*** Islamic QUIZ ***

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
The Hadith referred to, is a good example how reading things out of context would be misleading.

It happened that a group of sahaba 'companions' where invited for a feast in somebodies home. They were all served camel meat, which is halal. Later they all attended Friday prayer. During the Khutba, the prophet noticed that somebody has passed wind, and so he would be too embarrased to stand to renew his wadoo in front of the congregation. To save him the embarassment as well as saving his prayer not to be lost, the prophet commanded all who ate camel meat to renew their wadoo. obviously that man took advantage of this mass renewal of wadoo and escaped embarassment.

by time, the hadith became taken out of context and used by some as a prove that camel meat requires renewing wadoo.
jazakallah lekin aisa to kahin hamne nahi padha hai aur iski daleel bhi apne nahi di
kahir daleel ham apko dete hain

Allah ke Rasul sallellahu alayhi wasallam ka farman hai

نَعَمْ فَتَوَضَّأْ مِنْ لُحُومِ الْإِبِلِ
ہاں ! اونٹ کا گوشت کھانے سے وضوء کر !
صحیح مسلم کتا ب الحیض باب الوضوء من لحوم الابل ح ۳۶۰

aur sahi muslim ki hi ek aur hadees me bhi sahaba ke sawal karne par Allah ke Rasul sallellahu alayhi wasallam ne farmaya ount ka gosht khane ke baad wazoo karo

wallahu aalam

mazeed aap is thread par nazar dalen :)

http://www.tafrehmela.com/islam/173081-ount-ka-gosht.html#post1396662
 
  • Like
Reactions: masoom_se_chahat

Raat ki Rani

Super Star
May 26, 2011
9,376
1,452
413
Asalam_O_alaikum :)
aaj mai yaha ek question pochna chahongi ...
surah-e-fatiha Quran me kio sub surat se pahle aya hain?
 
  • Like
Reactions: saviou

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Asalam_O_alaikum :)
aaj mai yaha ek question pochna chahongi ...
surah-e-fatiha Quran me kio sub surat se pahle aya hain?
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
behna iske naam ke maine agar ham maloom karlen to isme hi hame iska jawab miljayega
fatiha ke maine hain iftetah karna shuru karna yane ye surat quran ki iftetah karti hai yane isse hi quran shuru hota hai to isliye iska naam sure fatiha hai aur isliye ye quran ki sabse pehli suraton me se hain aur sathi hi jis cheez ki badi fazeelat ho uski ahmiat bhi zyada hoti hai waise to quran ki har aayat azmat aur barakat se khali nahi lekin har ek ki apni fazilat hai issi tarah iski fazilat ke banisbat bhi ye pehli surat hai :)

umeed hai wazahat hogayi hogi inshaAllah
agar mazeed kuch maloom karna ho ya aap ko kuch aur puchna ho to puch sakte hain

Allah apko jazaye khair de Aameen
 
  • Like
Reactions: Raat ki Rani

Ameen aur aapko bhi:)
hmm acha samjh gayi...bht bht shukriya bhai:)
ager koi aur sawal ho then zaroor pochongi INSHALLAH
 
Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Nabi kareem saw k aik chacha ne aakhi saans tak islam qabool kia?
Assalam o alaikum mohtaram
aapka sawal sahih se samajh nahi aaya.

laikin nabi(pbuh) k ek chacha abu talib ne aakhri saans tak bhi islam qabool nahi kia tha halanke unho ne Allah k nabi(pbuh) ki bahot madad ki.aur inhi ki waqfat k waqt surat tauba ki ye aayath nazil hui k

بسـم الله الرحمن الرحيـم 0

مَا كَانَ لِلنَّبِيِّ وَالَّذِينَ آمَنُوا أَن يَسْتَغْفِرُوا لِلْمُشْرِكِينَ وَلَوْ كَانُوا أُولِي قُرْبَىٰ مِن بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمْ أَنَّهُمْ أَصْحَابُ الْجَحِيمِ ﴿١١٣
پیغمبر کو اور دوسرے مسلمانوں کو جائز نہیں کہ مشرکین کے لیے مغفرت کی دعا مانگیں اگرچہ وه رشتہدار ہی ہوں اس امر کے ﻇاہر ہوجانے کے بعد کہ یہ لوگ دوزخی ہیں (113)
 
  • Like
Reactions: Raat ki Rani

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
ASSALAMUALIKUM WAREHMATULLAH-E-WABARAKATUHOO

Niaaz karna sahi hai ya nhi?

