Javed Akhtar's Poetry Collection

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Jab-Jab Dard Ka Baadal Chaya
Jab Gham Ka Saya Lehraya
Jab Aansoo Palkon Tak Aya
Jab Yeh Tanha Dil Ghabraya
Humne Dil Ko Yeh Samjhaya
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai

Duniya Mein Yunhi Hota Hai
Yeh Jo Gehre Sannaate Hain
Waqt Ne Sabko Hi Baante Hain
Thoda Gham Hai Sabka Kissa
Thodi Dhoop Hai Sabka Hissa
Aankh Teri Bekaar Hi Nam Hai
Har Pal Ek Naya Mausam Hai
Kyun Tu Aise Pal Khota Hai
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Pighle Neelam Sa Behta Ye Sama
Neeli Neeli Si Khamoshiyan
Na Kahin Hai Zameen Na Kahin Aasmaan
Sarsaraati Hui Tehniyaan-Pattiyaan
Keh Rahi Hain Bas Ek Tum Ho Yahan
Bas Main Hoon, Meri Saanse Hain Aur Meri Dhadkane
Aisi Gehraiyaan, Aisi Tanhaiyaan, Aur Main… Sirf Main
Apne Hone Par Mujhko Yakeen Aa Gaya
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
ik baat honthon tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon se hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pahen ke honthon tak aa jaaye woh
Awaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ehsaas hi ehsaas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be awaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chhupta nahin
Yeh jaane kaisa Raaz hai
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Aap Bhi Aaye, Hum Ko Bhi Bulate Rahiye,
Dosti Jurm Nahi, Dost Banate Rahye,
Jahar Pe Jaye Aur Batye Amrit Sabko,
Jakam Bhi Khaye Aur Geet Bhi Gate Rahiye,
Wakt Ne Lut Le Logo Ki Tamannae Bhi,
Khawab Jo Dekhye Auro Ko Dikhate Rahye,
Shakal To Aapke Bhi Jahan Mein Hogi Koi,
Kabhi Jayegi Tasvir, Banate Rahye
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Jab-Jab Dard Ka Baadal Chaya
Jab Gham Ka Saya Lehraya
Jab Aansoo Palkon Tak Aya
Jab Yeh Tanha Dil Ghabraya
Humne Dil Ko Yeh Samjhaya
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai
Duniya Mein Yunhi Hota Hai
Yeh Jo Gehre Sannaate Hain
Waqt Ne Sabko Hi Baante Hain
Thoda Gham Hai Sabka Kissa
Thodi Dhoop Hai Sabka Hissa
Aankh Teri Bekaar Hi Nam Hai
Har Pal Ek Naya Mausam Hai
Kyun Tu Aise Pal Khota Hai
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Ik baat honton tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ahsas hi ahsas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Ye bata de mujhe zindagi
pyar ke reh ke hamasafar
kis tarah ban gaye ajanabi
ye bata de mujhe zindagi
phul q sare murjha gaye
kis liye bujh gai chandani
ye bata de mujhe zindagi
kal jo bahon mein thi
aur nigahon mein thi
ab wo garmi kahan kho gai
na wo andaz hai
na wo aavaz hai
ab wo narmi kahan kho gai
ye bata de mujhe zindagi
bevafa tum nahi
bevafa hum nahi
phir wo jazbat kyon so gaye
pyar tum ko bhi hai
pyar hum ko bhi hai
fasale phir ye kya ho gaye
ye bata de mujhe zindagi
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Ye tera ghar ye mera ghar kisi ko dekhana ho agar
to pahale aake mang meri nazar teri nazar
ye ghar bahut hasin hai
na badalon ke chanv mein na chandani ke ganv mein
na phul jaise raste bane hainis ke vaste
magar ye ghar ajeeb hai zamin ke qaribhai
ye int pattharon ka ghar hamari hasaraton ka ghar
jo chandani nahi to kya ye roshani hai pyar ke
dilon ke phul khil gaye to fikr kya bahar ke
hamare ghar na aayegi kabhi khushi udhar ke
hamari rahaton ka ghar hamari chahaton ka ghar
yahan mahak vafaon ke hai qah-qahon ka arang hai
ye ghar tumhara khwab hai ye ghar meri umang hai
na aarzoo pe qaid hai na hausale par jang hai
hamare hausale ka ghar hamari himmaton ka ghar
