Dehakte Din may Ajab Lutf Uthaya karta tha!

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Dehakte din may ajab luytf uthaya karta tha
main apne haath ka titly pe saya karta tha
agar main poochta badal kidar ko jaate hain
jawab may koi aansu bahaya karta tha
ye chaand zauf se jiski zuban nhi khulti
kabhi ye chaand kahani sunaya karta tha
main apni toot;ti aawaz ganthne k liye
kahi se lafz ka paiwand laya karta tha
ajeeb hasrat-e-parwaz muj may hoti thi
main kapion may parindey bnaya karta tha
talash-e-rizq may bhateky huye parindo ko
main apni jaib kharch se dana khilaya karta tha
ye zindagi to muje taire paas le aayi
ye raasta to kahi aur jaya karta tha!
 
  • Like
Reactions: ღ*HõOriã*ღ

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
ye chaand zauf se jiski zuban nhi khulti
kabhi ye chaand kahani sunaya karta tha

main apni toot;ti aawaz ganthne k liye
kahi se lafz ka paiwand laya karta tha

ajeeb hasrat-e-parwaz muj may hoti thi
main kapion may parindey bnaya karta tha

Wah Zaberdast..! bOhat khoOb.
 
  • Like
Reactions: hoorain
Top