jazba-e-ulfat

  • Work-from-home

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
Yeh baat sach hai ke mohabbat marr nahin sakti. Mohabbat woh sada bahar phool hai jo kabhi nahin murjhata, ulfat ke rung kabhi pheeke nahin padhte. Dilon main khuda basta hai, mohabbat ne bhi apne rehne ke liye dil ka mandir chuna. Mohabbat ko khuda ke saath rehne ka sharf hasil hua to woh amar ho gayi……………mohabbat ek zinda javed haqeeqat hai, is ke sabhi dar pyar, khaloos aur insan dosti ki taraf jaate hain. Mohabbat ek musalsal safar ka naam hai, mohabbat kabhi na bhujne wala chiragh hai. Mohabbat kisi cheez ka naam nahin jo khareedi jaa sake, mohabbat ek jazba hai jis main dikhawe naam ki koi cheez nahin. Mohabbat ek shifaf aur nazuk aaina hai jo kabhi jhoot nahin bolta. Aansoo, yaaden, hijar, firaq, vasal, aas, intezar, vichore, tanhayian, khushian, Milan, judayian yeh sab mohabbat ki nishaniyan hain. Mohabbat nass nass main samayi hui ek aag hai, mohabbat ek ujala hai. Mohabbat roshni hai, mohabbat dilon ka qarar hai, mohabbat suroor hai. Mohabbat se dil naya azam , hausla aur himmat paata hai. Mohabbat taaza phoolon ka guldasta hai. Mohabbat rooh ki gehrayion se janam leti hai. Yeh ulfat hi thi jis ne insan ko ashraf-al-makhlooqat banaya tha. Mohabbat, pyar, khuloos, dosti, hamdardi, aur bhai chare ke baghair insan, insan nahin rehta.
 
Top