dost ya anosssssssssss

  • Work-from-home

diya ali

TM Star
Nov 23, 2010
1,104
661
1,013
Rawalpindi
Kabhi ansuon ko gaalon par jalte hue mehsoos kiya hai kissi ne…gar nahi to samjho us dard ki kagaar tak nahi pohonche jahaan har shai beimaani aur ansoo ek dehekta hua angaara ban galon par sulagta hai, ankhon ki dhalaan se utar kar daman ki ziya ban jaata hai…lekin un ansuon ki keemat koi kya jaane ye to paani hai jab tanhaai main behta hai.. shayad in tanhaai main behte ansuon ka hisaab khuda ke paas shumaar hota hai..Insaan sab se kareebtar shayad unhi qurbat ke lamhon main hota hai..Kissi ki bewafaai, zindagi se na umeedi, insaan ko Rab se kareeb kar deti hai…wo besakhta apne ankhon main chupe dard ke samundar ko baha deta hai…siskiyon se faza goonjne lagti hai..wo nidhaal apne Rab ke aage nihatta haara hua dard se sarabor khara rehta hai..jaanta hai ye akhri wohi dar hai jahaan uske aahon ki keemat samjhi jaaigi, jahaan uske gham ki puuch hogi, jahaan usko sukoon.e qalb milega…
ansoo gunaaho ki baqshish ka baais hota hai ye insaan ko paak.o saaf kardeta hai har gunaah se kyonke ye ashq.e nadamat hote hai jo dil se zung ko saaf kardete hai..Wo paak aur shafaf ban jaata hai jaise ki abhi duniya main tawaluud hua ho ek dam masoom beaib us masoom bache ki tarha…apne ansoo lekar kissi aur ke dar par na jaain, koi dost ahbaab aapke zakhmon pe marham nahi laga sakta…ek wohi dar hai jahaan aapki guhaar suni jaati hai jahaan aapke ashq moti ban jaate hai…Aao doston apne gham apne dukh apne ansoo Allaah Subhan.o Taala ke bargaah main pesh karte hai… ek wohi dar hai jahaan se insaan khaali haath kabhi nahi lautta.
Jo ansoo KHuda ki raah main behte hai wo beshkeemti hote hai, anmol aur nayaab moti..Kissi insaan ki kya besaat ke aapko kuch de sake mangna hai to us dar se mango…mehboob ka gham, duniya ke ranj.o alam, dukh dard taqleef sab kuch kitna chota lagta hai us azeem hasti ke aage…Apne aapko Rab ke hawaale kardo phir dekho koi ansoo aapke daman ki ziyaa nahi banenge kyonke Baari.e Taala khud apni rahmat ki chadar main humaare ansoo samet leta hai..Ek baar tahe dil se Rab ki bargaah main aa kar dekhna sukoon.e qalb hi naseeb hoga…Allaah tamaam duniya ke ranj.o alam se sab ko apne hifz.o amaan main rakhe..Ameen
 
Top