Imam Kon?

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

bismillah

Newbie
Oct 11, 2008
65
44
0
merey khial se Imam-e-Azam Abu Hanifa Razi allah tallah unho 4 imamon mein se sab se pehle wo imam they jinhon ne firqa-e-Hanafi eijad kiya tha. kyon k merey khial se wo Hazrat Mola ALi razi allah tallah unho ke zamane mein peda huey they jahan tak mujhe maloom hai.
aj dunya bhar ke ahlesunnat ke musalman 4 imamon ki pervi kartey hain.
 
sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
han wo last k dor k hain jo pehlay imaam thay

is ka matlab wo walay imaam nahi( imaam husain)

jahan tak meri information hai imaam hanifa pehlay thay phir unhi k saath doosray imaam jaisay imaam shafi...malik...hanbal...

ye 4 thay

quran-e-paak ki study aur sahab-e-karam ki hayt-e-tayyaba se information hasil karna
phir us par discuss dena apni rai dena

lakin tanqeed nahi kartay thay... kuch farq bhi tha apas ki rai main
unhi ki study se

i think maslak waghaira baad main zor barh gaya tha

us dor k hukumrano nay in sahiban k khilaaf muheem chalai thi jo k hamesha hota hai naik bando k khilaaf mahaaz arai phir un k peechay par gai aur shaheed kar dea
 
Malang009

Banned
Oct 16, 2008
85
13
0
Canada
اسلام علیکم
جو مجتہد تھے وہ کسی کی تقلید نہیں کرتے تھے اس لیے کہ مجتہد کے لیے تقلید نہیں ہے، اور جو غیر مجتہد تھے وہ مجتہدین کی تقلید کرتے تھے،جیسا کہ شاہ ولی اللہ رحمتاللہ لکھتے ہیں۔
کیونکہ صحابہ کے وقت سے مذاہب اربعہ کے ظہور تک لوگوں کا یہی دستور رہا کہ جو عالم مجتہد مل جاتا اس کی تقلید کر لیتے۔(مثلاً مدینہ میں زید بن ثابتؓ اور یمن میں حضرت معاذؓ اور مکہ میں عبداللہ ابن عباسؓ اور دیگر مختلف جگہوں میں مختلف صحابہ کرام اور دیگر مجتہدین کی تقلید شخصی ہوا کرتی تھی۔ )اس پر کسی معتمد علیہ شخصیت نے نکیر نہیں کی اور اگر یہ تقلید باطل ہوتی تو وہ حضرات (صحابہ و تابعین) ضرور نکیر فرماتے۔ (عقد الجید ص29
آگے جا کر فرماتے ہیں:۔۔
اور دوسری صدی کے بعد لوگوں میں متعین مجتہد کی پیروی (یعنی تقلید شخصی) کا رواج ہوا اور بہت کم لوگ ایسے تھے جو کسی خاص مجتہد کے مذہب پر اعتماد نہ رکھتے ہوں۔(یعنی عموماً تقلید شخصی کا رواج ہو گیا) اور یہی طریقہ اس وقت راءج تھا۔( انصاف مع ترجمہ کشاف ص 59

اور پھر فرماتے ہیں
اور یہ مذاہب اربعہ جو مدون و مرتب ہو گے ہیں پوری امت نے یا امت کے معتمد حضرات نے ان حضرات نے ان مذاہب اربعہ مشہورہ کی تقلید کے جواز پر اجماع کر لیا ہے( اور یہ اجماع) آج تک باقی ہے۔
اور پھر فرماتے ہیں
الحاصل ان مجتہدین کے مذہب کے پابندی ایک راز ہے جسکو اللہ تعالیٰ نے علماء کے دلوں میں الہام کیا اور اس پر ان کو متفق کیا ہے وہ تقلید کرنے کی مصلحت اور راز کو جانیں یا نہ جانیں۔( انصاف ص 47

