tough time denay k lie to @
sherry2112 aur @
Aunty_Nasreen he kafi thay,ma ne to iss maqulay par amal kiya k "100 sunaar ke,1 lohaar ke"
iss lie ma ussi waqt chot lagata tha jab loha garam hota tha
subha ma jaga to jagtay he mobile se online ho kar debate wala thread open kiya to ye dekh kar preshan ho gaya k nomi k dimagh par shied debate ka ziada asar ho gaya ha k akela apnay aap se he batain karta ja raha tha,karta ja raha tha,
abi ma soch he raha tha k mery nazar @
hoorain sis par parri jo hath main taala pakray,thread ke taraf kharamaan kharamaan chalti hui aa rahi theen,ma ne fare jaldi jaldi debate k taboot main aakhri 2 keel thonkay aur iss k sath he thread lock ho gaya...