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Yahi halat ibtada se rahe
log hum se khafa khafa se rahe
bevafa tum kabhi na the lekin
ye bhi sach hai ki bevafa se rahe
in chiragon mein tel hi kam tha
kyon gila phir hamen hawa se rahe
bahas, shatranj sher mausiqi
tum nahi rahe to ye dilase rahe
usake bandon ko dekhakar kahiye
hamako umeed kya khuda se rahe
zindagi ke sharab mangate ho
hum ko dekho ki pi ke pyase rahe
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Pyar mujhase jo kiya tumane to kya paogi
mere halat ke aandhi mein bikhar jaogi
ranj aur dard ke basti ka main bashinda hun
ye to bas main hun ke is hal mein bhi zinda hun
khwab q dekhun wo kal jisape main sharminda hun
main jo sharminda hua tum bhi to sharamaogi
q mere sath koi aur pareshan rahe
meri duniya hai jo viran to viran rahe
zindagi ka ye safar tumako to aasan rahe
hamasafar mujhko banaogi to pachataogi
ek main kya abhi aayenge divane kitne
abhi gunjege muhabbat ke tarane kitne
zindagi tumako sunayegi fasane kitne
q samajhati ho mujhe bhool nahi paogi
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Sach ye hai bekar hamen gham hota hai
jo chaha tha duniya mein kam hota hai
dhalata suraj phaila jangal rasta gum
hum se pucho kaisa aalam hota hai
gairon ko kab furasat hai dukh dene ke
jab hota hai koi ham-dam hota hai
zakhm to hum ne in aankhon se dekhe hain
logon se sunate hain maraham hota hai
zahan ke shakhon par ashar aa jate hain
jab teri yadon ka mausam hota hai
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
pyar mujhase jo kiya tumane to kya paogi
mere halat ke aandhi mein bikhar jaogi
ranj aur dard ke basti ka main bashinda hun
ye to bas main hun ke is hal mein bhi zinda hun
khwab q dekhun wo kal jisape main sharminda hun
main jo sharminda hua tum bhi to sharamaogi
q mere sath koi aur pareshan rahe
meri duniya hai jo viran to viran rahe
zindagi ka ye safar tumako to aasan rahe
hamasafar mujhko banaogi to pachataogi
ek main kya abhi aayenge divane kitne
abhi gunjege muhabbat ke tarane kitne
zindagi tumako sunayegi fasane kitne
q samajhati ho mujhe bhool nahi paogi
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
mujhko yaqin hai sach kahati thin jo bhi ammi kahati thin
jab mere bachpan ke din the chand mein pariyan rahati thin
ik ye din jab apanon ne bhi hum se rishta tod liya
ik wo din din jab ped ke shakhe,n bojh hamara sahati thin
ik ye din jab lakhon gham aur kal pada hai aansu ka
ik wo din jab ek zara si baat pe nadiyan bahati thin
ik ye din jab sari sadaken ruthi ruthi lagti hain
ik wo din jab ‘ao khelen’ sari galiyan kahati thin
ik ye din jab jagi raten deewaron ko takati hain
ik wo din jab shakhon ke bhi palaken bojhal rahati thin
ik ye din jab zahan mein sari ayyari ke baten hain
ik wo din jab dil mein sari bholi baten rahati thin
ik ye ghar jis ghar mein mera saz-o-saman rehta hai
ik wo ghar jisamen meri budhi nani rahati thin
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
q zindagi ke reh mein majabur ho gae
itane hue karib ki hum dur ho gae
aisa nahi ki hamako koi bhi khushi nahi
lekin ye zindagi to koi zindagi nahi
kyon isake faisale hamen manzur ho gae
paya tumhen to hamako laga tumako kho diya
hum dil pe roe aur ye dil hum pe ro diya
palkon se kvab kyon gire kyon choor ho gae
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Kabhi yun bhi to ho
dariya ka sahil ho
pure chand ke raat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
pariyon ke mahafil ho
koi tumhari baat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
