hai yeh Dua meri
kay is EID par
milain tumhain khushiyaan is qader
kay khushiuun say
bhar jaye tumhara ghar
hay ye dua meri
kay is EID par
bohat hanso bohat muskurao tum
jehan jehan jaao
khushiyaan bikhraao tum
hay ye dua meri
kay is EID par
tumhari sab khuwahishain hoon poori
tumhari koi bhe khushi
na rehay adhoori
hay ye dua meri
kay is EID par
tum lago aachi is qader
kat laga nay day tumhain koi nazer
lag jaye tumhain meri umer
hay ye dua meri
kay is EID par
jo armaan hain tumharay dil main
woh saray armaan
pooray ho jayain
hay ye dua meri
kay is EID par
tumharay saray khuwaboon key
tabeer tumhain mil jaye
jo chaho tumhain mil jaye
hay ye dua meri
kay is EID par
meri sari khushiyaan
mil jayain tumhain
aur tumharay saray ghum
ho jayaian meray
hay ye dua meri
kay is EID par.........