kabhi is jahan se guzar gaya,kabhi us jahan se guzar gaya
tere khaak-e-pa ki talash mein,mein kahan kahan se guzar gaya
na lagega baage iram mein jee shahe do jahan ke gulaam ka
ae dayar-e-paak! Jo wo kabhi tere gulistan se guzar gaya
wo mera habib-e-khuda hi tha,wo shafi-e-roze jaza hi tha
ki jahan malak bhi na ja sake,ye wahan wahan se guzar gaya
abhi farsh pe,abhi arsh pe ,abhi farsh pe,abhi arsh pe
ki palak jhapakte mera nabi makan ,lamakan se guzar gaya
ye mere akeede ki kuwwatein ,ye yaqeen-e-do jahan hai
liya naam pyare rasool ka,gum do jahan se guzar gaya