Ghazals And Ashaar

  • Work-from-home

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Mile Hum Kabhi To Aise K Hijaab Bhool Jaye,
Main Sawal Bhool Jaun, Wo Jawab Bhool Jaye,

Wo Kisi Khayal Mein Ho Aur Usi Khayal Mein Hi,
Kabhi Mere Raste Mein Wo Gulaab Bhool Jaye,

Jo Kabhi Tu Padhne Baithe, Mujhe Harf Harf Dekhe,
Teri Aankhe Bheeg Jaye, Tu Kitab Bhool Jaye,

Mujhe Gam Wo De Raha Hai Magar Uspe Chahta Hai,
Main Hisaab Rakh Na Paun, Wo Hisaab Bhool Jaye,

Mujhe Saath Jaate Jaate Faqt Itna Keh Gaya Hai,
Jise De Dikhayi Achha Wo Kharab Bhool Jaye...
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
ik haraf taslli ka ik lafaz muhabbat ka
khud apne liye us ne likha to bahut roya

pahlay bhi shikasto pe shikast khai thi us ne
lakin wo tere hathon hara to bahut roya

itna aasan bhi na tha hasti se guzar jana
utra jo samundar me to darya bhi bahut roya

jo shakhas na roya kabhi tapti hui raho me
deewar k saye me baitha to bohat roya......
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Honto Pe Mohabbat Ke Fasaane Nahi Aate
Saahil Pe Samandar Ke Khazaane Nahi Aate

Palkein Bhi Chamak Uthti Hain Sone Mein Hamari
Ankhon Ko Abhi Khwab Chupaane Nahi Aate

Dil Ujrhi Hui Ek Siraaye Ki Tarah Hai
Ab Log Yahan Raat Jagaane Nahi Aate

Yaaro Naye Mausam Ne Ye Ehsan Kiye Hain
Ab Yaad Mujhe Dard Puraane Nahi Aate

Urhne Do Parindo Ko Abhi Shokh Hawa Mein
Phir Laut Ke Bachpan Ke Zamaane Nahi Aate

Is Shehar Ke Badal Teri Zulfon Ki Tarah Hain
Ye Aag Lagate Hain Bujhaane Nahi Aate

Ahbaab Bhi Giaron Ki Ada Seekh Gaye Hain
Aate Hain Magar Dil Ko Dukhaane Nahi Aate
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
IshQ Jab Meharbaan Ho To Kya Kijiye,
Husn Ki Maghfirat Ki Dua Kijiye,

Is SaliQe Se Unse Gila Kijiye,
Jab Gila Kijiye To Hans Diya Kijiye,

Doosro Par Agar Tabsara Kijiye,
Samne Aaina Rakh Liya Kijiye,

Koi Dhoka Na Kha Jaye Meri Tarah,
Aise Khul Kar Na Sabse Mila Kijiye,

Aap Chain Se Hain TarQ-E-TalaQ Ke Baad,
Itni Jaldi Na Ye Faisla Kijiye,

Zindagi Kat Rahi Hia Bade Chain Se,
Aur Gam Ho To Wo Bhi Ata kijiye,
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Hamein Khabar Hi Nahi Kuch Tumhare Aane Tak,
Ke Dil Ko Chain Na Aayega Ek Zamane Tak,

Jo Hum Yaqeen Bhi Kar Lein Tumhare Waadon Ka,
Jiyega Kaun Tumhare Palat Ke Aane Tak,

Gumaan Bhi Nahi Hota Hai Sunnewalon Ko,
Ke Waaqeya Hi Badal Jaata Hai Sunane Tak,

Guzar Gayi Hai Isi Darmiyan Saari Umar,
Sawal Karne Se Le Kar Jawab Aane Tak,

Har Ek Chaal Agarche Bahut Hi Mushkil Thi,
Main Aa Chuki Hoon Magar Jeetne Ke Khaane Tak,

Tumhe Kuch Unke Dilon Ki Khabar Bhi Hai Ke Nahi,
Pahuch Sake Na Parinde Jo Aashiyane Tak,

