Gali Main dard k purze talaas karti thi
Mere Khatoot k tukre talaash karti thi
Bhulaye kon Aziyaat Pasandiaan us ki
Khushi k dhair main sadme talaash karti thi
Ajab hijar parasti thi uski fitrat main
Shajar k toote patte talaash karti thi
Ghuma phira k judiae ki baat karti thi
Hamesha hijar k harbay talaash karti thi
Duain karti thi ujre hoie mazaron per
bare ajeeb sahaaray talaash karti thi
Mujhe to aaj bataya hai badloon ne
Wo laut aane k raaste talaash karti thi
Mere Khatoot k tukre talaash karti thi
Bhulaye kon Aziyaat Pasandiaan us ki
Khushi k dhair main sadme talaash karti thi
Ajab hijar parasti thi uski fitrat main
Shajar k toote patte talaash karti thi
Ghuma phira k judiae ki baat karti thi
Hamesha hijar k harbay talaash karti thi
Duain karti thi ujre hoie mazaron per
bare ajeeb sahaaray talaash karti thi
Mujhe to aaj bataya hai badloon ne
Wo laut aane k raaste talaash karti thi