ye narm mulayam thandi havayen
jab ghar se tumhare guzaren
tumhari khushbu churayen
mere ghar le aayen
kabhi yun bhi to ho
suni har manzil ho
koi na mere sath ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
ye badal aisa toot ke barase
mere dil ke tarah milane ko
tumhara dil bhi tarase
tum nikalo ghar se
kabhi yun bhi to ho
tanahai ho, dil ho
bunden ho, barsat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
main ne dil se kaha
ae divane bata
jab se koi mila
tu hai khoya hua
ye kahani hai kya
hai ye kya silasila
ae divane bata
main ne dil se kaha
ae divane bata
dhadakanon mein chupi
kaisi aavaz hai
kaisa ye geet hai
kaisa ye saz hai
kaisi ye baat hai
kaisa ye raz hai
ae divane bata
mere dil ne kaha
jab se koi mila
chand tare fiza
phul bhaunre hawa
ye hasin vadiyan
nila ye aasaman
sab hai jaise naya
mere dil ne kaha
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
phirate hain kab se darbadar ab is nagar ab us nagar
ek dusare ke hamsafar main aur meri aavaragi
na aashana har rahguzar na meharban hai ek nazar
jayen to ab jayen kidhar main aur meri aavaragi
hum bhi kabhi aabad the aise kahan barbad the
bifikr the aazad the masarur the dilshad the
wo chal aisi chal gaya hum bujh gaye dil jal gaya
nikle jala ke apna ghar main aur meri aavaragi
wo mah-e-vash wo mah-e-ruh wo mah-e-kamil hubahu
thin jis ke baten kubaku us se ajab thi guftagu
phir yun hua wo kho gai aur mujh ko zid si ho gai
layenge us ko dhund kar main aur meri aavaragi
ye dil hi tha jo sah gaya wo baat aisi kah gaya
kahane ko phir kya reh gaya ashkon ka dariya bah gaya
jab kah kar wo dilbar gaya tee liye main mar gaya
rote hain us ko raat bhar main aur meri aavaragi
ab gham uthayen kis liye ye dil jalayen kis liye
aansu bahayen kis liye yun jan gavayen kis liye
pesha na ho jis ka sitam dhundenge ab aisa sanam
honge kaheen to kargar main aur meri aavaragi
aasar hain sab khot ke imkan hain sab chot ke
ghar band hain sab kot ke ab khatm hai sab totake
qismat ka sab ye khel hai andher hi andher hai
aise hue hain beasar main aur meri aavaragi
jab hamdam-o-hamraz tha tab aur hi andaz tha
ab soz hai tab saz tha ab sharm hai tab naz tha
ab mujh se ho to ho bhi kya hai sath wo to wo bhi kya
ek behunar ek besabar main aur meri aavaragi
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
jate jate wo mujhe achi nishani de gaya
umr bhar doharaunga aisi kahani de gaya
us se main kuch pa sakun aisi kahan umeed thi
gham bhi wo shayad bara-e-meharabani de gaya
sab havayen le gaya mere samandar ke koi
aur mujh ko ek karati badabani de gaya
khair main pyasa raha par us ne itna to kiya
meri palkon ke kataron ko wo pani de gaya
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Dil mein mahak rahen hain kisi aarzoo ke phul
palkon mein khilane wale hain shayad lahu ke phul
ab tak hai koi baat mujhe yaad harf harf
ab tak main chun raha hun kisi guftagu ke phul
kaliyan chatak rahi thi ki aavaz thi koi
ab tak sama’aton mein hai ik khush-gulu ke phul
mere lahu ka rang hai har nok-e-khar par
sehra mein har taraf hai meri justaju ke phul
divane kal jo log the phoolon ke ishq mein
ab un ke damanon mein bhare hain rafu ke phul
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Dard apanata hai parae kon
kon sunata hai aur sunae kon
kon doharae wo purani bat
gham abhi soya hai jagae kon
wo jo apne hain kya wo apne hain
kon dukh jhele aazamae kon
ab sukun hai to bhulane mein hai
lekin us shakhs ko bhulae kon
aj phir dil hai kuch udas udas
dekhiye aj yaad aae kon
 
Top