Wa Alaykum Assalam Wrwb :)

aap ne apna sawal wazeh nahi kiya hai Niaaz se muraad apka mannat mangna ya nazar mangna hi hai ya kuch aur, kiske liye Niaaz karna chahte ho aap isko thora wazeh karen phir bhi ham is par thori roshni dalte hain inshAllah

apko ham Niyaz, Mannat aur Nazar k talluq se batate hain teeno ek hi cheez hai

jis sadqa aur amal ko allah ne apne bandon par zaroori na kiya ho usko khud apne ooper zaroori karne ki qasam ko arabic language me nazr, faarsi me niyaaz, aur urdu me mannat maanna kaha jaata hai
وَمَا أَنفَقْتُم مِّن نَّفَقَةٍ أَوْ نَذَرْتُم مِّن نَّذْرٍ فَإِنَّ اللّهَ يَعْلَمُهُ وَمَا لِلظَّالِمِينَ مِنْ أَنصَارٍ

And whatever you spend for spendings (e.g., in Sadaqah - charity for Allah's Cause) or whatever vow you make, be sure Allah knows it all. And for the Zalimun (wrong-doers) there are no helpers.
( سورة البقرة , Al-Baqara, Chapter #2, Verse #270)

tum jitna kuch kharch karo yane khairat aur jo kuch nazar mano usse Allah tala bakhubi janta hai aur zalimon ka koi madadgaar nahi

Nazar ya mannat ka matlab hai k mera falan kaam hogaya falan ibtela se najat milgayi to main Allah ki rah me itna sadqa karunga, is nazar ka pura karna zaroori hai.

agar kisi nafarmani ya najayaz kaam ki nazar mani hai to uska pura karna zaroori nahi balke usse chor dena chahiye.

Nazar bhi Namaz Roze ki tarah ibadat hai, isliye Allah k siwa kisi aur ke naam ki nazar manna iski ibadat karna hai jo shirk hai, jaise k aaj kal mashoor khabron par nazar niyaz ka ye silsila aam hai
Allah tala is shirk se bachaye Aameen
يُوفُونَ بِالنَّذْرِ وَيَخَافُونَ يَوْماً كَانَ شَرُّهُ مُسْتَطِيراً

They (are those who) fulfil (their) vows, and they fear a Day whose evil will be wide-spreading.
( سورة الإنسان , Al-Insan, Chapter #76, Verse #7)

jo nazar puri karte hain aur is din se darte hain jiski burai charon taraf phail jane wali hai

yane sirf ek Allah ki ibadat o itaat karte hain, nazar bhi mante hain to sirf Allah k liye, aur phir usse pura bhi karte hain

isse maloom hua ke nazar ka pura karna bhi zaroori hai bashart k maasiat na ho

hadees me aata hai jiss shaqs ne nazar maani k wo Allah ki itaat karega wo uski itaat kare aur jisne maasiat ilaahi ki nazar maani hai to wo Allah ki nafarmani na kare yane usse pura na kare ( sahi bukhari kitab ul imaan baab un nazar fil itaat)

aur bhi aayat hain lekin ye do kaafi hain

apko in aayat se wazeh hogaya hoga k nazar jo jayez ho wo puri karni chahiye agar mane hain to agar nazar me apne aisa manga hai jo galat hai gair sharee hai to usse door rehna chahiye

ab kundon ki to koi haqeeqat hi nahi hai agar koi kundon ki mannat manta hai to wo shirk ho ga aur jahannum ka rasta to hame isse door rehna chahiye

mazeet janne ke liye is par nazar dalen

http://www.tafrehmela.com/blogs/saviou/210-kunday-ki-mannat-aur-uski-haqeeqat.html

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
JazaakALLAH khair Nasir bhai
to mea sawal yeh hai ke
siwaye ehl e sunnat aur ehl e tasheeh
ke ehl e hadees ehl e deoband
aur ehl e wahabi niyaz karte hi nahin
kyun???
chand karte hongein per aksariyat mein
nahin kiya karte humaare apne hum
diwaar deobandion ka madrisa hai
niyaz dekhte hi munh pheir dete hain
yeh tak nahin poochhte ke ALLAH ke naam
ka hai kya????
kya firqa wariyat ki aarh mein hum islam se
hi door nahin jaa rahe hain.????
 
Allahi barik feek wa yahdeek :)

bro pehli cheez ke kisi jamat ya kisi maslaq ka naam leke unko target karna hamare hisab se sahi nahi bas aap isharatan kuch bhi puch sakte hain

pehle apko bata den ke ahle sunnat waljamat me ye sab shamil hain siwae ahle tashi ke shayad apko iska ilm na ho

ab rahi baat kuch loog niyaz ko nahi maante to bro ye unka amal hai usse ham us maslaq ko nishana nahi bana sakte jaise hame bhi kayi non muslims sawal karte hain ke sharab islam me haram hai to phir musalman to peete hain to hamara jawab hota hai bilkul islam me ye haram hai lekin apne aap ko musalman keh kar agar koi piye to wo galat hai naa ke islam :)

umeed hai isse apko jawab samajh me agaya hoga :)

