Jab har ik sheher balaon ka thikana ban jaye
kya khabar koun kahan kiska nishana ban jaye
ishq khud apne raqeebon ko baham karta hai
hum jise chahein woh jaan e zamana ban jaye
itni shiddat se na mil tu ke judaiy chahein
aur yeh qurbat teri doori ka bahana ban jaye
jo ghazal aaj tere hajr mein likhi hai wo kal
kya khabar ehl e mohabbat ka tarana ban jaye
karta rehta hoon faraham mein zarr e zakhm ke youn
shayad aainda zamanon ka khazana ban jaye
isse barh kar koi inam e hunar kya hai Faraz
apne hi ehed mein ik shaqhs fasana ban jaye