Dedicated to Bahaar- Mera chaman

  • Work-from-home

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Assalamoalaikum..Kaise hein sab?

Mai aik bar pher se hazir ho apni naye poetry ke saath. Last week, jab BAHAAR ka interview chal raha tha to end mei mai unke bare mei kuch likh to nai paya. magar unho ne kaha ke agar hosake to mai unke lie aik poetry likh do.

Pehle to samjh nahi araha tha ke kis mozu par likho. Magar yaad aya ke yeh janab indian hai aur idhar bht se users hein jo india se hein..

Waise dekha jaye, Pakistan aur India ke halaat maazi mei ache nahi rahe aur in dono mulko ne aik jesa culture, geography aur tradition hoone ke bawajood dosti aur pyaar se mehroomiat pae hai. Isi ki bunyad par maine yeh nazam likhi hai taake hamare doono mulko mei naye khilne wale phool aur kaliyan(yani bache aur bachiya) hamesha kamyaabi ke saath sar sabzo shadab rahein. Umeed hai apko hamara msg to samjh agia hoga..aur umeed hai apko hamari yeh naye nazm bhi pasand aye..:)

2061lcw.jpg
Is poetry ko design karne mei HOORAIN jo hamari bari behan hein. unho ne hamari bht madat ki to hum unhe dil ki atha gehraeyo ke saath shukriya ada karte hein....

In English:



Shad baad rahe jahaan mein zindagi
Ronaq-e-jahaan hai apni yeh zindagi




Chaman ke phool Karen ge jo bandagi
Sanwaar deige apni woh zindagi




Pateeyoon ko mil jayegi jo roshni
Shadaab hoon gi aur chamke gi unki zindagi




Chale gae jo humse pehle maali is chaman ke
Gulshan mein rehti hai un sab ki ab bhi zindagi




Gul jo na khel sake karegein humse woh
Haale dil bayaan aur shikwayee zindagi




Zahme tun mile humra pattoon ke jo shahoon ko
Karein gi roohdaade dard bayaan aur Esmat-e zindagi




Lahooe jigar se nahi anso-e- mun se karein gey
Seraab lagatar; Waqas gulloon ki zindagi



:-bd:-bd:-bd:-bd:-bd
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Masha Allah kya baat hai janab :)

bohot achi koshish bohot achi nazam likhi hai apne :)


Lahooe jigar se nahi anso-e- mun se karein gey
Seraab lagatar; Waqas gulloon ki zindagi


hame badi khushi ho rahi hai hamne jo apse likhne k liye kaha tha usse aap phir se is maidan me agaye hain
aur aage bhi apse achi poetry ki umeed rakhte hain

aur masha Allah hoorain ne bohot acha design kiya hai :)

aur sath hi do mulkon ke dilon ko jodhne ki ek achi koshish

Jazakallah khair
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Assalamoalaikum..Kaise hein sab?

Mai aik bar pher se hazir ho apni naye poetry ke saath. Last week, jab BAHAAR ka interview chal raha tha to end mei mai unke bare mei kuch likh to nai paya. magar unho ne kaha ke agar hosake to mai unke lie aik poetry likh do.

Pehle to samjh nahi araha tha ke kis mozu par likho. Magar yaad aya ke yeh janab indian hai aur idhar bht se users hein jo india se hein..

Waise dekha jaye, Pakistan aur India ke halaat maazi mei ache nahi rahe aur in dono mulko ne aik jesa culture, geography aur tradition hoone ke bawajood dosti aur pyaar se mehroomiat pae hai. Isi ki bunyad par maine yeh nazam likhi hai taake hamare doono mulko mei naye khilne wale phool aur kaliyan(yani bache aur bachiya) hamesha kamyaabi ke saath sar sabzo shadab rahein. Umeed hai apko hamara msg to samjh agia hoga..aur umeed hai apko hamari yeh naye nazm bhi pasand aye..:)

View attachment 21773
Is poetry ko design karne mei HOORAIN jo hamari bari behan hein. unho ne hamari bht madat ki to hum unhe dil ki atha gehraeyo ke saath shukriya ada karte hein....

In English:



Shad baad rahe jahaan mein zindagi
Ronaq-e-jahaan hai apni yeh zindagi




Chaman ke phool Karen ge jo bandagi
Sanwaar deige apni woh zindagi




Pateeyoon ko mil jayegi jo roshni
Shadaab hoon gi aur chamke gi unki zindagi




Chale gae jo humse pehle maali is chaman ke
Gulshan mein rehti hai un sab ki ab bhi zindagi




Gul jo na khel sake karegein humse woh
Haale dil bayaan aur shikwayee zindagi




Zahme tun mile humra pattoon ke jo shahoon ko
Karein gi roohdaade dard bayaan aur Esmat-e zindagi




Lahooe jigar se nahi anso-e- mun se karein gey
Seraab lagatar; Waqas gulloon ki zindagi



:-bd:-bd:-bd:-bd:-bd

wowowowwo....MashAllah...
Ameennnnnnnnnnnnnnn...
Haan hum sab milkar dua karte hain k humare mulkon k halath humesha sazgaar bane rahe..
Bhayi chara,mohabat aur khuloos ka ye gulshan humesha sarsabz o shadaab rahe..
Is chaman me humesha Mausam e~Bahaar~ rahe...
humare gulistan p kahin khizan ki nazar na pare..
Dil ki gehrayion se Waqas aur Hoorain ka shukriya adaa karti hun..
Meine socha na tha k is forum se yahan k members se mujhe itna apnapan,itna khulus milega.
Meri Dua hai k Bahaar e Chaman yunhi qayam rahe aur Phoolon ka khilna,muskurana yunhi bana rahe..Ameen..
 
Top