Hum Pe Karb O Alum Ki....

  • Work-from-home

whiteros

'"The queen of kindness''
Super Star
Dec 20, 2011
10,936
3,866
1,313
wo khuda sab se badh k jo hai bawafa us ka hum pe fazl o karam ho gaya
jis qadar bhi tha tufan e ghum o alum daikhte daikhte wo adam ho gaya


jitne kashkol khali the sab bhat gay jo sawali the sad khairaat le k uthe
rakh lia jo faqiron ka isne bharm phir se nata ye pukhta bahumho gaya


jitne aamsu the abr e karam bun gay ghum k maron pe rehmat kojosh aa gaya
us k lutf o karam ki wo barish hui har taf goya baghe irum aa gaya


is ki qudrat ka hai ye aijaazi nishan jo shifaon k malik ne zahir kia
jo alaalat k hatho hua natawan burq raftaar phir wo qadam ho gaya


hum pe qarb o alumki ajab raat thi roshini ki magar hum ko ik aas thi
noor ka aesa jalwa haweda hua keh andheron ka tufaan kum kr gaya


saqiye may kada mehrbaan ho gaya buzm emasti main phir ronaqen aagain
badah kharon main phir jaam chalne lage phir se aabad sehn e harum ho gaya


mehfil ilm o irfaan sajne lagi murdah roohon main phir jaan padne lagi
chashm e tishna ko chain o sakoon aagaya jalwa afroz mera sanum ho gaya


hum to pushton se is k wafadar hain hai ragon main humare wafa ka lahu
khaksari isi ki suraiya bani is k qadmon main reh k jo num ho gaya


ye isi ka zafar mujh pe ahsaan hai mere fun ko hai jis ne ujala kiya
aaj ufaq pe isi chand ko daikh kar phir sukhan mara raksh e chamun ho gaya



(Mubarak ahmad zafar)

 
Top