مجتہدین کے مذہب چار میں منحصر ہونے کی ایک ظاہری وجہ یہ بھی ہے کہ آج جسقدر تفصیل کے ساتھ ہر بات اور ہر فصل کے مسایل کتاب الطھارۃ سے کتاب الفراءض تک آیمہ اربعہ کے مذہب میں مدون اور مجتمع ( جمع شدہ) ہیں ان کے علاوہ کسی اور مجتہد کے مسایل نہیں اس لیے امت نے تقلید کو ان ہی آیمہ اربعہ میں منحصر کیا۔
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Good answer malang bhai beshak hum mein (Brelvion/Deobandion) mein ekhtlaf hain laikin jo baat sahi hai woh sahi hai jaisa ke malang bhai ne kaha mein unn say agree hon aur shahid sahib bar bar ek hee Question karna app ki adat hai ya app damagh ke mareez hain ? {(lol)}
 
Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
balkaal aghar kasey k mind main baar baar aik hee sawal araha hai too i think iss ko iss ki baat ka jawab teek na mill raha ho jiss per woh baar baar aik hee sawal kar raha hoo aur i think iss main koi galat baat nahi hai dark bhai
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
TDK saab, agar koi islam k barey mein koi sawal poochna chahta hai to us mein bura kya hai? ilm hasil karna to har shaks ka haq hai.
balkaal aghar kasey k mind main baar baar aik hee sawal araha hai too i think iss ko iss ki baat ka jawab teek na mill raha ho jiss per woh baar baar aik hee sawal kar raha hoo aur i think iss main koi galat baat nahi hai dark bhai

Shahid Nazeer Sahib sirf Fiqh Hanafi per Tanqeedan yeh Question bar bar pochty hain iss liye meine iss per aitraaz kyia.
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Main pochna chahta hon ke. Imam Abu Hanifa se pehlay Kon sa Imam tha namm bata dain? aur musalman kon se fiqa par amal kar rahai thai?

Exactly....Kioon pehlay naheen thay.

In char Imamon nain Muslmanon kay char firqay kar diay ya inki wajah say 4 firqay bun gaay.
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
merey khial se Imam-e-Azam Abu Hanifa Razi allah tallah unho 4 imamon mein se sab se pehle wo imam they jinhon ne firqa-e-Hanafi eijad kiya tha. kyon k merey khial se wo Hazrat Mola ALi razi allah tallah unho ke zamane mein peda huey they jahan tak mujhe maloom hai.
aj dunya bhar ke ahlesunnat ke musalman 4 imamon ki pervi kartey hain.
Kahan quran ya hadees main zikr hai Mola Ali?

han wo last k dor k hain jo pehlay imaam thay

is ka matlab wo walay imaam nahi( imaam husain)

jahan tak meri information hai imaam hanifa pehlay thay phir unhi k saath doosray imaam jaisay imaam shafi...malik...hanbal...

ye 4 thay

quran-e-paak ki study aur sahab-e-karam ki hayt-e-tayyaba se information hasil karna
phir us par discuss dena apni rai dena

lakin tanqeed nahi kartay thay... kuch farq bhi tha apas ki rai main
unhi ki study se

i think maslak waghaira baad main zor barh gaya tha

us dor k hukumrano nay in sahiban k khilaaf muheem chalai thi jo k hamesha hota hai naik bando k khilaaf mahaaz arai phir un k peechay par gai aur shaheed kar dea
Hukumot kon si thi musalmanon ki. Agar unko qatl hi kar dia gaya to phir unkay maslak chal kaysay rahain hain aaj tuk?

Aap ko naheen lugta ya to unhon nain ya unki wajah say Musalman 4 hisson main but gai?

Good answer malang bhai beshak hum mein (Brelvion/Deobandion) mein ekhtlaf hain laikin jo baat sahi hai woh sahi hai jaisa ke malang bhai ne kaha mein unn say agree hon aur shahid sahib bar bar ek hee Question karna app ki adat hai ya app damagh ke mareez hain ? {(lol)}
Excuse me Dark Night aap kisi ko dimaghi mareez ka fatwa jari naheen kar saktay. Agar koi sawal hazar bar bhi kar hai to karnay dain.