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Hmmm bhai aap ne durust farmaya aur unka naam le kar
isliye poochha ke yahaan humare paros mein hain ye
aur inke is harkat pe ghussa aata hai bohot khair
aap ne achha sa jawab diya uske liye shukra

aur ji bilkul jawab samajh me aa gaya hai

aur sum ameen
 
  • Like
Reactions: Qalandar

Qalandar

Active Member
Aug 8, 2011
323
477
63
37

Allahi barik feek wa yahdeek :)

bro pehli cheez ke kisi jamat ya kisi maslaq ka naam leke unko target karna hamare hisab se sahi nahi bas aap isharatan kuch bhi puch sakte hain

pehle apko bata den ke ahle sunnat waljamat me ye sab shamil hain siwae ahle tashi ke shayad apko iska ilm na ho

ab rahi baat kuch loog niyaz ko nahi maante to bro ye unka amal hai usse ham us maslaq ko nishana nahi bana sakte jaise hame bhi kayi non muslims sawal karte hain ke sharab islam me haram hai to phir musalman to peete hain to hamara jawab hota hai bilkul islam me ye haram hai lekin apne aap ko musalman keh kar agar koi piye to wo galat hai naa ke islam :)

umeed hai isse apko jawab samajh me agaya hoga :)

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
سکریہ
سویو کا جواب بالکل درست ہے۔
سب کا تعلق اہل سنت والجماعت یا سواد اعظم سے ہیں سوائے اہل تشیع کے
جیسے ہم سب پاکستانی ہیں لیکن اس میں کئ نیشنل جماعتیں ہیں۔ پھر ان میں کئی نسلی جماعتیں ہیں۔ ظاہر ہے ان میں تھوڑا بہت اختلاف ہوتا ہے ہر ایک کا زاویہ نظریہ کچھ مختلف ہوگا لیکن ملکی آئین میں سب متفق ہونگیں۔
اسی طرح بنیادی طور پر سب اہل سنت ہیں لیکن فروعی معاملات اور چند فروعی مسائل میں اپنا اپنا نقطہ نظر ہے لیکن بنیاد اور بنادی مسائل یا احکام میں تقریبا سب متفق ہیں۔
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Hmmm bhai aap ne durust farmaya aur unka naam le kar
isliye poochha ke yahaan humare paros mein hain ye
aur inke is harkat pe ghussa aata hai bohot khair
aap ne achha sa jawab diya uske liye shukra

aur ji bilkul jawab samajh me aa gaya hai

aur sum ameen
Allah ham sab ko deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
سکریہ
سویو کا جواب بالکل درست ہے۔
سب کا تعلق اہل سنت والجماعت یا سواد اعظم سے ہیں سوائے اہل تشیع کے
جیسے ہم سب پاکستانی ہیں لیکن اس میں کئ نیشنل جماعتیں ہیں۔ پھر ان میں کئی نسلی جماعتیں ہیں۔ ظاہر ہے ان میں تھوڑا بہت اختلاف ہوتا ہے ہر ایک کا زاویہ نظریہ کچھ مختلف ہوگا لیکن ملکی آئین میں سب متفق ہونگیں۔
اسی طرح بنیادی طور پر سب اہل سنت ہیں لیکن فروعی معاملات اور چند فروعی مسائل میں اپنا اپنا نقطہ نظر ہے لیکن بنیاد اور بنادی مسائل یا احکام میں تقریبا سب متفق ہیں۔
aap ka bhi shukriya mohtaram :)
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

Assalam o alaikum mohtaram
aapka sawal sahih se samajh nahi aaya.

laikin nabi(pbuh) k ek chacha abu talib ne aakhri saans tak bhi islam qabool nahi kia tha halanke unho ne Allah k nabi(pbuh) ki bahot madad ki.aur inhi ki waqfat k waqt surat tauba ki ye aayath nazil hui k

بسـم الله الرحمن الرحيـم 0

مَا كَانَ لِلنَّبِيِّ وَالَّذِينَ آمَنُوا أَن يَسْتَغْفِرُوا لِلْمُشْرِكِينَ وَلَوْ كَانُوا أُولِي قُرْبَىٰ مِن بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمْ أَنَّهُمْ أَصْحَابُ الْجَحِيمِ ﴿١١٣
پیغمبر کو اور دوسرے مسلمانوں کو جائز نہیں کہ مشرکین کے لیے مغفرت کی دعا مانگیں اگرچہ وه رشتہدار ہی ہوں اس امر کے ﻇاہر ہوجانے کے بعد کہ یہ لوگ دوزخی ہیں (113)

jazakallah khair mohtaram
hamari gair maujoodgi me aapne is section me bohot kaam kiye hain
 
Top