach service ke station pe jana para. bus ki rawangi ka time 5 bajey ka tha jab tak ASIF humarey sath he raha. 5:18 pm pe woh waqt agaya jab udass dil ke sath ASMA aur us ka shehar LARKANA ko Alwidah kehna para. bus start hogai thi aur ub humari Manzil Karachi thi yani wapsi ka safar karna tha.
kuch pics share kar raha hon umeed karta hon pasand ayen gi :)
DAEWO BUS SERVICE KARACHI TO SUKKUR​
MASJID ON HIGHWAY NEW RANIPUR​
MANGOES GARDEN​
RANIPUR CITY​
DESERT IN KHAIRPUR CITY​
MORO CITY DAEWO STATION​
MORO CITY​
KHAIRPUR CITY​
KHAIRPUR TO SUKKUR ROAD​
BEAUTIFUL DATES GARDENS NEAR SUKKUR​
HISTORICAL SUKKUR BARRAGE​
RED CARPET HOTEL, SUKKUR​
SUKKUR CITY​
ROAD BLOCK SUKKUR TO LARKANA ROAD (MOENJO DARO NEAR)​
LARKANA MEDICAL UNIVERSITY ROAD​
LARKANA MEDICAL UNIVERSITY GATE​
AL-MANSOOR HOTEL, LARKANA​
LARKANA​
LARKANA​
AL-RAFIYA HOTEL LARKANA​
RICE CANAL, LARKANA​
LARKANA SCHOOL​
HOSPITAL, LARKANA​
FOR FULL TOUR PICS PLZ CLICK ON THIS MY FACEBOOK ALBUM LINK​
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Wapsi ka safar


AL-MADINA coach ki service kafi kharab lagi mujhe jaisa ke shuro main bataya maine ke halaat theek nahi thay passengers ko marney ka waqia bhi huwa tha magar ye bus har thori dair ke baad ruk jati passengers ke lye magar isi waja se ye faida bhi huwa ke hum ne kafi chotey chotey cities bhi dekhe.. khair ALLAH ALLAH kar ke humari bus chalti rahi. rasta buhat dangerous tha kyon ke driver kafi careless ho ke bus chaltey hain oper se DAKU bhi buhat hain us raste pe jo ke in buses ko loot lete hain har taraf andhera tha sanata aur khamooshi aise main dil tha ke dharak raha tha ke ya ALLAH kheriat se ghar wapis pohanch jayen. magar us dar main bhi aik apna maza tha. adventure na ho safar main toe safar ka maza he nahi rehta.. DADU city se thora pehle phr se rasta block mila humen. subha ki terha same situation thi logoon ne road block kar rakhi thi. raat ke 9:30 bajey thay safar kartey huwe 4 ghante guzar chukey thay magar is waja se hum aik ghante se zyada wohen stay karna par gaya near DADU. jab ye masla solve huwa toe phr rasta buhat kharab mila humen roads buhat kharab thien construction ka kaam jari tha haliaa selaab ki waja se roads toot phoot ka shikar thien. raat ke 11 bajey hum rengtey huwe SEHWAN SHAREEF pohnchey jahan pe bus ne adha ghanta stay kya aur hum ne jaldi jaldi dinner kara wohan se thori dair pehle SAJID bhai ka phone bhi aya tha magar un se zyada baat bhi nahi ho pai mobile ki battery jawab de rahi thi. Raat ke 1:30 bajey thay aur us waqt hum JAMSHORO pohnchey ub bhi takreeban 2 ghante se zyada ka safar baqi tha yani hum KARACHI pohanctey toe raat ke 4 bajey hotey ub aise main humen fikar ho rahi thi ke SUPER HIGHWAY pe humen koi taxi ya rikshaw na mila toe hum kahan jayen ge. Time ka takreeban theek andaza lagaya tha raat ke 4:10mins pe hum apne shehar KARACHI main qadam rakh rahey thay magar ye roshnioon ka shehar hai hum kuch dair ke lye bhooll chukey thay darjanoon taxies wohan pe khari thien hum ne ALLAH ka shukar ada kya aur jaldi se TAXI main beth gaye.. Karachi SUPER HIGHWAY se ghar tak ke is safar main apni city pe be panah pyar aya har taraf ronaq thi kaheen bhi aisa na tha ke bilkul sanata hon. 4:40 am pe hum apne ghar main thay aur youn ye safar muqamal ho chuka tha aur aik hasrat thi jo ke pori ho chuki thi.

Thanks to read friends .. next time main NAWABSHAH ke tour ki detail bhi share karon ga jo ke main is se pehle he gaya tha. aur bataon ga ke pori raat akele kis terha maine station pe full sardi main jaag ke guzari thi :)
BEST REGARDS
ZEE

Don Nelli yoursks Sparkofighter hoorain ~Bahaar~ Pari ~Pari Gul~ Jiya. mirza37

ChEeRfUl>:) Tooba Khan Fa!th star24 Diva Wasif Safi *khushi* *Muskaan* Rubi Qalandar
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalaam bhai pics to saare deikh liye

bohot hi pyaara nazaara laga masha'ALLAH aap ki

photo graphy bhi kamaal ki hai masha'ALLAH

per yeh jitna saara likha huwa ise parhne mein eik do saal lagne hi hain :p
 
  • Like
Reactions: Zee Leo

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Wa'alaikum assalaam bhai pics to saare deikh liye

bohot hi pyaara nazaara laga masha'ALLAH aap ki

photo graphy bhi kamaal ki hai masha'ALLAH

per yeh jitna saara likha huwa ise parhne mein eik do saal lagne hi hain :p
shukrya bhai jaaaaaan :) aur parhney se zyada likhney main time lagta hai janab.. itni mehnat se likha bhi toe hai maine :)
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Fa!th

--> BIRDY ♪♫♩
Hot Shot
Jul 20, 2010
37,229
12,298
1,113
Who Cares....
uffff parh parh k pyass lag gayi :-ss :p

aur tumhare safar ki aik aik details sun k acha laga xD
tume tou journalist hona chahiye tha {(thinkg)}
 
  • Like
Reactions: Zee Leo

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Beautiful and memorable journey u have taken, aur app nay bari detail ma sub kuch clear kiya hy aur mera shukriya ada kerny ki xaroorat nahi, app jaha kahibe aye gay In Shaa Allah hamray chahnay walay app ku xaroor milay ga

Memories always alive


Khush rahay aur Dua'a kertay raha karay k khabi hum be app say mulakaat ker payae , kha yeah mulakaat karachi ma hoo yeah lahore ma
 
  • Like
Reactions: Zee Leo

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Beautiful and memorable journey u have taken, aur app nay bari detail ma sub kuch clear kiya hy aur mera shukriya ada kerny ki xaroorat nahi, app jaha kahibe aye gay In Shaa Allah hamray chahnay walay app ku xaroor milay ga

Memories always alive


Khush rahay aur Dua'a kertay raha karay k khabi hum be app say mulakaat ker payae , kha yeah mulakaat karachi ma hoo yeah lahore ma
shukryaaaaaa bhaiiiiiiiiiiiii aur ye toe meri sub se bari wish main se hai ke aap se mulaqat hoo InshaALLAH :)
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh
Top