Dhoka Shayari Collection :(

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
inhe devta samja tha haiwaan se badtar nikle,
jinhe samja tha manzil wo raste ka patthar nikle,
unki har khwahish hamari beaaburiyat thi,
un par hamare dare beasar nikle,
unke har badlaav ko nayi ada smja ,
is bhulave me hum margat ki dagar nikle,
jinke lafzo ko sanjoya dil me aaj tak,
chamkte paimaane me wo ik zahar nikle,
yakeen tha jin par khuda se adhik,
wo to hamari maut ka sabab nikle,
unka har teer chlta tha karne hame halaal,
tab se is dil par anginat kahar nikle,
aaj bhi unke intzaar me…. bheege bheege se hai nayan,
wo na jane kis gair-sang kidhar nikle..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Yon rah-e-wafa ki saleeb par do qadam uthane ka shukria
Bara pur khatar tha yeh rasta tere laot jane ka shukria
Jo udaas hain tere hijr mein jinhe bojh lagti hai zindgi
Sar-e-bazam yon unhein dekh ke tere muskrane ka shukria
Teri yaad kis kis bhais mein mere sher-o-nagma main dhal gai
Teri yad ka muje yaad aane ka shukria,
Jo zamane bhar ka asool tha wo asool tu ne nibha dia
Yehi rasam tehri hai motabar muje bhool jane ka shukria
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN
tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN
bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN
Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN maiN
maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai,
aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte
shaam ke vaqt safar kyaa karte
terii masruufiyateN jaante the
apne aane kii Khabar kyaa karte
jab sitaare hii nahiiN mil paaye
le ke ham shams-o-qamar kyaa karte
vo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa
saaye phailaa ke shajar kyaa karte
Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii
kar ke zarre ko gauhar kyaa karte
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Vada to kar lete hai Nibhana Bhul Jate Hain
Laga k Aag Seene Me Bujhana Bhul Jate hain.
Bhulana To Aadat ho gayee hai logo ki.
Rulate hai phir manana bhul jate hain.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Ab zid pe aa gaye ho to ye kaam bhi kero
Khud ko humaray naam say badnaam bhi kero
Ye kaya k in ruton mein bhi qaid_e_ana ki zid
Barpa bahaar mein koi kohraam bhi kero
Aashiq ho ger to sabar k zindaan ko torr do
Ahl_e_jahan ki saazishen naKaam bhi kero
Tark_e_tal’luq ka maatam bohat hua
Tum thak gaye ho aao kuch aaram bhi kero… .
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aaya
Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi
Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya
Kisi chiraag ne poochi nahee khabbar meri
Koi bhi phool mere naam per nahee aaya
Pallat ker aane lagay shaam ke parinday bhi
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya
Humein yakeen hai Amjad woh wada khilaaf
Yeh umer kaise kategi agar nahee aaya ..!!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
mujh sey baad-d-bahara’n nay ro ker kaha,
teri qismat bahaaro’n k qabil nahi,
teri dunya hay ashkon may dobi hoi,
teri aankhen nazaaro’n k qabil nahi,
meri kashti ko toofa’n ne bosy diay,
boli moj-e-talatum mujy deikh kar,
teri taqdeer may hain bhanwar hi bhanwar,
teri kashti kinaro k qabil nahi,
usney mehfil se mujko utha ker kaha,
meyra peecha KHUDA k liy chor do,
meri mehfil mein phir na aana kabhi,
ye muhabat k maaron k qabil nahi
 
Top