Hai jurm agar watan ki mitti se mohabbat
ye zurm sada mere hisaabo mein rahe ga
Kahte hain mulk se mohabbat apni maa se mohaabt apne islam se mahobbat karne jaisa hai. Aaj fir wahi manjar saamne aaya jab hum azaad hue chain ki saans liye the jise hum har tehvar (function) ki tarah manate hain 14 August 1947
14 August ko Pakistan apna 69 Yom e azaadi manane jaa raha hai kuchh hi ghante baad Pakistan ki azaadi ka woh ajeem tehvar aane wala hai.Azaadi ke is ajeem tahvaar mein kitne Sahidon ki qurbaani di gayi hai tab jaa kar ye hame haasil hui hai
Azaadi. Azaadi ka sahi matlab wahi samjh sakta jis ne gulaami ki din kaate ho
Azaadi ki wajahat karna bahot muskil hai. Har insaan apni aqal ka sahi istemaal karte hue azaadi ki hadd Tay karta hai.
Har sakhs azaad rahena chahta hai lekin jayda azaadi bhi kabhi kabhi nuksaan de saabit hoti hai
Aaj beti Bete ko maswat ka darja diya jaata hai , Lekin samaj ka mahol dekhte hue ladkiyon ki hifazat ke nukt-e-nazar se waaliden in ki azaadi ki hudood tay kar dete hain jo ke kisi lihaaj se galat nahi hai yahi baat ladko par bhi laagu(apply) hoti hai inhe bhi decipline karne ke liye waqt waqt par in ki azaadi ki hudood tay karna bahot jaruri hai Azaadi mein tawazun bahot jaruri hai
Barson ki gulaami sahne aur laakhon hum watno ki zindagi ko khone ke baad hum ne ye keemti azaadi paayi hai . Lekin aaj ke naujwan azaadi ki hakeeki matlab bhulti jaa rahi hai . Dusre mulkon ki tahzeeb ko apnya jaa raha hai apni tahzeeb se log door hote jaa rahe hain
Ye mat pUchh0 ki vatan ne tUmhein kya diya h,
ye pUchh0 ki tUmne vatan ke liye kya kiya hai ?
Sabko:
Regards
Vamp545