Har Ek Mehaz Pe Hara Hi Hai Mera Dushman,
Theher Saka Hi Nahi Aakhri Nishane Tak,

Mujhe Ye Dar Hai Ke Mere Munafiq Dost,
Samet De Na Mera Qafan Mujhe Dafnane Tak...
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Dosto Se Kaha Karta Tha Woh Bhi,
Kiya Yeh Bhi Jee Sakta Hai, Mere Bin,

Mazak Ban Jaya Karta Tha Jo Doston Mein,
Khud Ko Tanha Samajhta Tha Woh, Mere Bin,

Issay Had-e-Dewangi Kahun Ya Pagalpan,
Tasawar Mein Woh Batein Karta Tha, Mere Bin,

Wo Mousmon Ke Badalne Se Darta Nahi Tha Lekin,
Bahar Mein Murjhaya Karta Tha, Mere Bin,

Ab Aas Toot Gayi Uskay Aanay Ki,,
Lagta Hai Jeena Seekh Chuka Hai, Mere Bin..!
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Kashti tera naseeb chamkdaar kar diya
Is paar ke thapedon ne us paar kar diya

Afwaah thi ki meri tabiyat kharaab hai
Logo ne puch puchh ke bimar kar diya

Raato ko chandni ke bharose nachorna
Suraj ne jugnuoon ko khabardar kar diya

Ruk ruk k log dekh rahe hain meri taraf
Tumne zara si baat ko akhbaar kar diya

Is bar ek aur bhi deewar gir gyi
Baarish ne mere ghar ko hawa daar kar diya

Bola tha sach to zahar pilaya gya mujhe
Acchhaiyon ne mujhko gunhgaar kar diya

Do gaz sahi magar ye meri malikiyat to hain
Ae Mout Tuney Mujhko Zameedar kr Diya...
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Gharoor Lehjay Mein Aa Gaya Tou Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Ye Barf Mausam Jo Sheher-e-Jaa.n Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya Tou
Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin
Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Wafaa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Badgumaani Ki Baarishon Mein
Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Mein Jaanti Hun Mujhe Yaqeen Hai Agar Kabhi TU Mujhe Bhula De
Tou Teri Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Ye Ham Mohabbat Mein La Ta’alluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Laina
Duaaein Tou Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay
Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kubhi Jaanay Waalay

Kia Milay Ga Tujhe Bikhray Howay Khwaabon Ke Siwa ?
Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaanay Waalay

Sab Ne Pehna Tha Baday Shoq Se Kaghaz Ka Libaas
Jis Qadar Loog Thay Baarish Mein Nahaanay Waalay

Mar Gaye Hum Tou Ye Qutbay Pe Likha Jaye Ga
So Gaye Aap Zamaanay Ko Jagaanay Waalay

Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai
Jaanay Kis Dais Gaye Pyaar Nibhaane waalay
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Juda Hone K Mosam Me Juda Hona Bhi Parta Hai
Jise Mushkil Se Paya Ho Usy Khona Bhi Parta Hai

Khudi Pe Maan Itna Hai Kabhi Mur Kar Nahi Dekha
Jise Keh Dun K Mera Hai Usy Hona Bhi Parta Hai

Mujhe Neend Nahi Aati Us Ki Yaad Any K Bad
Magar Ek Khawab Ki Lalach Me Phir Sona Bhi Parta Hai

Hamesha Hunsta Rehta Hun Chupa K Gham Muhabbat Ka
Magar Jab Us Ka Naam Aye To Phir Rona Bhi Parta Hai...
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Kuch khud bhi thy afsurda se,
Kuch log bhi hum se rooth gaye,

Kuch khud bhi zakhm k aadi thy,
Kuch sheeshy hath se toot gaye,

Kuch khud bhi thy hassas bohat,
Kuch apny muqaddr rooth gaye,

Kuch khud bhi itny mohtat na thy,
Kuch log bhi humko loot gaye,

Kuch talkh haqiqatyn theen itni,
Ke khwab hi sarey toot gaye..
 
Top