Is pakistan good country????

  • Work-from-home

amal

Newbie
Sep 9, 2009
124
84
0
i luv ma pakistan ......jin logoon ko pakistan aur pakistanioon se nafrat hy un se mujhe nafrat hy.sare pakistani mil k kaho we luv pakistan.
 

kamran444

TM Star
Jun 24, 2009
4,111
1,984
1,313
35
pakistan Lahore
yes PAKISTN IZ GOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOD ILOVED PALISTAN
 

Prince Ali

Newbie
Sep 21, 2008
2,337
1,043
0
~Khuda Ki Basti~
I'm Proub To Be A Pakistani{(oh0(}
Kitni Asaani se hum yeh chand alfaaz likh dete hain

Nafrat Pakistan se nahi..Pakistan k un chand logo se hai, jo hmare payare watan ko apne paon pr khara hote hue nahi dekh sakte....

Kia ap ko pata hai k ISLAMABAD mein 300 acres pr USA Army Cantt hai........think so bht se logo ko nai pata.........

Aaj kal aik khabar chal rahi hai k 7 lac acre Saudia Arabia ko sale krdijayegi.......
Iss Pak serzameen ko abb bech kr apni zaruriat puri ki jayeingiii

Awam ko pehle b sahuliat nahi mili, abb b nahi mileinge...
yeh to bs Politicians k lye hai........shaid abb mojuda khazane se unn ka mann nahi bharta.....issi lye khazane ko bharne k lye.....yeh sb kia jaraha hai........
Tum apne apne app ko Patriotic khte ho....
jin k samne yeh sarzmeen, jis ko maa b kaha jata hai, bech dia jayega aur yeh patriotism sirf dilo mein reh jayegi....
kia faida aisi patriotism ka.........
Nahi Chahye Mere Pakistan ko Aisi Patriotism

Agar waqai apne mulk se payar hai to
USA Army cantt bahar nikalna hoga...
aur
Iss pak Zameen ko bikne se rokna hoga....

Kia Itna payar nai hai k yeh sb krsako........

Nahi, to I Love Pakistan mt kahein, Sirf Dunia ko dikhane k lye
Aaj MUHAMMAD BIN QASIM hota to mein dekhta k Iss Zameen ko bechne ki baat kon krta.........
magr aaahhhh! wo nahi to kia hum Muslmaan nahi....
Humara ALLAH pr Pukhta Imaan nahi.....
Agr hai to Kuch kr dekhana hoga...
Iss Mulk ko khud badlna hoga.......

Warnahum Pakistani kehlwane k laiq hi nahi hain..........

JAPAN, 1945 mein barbaad hone wala mulk, aaj kahan hai........
sirf struggling, Hukumat aur awam ki waja se....
apna khoya hua mukaam hasil kia hai.......
Unn mein Junoon tha, Jazba tha.........
Aur hum mein sirf "I LOVE PAKISTAN" bolne ki himmat hai aur kuch nahi....

{(thinkg)}THINK IT{(thinkg)}

 
  • Like
Reactions: goodfrndz

amal

Newbie
Sep 9, 2009
124
84
0
mr.sadak chap bhai batoon se to aap bilkul sadak chaap nhi lagte .agar sare sadak chaap aap jese hote to aj pakistan ki ye halat na hoti........aur haan aap ne kaha k "luv u pakistan"kehne se acha hy k pakistan k lye kuch kar dikhana chahiye...jin me taqat nhi hoti wo sirf dua kar sakte hain.....aur dua se badi aur koi taqat nhi hoti........is lye hum sirf "Dua" aur "luv u pakistan"k allawa kuch nhi kar sakte par aap ki har baat se mai sahmat hoon .ek bar phir mai yhi kehna chahti hoon!!!
{()|rrPAKISTAN ZINDABAD
{(nix)} PAKISTAN K DUSHMAN MURDABAD
 

Prince Ali

Newbie
Sep 21, 2008
2,337
1,043
0
~Khuda Ki Basti~
{(laugh)}{(laugh)}{(laugh)}

My Dear Dua to hum already krte hain...........magr ap ki bt sun kr bara dukh hua k jin mein taqat nai hoti wo dua kr sakte hain..........U mean k ap koi risk nai le sakte aur na hi himmat hai kuch krne ki........mumkin aur namumkin ap k dimag mein hai, ALLAH k lye kuch be namumkin nahi..........

