Hazrat Hood Alehissalam :

  • Work-from-home

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
HAZRAT HOOD ALEHISSALAM :
hazrat ka’ab raziallahu anhu ne kaha ke “hood alehisalam hazrat adam alehisalam se nihayat mushabh (same in looks) the, aur hazrat ibn e mas’ood raziallhu anhu kehte hain ke wo bade mustaqil mizaaj aur bohot hi saabir (sabar karne wale) the. ye dono riwayate mustadrak me hain. aur ibn e hisham ra ne kaha hai ke “hood alehisalam ka naam aabir bin arfahshad bin saam bin nooh hai” aur kisi doosre shakhs ka kehna hai ke hood alehisalam ke nasab ke bare me ye qaul zada motebar hai ke wo ” hood bin abdallah bin rayah bin hawaz bin aad bin awaz bin iram bin saam bin nooh hain”
HAZRAT SALEH ALEHISSALAM : wahab ne kaha hai “wo ubaid ke bete hain aur ubaid bin hayar bin samood bin hayar bin saam bin nooh alehisalam hain” wo surkh o safeed rangat (red and white color, as todays americans are) the aur narm aur khushnuma (beautiful) balo (hairs) wale the. wo apni qaum me 40 saal tak rahe, aur nauf al shami bayan karte hain ke “saleh alehisalam mulk e arab ke paighambar the jiswaqt khuda wand e kareem ne qaum e aad ko halaak kardiya to iske baad qaum e samood ki abadi badhi aur unho ne qaum e samood ko jabke wo san raseeda (old aged) hochuke the us waqt apni qaum ko khuda ki taraf bulaya, aur nooh alehissalam aur ibraheem alehissalam ke darmayan me siwae hazrat hood aur hazarat saleh alehimusslam ke aur koi nabi nahi aye” in dono riwayato ko hakim mustadrak ne likha hai..unka nasab nama ye hai
“ubaid bin asneef bin mashej bin ubaid bin hazar bin samood bin aad bin awaz bin iram bin saam bin nooh “
unho ne shaher e makkah me wafaat paai, aur unki umer 58 years thi.


@Hoorain @Abidi @Haya_Fatima @Iceage-TM @Shiraz-Khan @Toobi @Khushboo @Haya_Fatima @Pakistani_angel @whiteros
 
Top