Kia aap nain Islami section ka rule naheen parha. Kisi pay personal attack naheen karna chahyay khuwah ikhtilaaf hi kioon na ho.

Moderator honay par to aap ki zimmadari aur barh jati hai kay aap intehai zubt ka muzahira karain. Moderator ko yay shobha naheen deta. Ikhtalafaat ko achchay andaz main discuss kia ja sakta hai.

Next time please personal attack say ijtinab karain.
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
اسلام علیکم

جو مجتہد تھے وہ کسی کی تقلید نہیں کرتے تھے اس لیے کہ مجتہد کے لیے تقلید نہیں ہے، اور جو غیر مجتہد تھے وہ مجتہدین کی تقلید کرتے تھے،جیسا کہ شاہ ولی اللہ رحمتاللہ لکھتے ہیں۔
کیونکہ صحابہ کے وقت سے مذاہب اربعہ کے ظہور تک لوگوں کا یہی دستور رہا کہ جو عالم مجتہد مل جاتا اس کی تقلید کر لیتے۔(مثلاً مدینہ میں زید بن ثابتؓ اور یمن میں حضرت معاذؓ اور مکہ میں عبداللہ ابن عباسؓ اور دیگر مختلف جگہوں میں مختلف صحابہ کرام اور دیگر مجتہدین کی تقلید شخصی ہوا کرتی تھی۔ )اس پر کسی معتمد علیہ شخصیت نے نکیر نہیں کی اور اگر یہ تقلید باطل ہوتی تو وہ حضرات (صحابہ و تابعین) ضرور نکیر فرماتے۔ (عقد الجید ص29
آگے جا کر فرماتے ہیں:۔۔
اور دوسری صدی کے بعد لوگوں میں متعین مجتہد کی پیروی (یعنی تقلید شخصی) کا رواج ہوا اور بہت کم لوگ ایسے تھے جو کسی خاص مجتہد کے مذہب پر اعتماد نہ رکھتے ہوں۔(یعنی عموماً تقلید شخصی کا رواج ہو گیا) اور یہی طریقہ اس وقت راءج تھا۔( انصاف مع ترجمہ کشاف ص 59

اور پھر فرماتے ہیں
اور یہ مذاہب اربعہ جو مدون و مرتب ہو گے ہیں پوری امت نے یا امت کے معتمد حضرات نے ان حضرات نے ان مذاہب اربعہ مشہورہ کی تقلید کے جواز پر اجماع کر لیا ہے( اور یہ اجماع) آج تک باقی ہے۔
اور پھر فرماتے ہیں
الحاصل ان مجتہدین کے مذہب کے پابندی ایک راز ہے جسکو اللہ تعالیٰ نے علماء کے دلوں میں الہام کیا اور اس پر ان کو متفق کیا ہے وہ تقلید کرنے کی مصلحت اور راز کو جانیں یا نہ جانیں۔( انصاف ص 47

مجتہدین کے مذہب چار میں منحصر ہونے کی ایک ظاہری وجہ یہ بھی ہے کہ آج جسقدر تفصیل کے ساتھ ہر بات اور ہر فصل کے مسایل کتاب الطھارۃ سے کتاب الفراءض تک آیمہ اربعہ کے مذہب میں مدون اور مجتمع ( جمع شدہ) ہیں ان کے علاوہ کسی اور مجتہد کے مسایل نہیں اس لیے امت نے تقلید کو ان ہی آیمہ اربعہ میں منحصر کیا۔

Yay sub musalmanon ka fazooliyaat main phansna hai.
 
Malang009

Banned
Oct 16, 2008
85
13
0
Canada
Exactly....Kioon pehlay naheen thay.

