Is Tarah Aaye Ke Pevast-e-gulu Ho Jaaye

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
tum jo pal ko thehar jaao to ye lamhey bhi
aaney waley lamho.n ki amaanat ban jaayai.n
tum jo thehar jaao to ye raat, mahataab
ye sabzaa, ye gulaab aur hum dono.n ke Khwaab
sab ke sab aise mubahum ho.n k haqeeqat ho jaayai.n
tum thehar jaao k unawan ki tafaseer ho tum
tum se talKhii-e-auqaat kaa mausam badale
raat to kyaa badalegii, haalat to kyaa badalai.ngey
tum jo thehar jaao to merii zaat kaa mausam badale
mahaarbaa.n ho ke na theharo to phir yuu.n thaharo
jaise pal bhar ko koi Khwaab-e-tamannaa thehare
jaise darawaish-e-madaa-nosh k pyaale mai.n kabhi
ek do pal ke liye talKhii-e-duniyaa thehare
thehar jaao ke madaarat maikhaane se
chalate chalate koi ek-aadh subuu ho jaaye
is se pahale ke koi lamhaa aaindaa ka teer
is tarah aaye ke pevast-e-gulu ho jaaye​
 
Top