Shaid ap ne last se nahi parha k japan 1945 mein barbaad hua tha.....
It means k sirf chand logon ne usse yahan tak pohnchaya aur baqi sab ne dua ki..........
Kitni Ajeeb baat hain na........
App bethe raho aur dua krte raho.....Ae Allah mere mooh mein luqma daal do aur khud luqma mooh mein mt dalna.......
agar ap aisa kr sakte ho to.......theek hai mein b beth jata hoon sirf Dua hi krta hoon
"Heela khud krna padta hai, Waseela ALLAH bana deta hai"

Himmat, Lagan aur jazbah ho to kuch b namumkin nahi..........
Hum to wo Qoum hain jo paharoo'n ko cheer kr aage barhne ki himmat rakhte hain.........
Abb hamari himmat hi kahin kho gayi hai..........
Yeh himmat hi wapis laani baqi hai..........

Agar sirf Dua hi kaam krti to Ghazwa-e-Ahzaab mein Hazrat MUHAMMAD (SAWW) khud khundaq khodne mein apne shaba(RA) ki madad na krte....

Kia Khayal hai.....Ap k jawab ka intezar rahega{(thinkg)}
 
Sep 1, 2009
3,166
601
0
Udaas Poor
Sadak Chap aap ki post parh kar dil khush ho gaya.
Magar ab problem yeh hay k sab corrupt ho chukay hain koi
bhi seedhay rastay par aanay ko tayar nahin har koi yeh chahta hay k bus
mera ghar Khoobsorat ho Mulq ki kisi ko parwa nahin.

Main nay bohot say logon ko kehtay suna hay k is Mulq ka khuch nahin ho sakta yahan ka sara system he kharab hay. Jab tak hum khud koshish nahin karain gay system kabhi theek nahin ho ga.

Or rahi bat American Force ki to hamary hukmaran he Begharat hain najanain din main kitnai he Maain kitni he Behnain kitnay he Bozurg or kitnay he mujh jaisay nojawan Baduain detay hon gay.

1947 main bhi Ramazan August main tha, or aaj bhi Ramazan August main hay
farq sirf itna hay k us waqt Qoum ko 1 Mulq ki zaroorat thi
or
aaj Mulq ko 1 Qoum ki zaroorat hay.

Think it

Sab say pehlay Pakistan
 

amal

Newbie
Sep 9, 2009
124
84
0
mai ab bhi yhi kehti hoon k dua se badi aur koi taqat nhi hoti ..hum jaise logoon k hath mai hota to jaan b dete filhal humare lye itna qafi hy k hum apne mulk se pyaar to karte hain magar kuch pakistani kud ko pakistani kehne se b sharmate hain unhe kya kehenge,mai to itna kahongi.
" shame on them"
 

CoOoL

TM Star
Jul 1, 2009
1,267
804
413
Pakistan
Asslam u alikum,

Mr.sadak chaap app ne 100% nahi 1000% baat ke hai mere pass itnay alfaz nahi k app ko daad day sakon,ye hai baat hai ager ek banda roz ek nahi to corription ka 1 % ko bhe khtam karnay ke koshish kare to inshallah ek din sab theek ho jaye ga or dosri baat ek chor ko dosray chor se kabhi ye dar nahi hotta k ye mujhe saza day ga ya burra samjhay ga, ager hum khud theek ho jayen gay to dosray bhe hum ko dekh ker theek honay ke koshish kare gay or koi burra kaam karte howay shrmaye gay.or rahi baat duam ke to Manal app bhe theek kh rahi ho k dua boht bri taqat hai per kaam hum ko start karna hai es ko allah pura karay ga,ager hum system ko change nahi kar saktay to kam az kam khud ko to change kar saktay hain na apnay doston ko or janhan tak humara bs chlta hai ager ek jaga koray ka dhair hai ager hum ye shochay k main akela es ko kaise dour phaik sakta hoon soch kar kuch na karain es se ye behtar hai k es koray se 1 chez utaha kar phaik de jaye aisa hum jari rakhain gay ye dekh ker dosro main bhe himat paida ho ge or inshallah ahisata ahista safai ho jaye ge per time chaye or karna pray ga, main ek baat phir sark chaap ka shukira adda karon ga or inshallah apnay taur per kuch karnay ke koshish bhe, allah hum sab ko sidhi rah per chlanay ke tofeek atta parmaye(Ameen)
 

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
Bhai baat ko aapki 100% theek hai..
laikin aikmasla yeah hai keh hum log haqeeqatan baehiss ho chuke hain.. sub kuch maloom hone ke bawajood chup rehte hain.. majboor haen kuch kar bhee naheen sakte.. keh bhee naheen sakte..
hamaen yeah sab theek karne ke liye khud hee kuch steps lene paren ge.. kuch bold decisions karne paren ge..

iss ke liye we have to take start, take step...
manzil nah mushkil hai or nah hee door hae..

think about it..

Always our beloved Pakistan
 
Top