In char Imamon nain Muslmanon kay char firqay kar diay ya inki wajah say 4 firqay bun gaay.
میرے بھای شاید آپنے میرا جواب اوپر نہیں پڑھا
چاروں آیمہ نے اسلام کو چار فرقوں میں تقسیم نہیں کیا بلکہ یہ چار فقہ بناءیں ہیں اور یہ چاروں اہل سنت و جماعت میں شامل ہیں اور اہل سنت و جماعت ایک فرقہ ہے
تفصیل کے لیے یہ کتاب پڑھیں۔

ijtehad or mazhab e hanafi ki haqeeqat
 
Malang009

Banned
Oct 16, 2008
85
13
0
Canada
yay sub musalmanon ka fazooliyaat main phansna hai.
یعنی آپ یہ کہ رہے ہیں کہ شاہ ولی اللہ رحمتاللہ نے فضولیات لکھی ہیں اور 90 فیصد مسلمان فضولیات میں پڑے ہوے ہیں معاذاللہ
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
میرے بھای شاید آپنے میرا جواب اوپر نہیں پڑھا

چاروں آیمہ نے اسلام کو چار فرقوں میں تقسیم نہیں کیا بلکہ یہ چار فقہ بناءیں ہیں اور یہ چاروں اہل سنت و جماعت میں شامل ہیں اور اہل سنت و جماعت ایک فرقہ ہے
تفصیل کے لیے یہ کتاب پڑھیں۔

ijtehad or mazhab e hanafi ki haqeeqat

I'm not your bhai but Bahan.

Per char firqay to bun gaay hain na. Kioon Muhammad Sallalho Alaihi wasallim kay daur main aisay firqay na banain?

Ahal e Sunnat o jamaat kia hai? Quran main is ka koi zikr naheen.

Yay firqa parasti ki book parhnay ko aap kioon recommend kar rahay hain. Main yay par'hoon kay kon lufzon main ya batain bananain main jeeta. Main aisi fazooliaat main apna time zaya naheen karna chahti is liaay kay quran main Musalmanon ko firqon main butnay say mana kia gaya hai. So main aisi firqa parasti ki book par'h kar kioon apn zahan paraganda karoon.
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
یعنی آپ یہ کہ رہے ہیں کہ شاہ ولی اللہ رحمتاللہ نے فضولیات لکھی ہیں اور 90 فیصد مسلمان فضولیات میں پڑے ہوے ہیں معاذاللہ

Main nain yay kaha yay sub musalmanon ko fazoolyat main phansana hai.

Mujhay kia maloom unhon nain kia likheen aur kia naheen.

Unki ya firqon main batnay wali kitabon main time zaya karnay say to bahtar hai kay insaan quran o hadees par'hnay main time quzaray jiska sawab bhi milaay ga.

Jaisay loag khuwaah makhah ki logon ki shairi ko naat bana kar baray aqeedat say suntay hain kay bara sawab hoga aur jhoom jhoom kar ga rahay hotay hain. Jub kay quran main mana kia gia hai shairi say.

Isi tarha meri nazar main Quran aur Hadees ki kitab agar Islam ki knowledge kay liaay parhna hai to us kay ilawa kisi aur kitaab ka parhna fazooliyat main time zaya karna hai. mera naheen khiaal kay main nain koi asi ghalat baat kahi.

Quran main na kaha gia hai kay imamon ko follow karo aur na hi mujhtahideen waghaira ko balkay Allah nain quran main ja baja kaha hai Quran aur hadees ko follow karo. Phir doosri kitabain kioon?
 
Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
Shahid Nazeer Sahib sirf Fiqh Hanafi per Tanqeedan yeh Question bar bar pochty hain iss liye meine iss per aitraaz kyia.

pata hai dark bhai tumare knowledge bohaat achee hai aur tumare batain bhi bohaat zabardast hote hai bohaat araam say samaj ajatee hai per dear sum time hum nay note keyaa hai k app gussai main jaldi ajatai hoo tu bass main apnay bhai say yeh bolna chahoo ga k app apnay gussai per tora say kaboo rakhaa karoo bakee rahee baar baar pouchnai ki baat too koi baat nahi aghar app ko teek lagai too app ann k baar baar sawal ka baar baar jawab doo ya too yeh taak kar araam say bhaat jahai ga ya phir aik time asay ahai ga k app ann ko sawal ka jawab karna hee passand nahi karoo gai ..
 
bismillah

Newbie
Oct 11, 2008
65
44
0
Assalamou aleikoum warehamatullah alehey wabarakatou!

Precious Saab aapne uper poocha k kahan hain zikar mola ali razi allah tallah unho ka quran ya hadees mein.
pehli baat to yeh hai k lazmi nahi k quran mein har ek pegamber ka zikar us k naam se hi ho, yeh hadees mein hai k nabi paak sallalaho alehey wasalam ne khud farmaya ke jiska mein mola uska Ali mola, aur phir us waqat hazrat umer farooq razi allah tallah unho ne sab se pehle hazrat ali razi allah tallah unho ka haath chooma tha, yeh to bohat mashoor hadees hai, net par milli to inshallah share karon ga,
dossri baat, lagta hai k aap lafz Mola ko lekar confus ho gaey hain, kyon k amtor par hum log mola ka lafz allah ko pukarney ke liey istimaal kartey hain.
 
Exactly jo hum Allah kay liaay use kartay hain wo kisi aur kay liaay to naheen kar saktay.

Yes I'm confuse explain me.
 
bismillah

Newbie
Oct 11, 2008
65
44
0
Exactly....Kioon pehlay naheen thay.

In char Imamon nain Muslmanon kay char firqay kar diay ya inki wajah say 4 firqay bun gaay.

Assalamou aleikoum warehamatullah alehey wabarakatou!

Ae merey meethey meethey islami bhaio aur behno, Imam-e-Azam Abu Hanifa razi allah tallah unho Hazrat Ali razi allah tallah unho k zamane mein peda huey they, yani k un ki pedaish se kuch saal pehle hi Aelan-e-Nabuwat hua tha. Ab koi kaissey Aelan-e-Nabuwat se pehle imam ban sakta hai, ab koi agar yeh kahe k Aelan-e-Nabuwat se lekar Imam-e-Azam abu hanifa razi allah tallah unho ki pedaish tak koi kyon imam nahi tha, to merey khial se yeh is liey k, us waqat Pegamber aur sahaba maujood they islam ko phelaney k liey,

4 friqey kyon ban gaey, yeh firqey is liey, ta k nabi paak sallalaho alehey wasalam ki tamam sunton par amal kya ja sakey, Masal k tor par, kabhi nabi paak salalaho alehey wasalm namaz partey waqat apne haath naaf ke neechey bandetey they aur kabhi apne haath seeney par rakhatey they.
sochiey k islam mein agar sirf ek hi imam hota aur sarey musalman us ki pervi kartey yani ke namaz partey waqat sari duniya k musalman apne haath naaf ke neechey hi bandetey, to is tarah se nabi paak salalaho alehey wasalm ki ek sunnat par amal hona tha baqi jo un ki sunnatein thien un par shaed koi bhi musalman amal na karta, kyon k sare musalman ek hi imam ke peechey chal rahe hain to phir sare musalman wohi karenge na jo k us imam ke nazdeeq sahi hai. to shaed is liey islam mein 4 imam hain ta k nabi paak salalaho alehey wasalm ki sari sunnaton par amal ho sakey. is liey kuch musalman poorey sar ka masah karte hain aur kuch sar k chotahi hissey ka masah karte hain, aur yeh dono hi sahi hain kyo k sare sar ka masah karna bhi sunnat hai aur chotahi sar ka masah karna bhi nabi paak salalaho alehey wasalm ki sunnat-e-mubarka hai.
 
Status
Not open for further replies.
Top