Hum rahrawan e shauq ko iski khabar kahan,
Hoti hai apni shaam kahan aur sahar kahan.
Ae dil tujhe sukoon ki daulat naseeb ho,
Rahta hai beqarar koi umr bhar kahan.
Afsana e lazzat e parwaz kya kahiye,
Ab baal o par ka naam hai wo baal o par kahan.
Aarishe jamal se fursat nahi jinhe,
Unko humare haal ki 'MARIAM' khabar kahan.