Guzra Hay Yeh Aalam Bhi Tanhai K Jungle Mein Bay Khof Phira Kartay Phir Aap He Dar Jatay

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Ankhon mein sama jatay ya dil mein utar jatay
Dono ka bhala hota dono he sanwar jatay
Miltay to yeh acha tha jeevan ki musafat mein
Kuch faslay kam hotay kuch roz guzar jatay
Doori bhi aas hay ik ghanimat to hay warna
Jo aas pay jeetay hein wo log bikhar jatay
Kuch roz judai k iss haal mein bhi guzray
Hanstay howay ro detay ,rotay howay ghar jatay
Manzil hay na thikana hay acha hay kuch bhi nahi
Ruktay to kahan ruktay ,jatay to kidhar jatay
Guzra hay yeh aalam bhi tanhai k jungle mein
Bay khof phira kartay phir aap he dar jatay
Bayganggi yeh kasii aay dost maza tab tha
Kuch log idar atay kuch log udar jatay
Aik saath raha karna phir us par guraiz "Shani"
Maqsood thi doori to meelon say guzar jatay
 
Top