Ek ghazal jiska unwaan hai INSAAN

  • Work-from-home

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Ye samaye ane par ghoshit kiya jayga...tab tak shant mann se apni kavitaon k madhiyam se yahan par bhaag lete raho;)):p
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK



Kya baat hai maine neend me likha aur aapko nind me samaj aagai, dekhne walo sab sunlo, jab bhi aap sab ko neend aayegi meri ye ghazal dekh lena samaj aajaegi;);):p
Yeh sahi idea hai bhai:p

waise agar serious point pe aayen naa
to hum shayar loug ehle dunya ko ghafil
hi lagte hain khaaskar tab jab sach pe
likhein jab haq ki baat likhein
to hum pe fatwe pehli fursat pe aane
lagte hain jese ke aapki yeh ghazal
kisi aalim ko de do dhoondh dhoondh
kar kuch na kuch fatwa zaroor thok dega
 
  • Like
Reactions: Wasif Safi

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
a very true n meaningful poetry:) keep it up
Assalamualaikum WRWB
Kaafi din baad apni ek ghazal phir se aplogon ke sat share kar raha hu,Bilkul saada alfaz me maine ye ashaar likhe hai,umeed hai ke apsab ko pasand aaegi:):):)

Zindagi ke ghamo me ghabrata hai insaan,
Har modd pe yuhi darjata hai insaan

Hai apno se itni raqaabat isko,
Ke waqt bewaqt sabko dhamkata hai insaan.

Baat karta hai sabse rehnumai ki,
Ke khud hi patri se utar jaata hai insaan.

RAB se apne tark-e-talluq karke,
Dunya ki rasmo ko nibhata hai insaan.

Dekar dukh maqlooq-e-KHUDA ko,jahannum me naam hai likhata insaan.

Qabr me utar ke phir rota hai bohot,
Kyu marne se pehle nahi pachtata insaan.

Wo to hai tujhse pehle tujhe jaanne wala,
Jisse tu khataen hai chupata insaan.

Deta na dosh SAFI dunya me kisiko,
Gar waqt pe sambhal jaata insaan...
 
  • Like
Reactions: Wasif Safi
Top