Coffee With REDROSE- Sabah

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
hmmm soo aap apni life ka sub se yadgar lamha share karen hum sub se
hmmmmmmmmm Yaadgaar moment of my life was my first tour to Afghanistan...voh mere zindagi ki sub se behtareen moment the I was so enthusiastic visitng there..
buhut se jagah gaye jho mai ne mere books mei padhe the ya TV mei dekhe the it was just fun going there..
aapni Father and Mother k reletives se for the first time mele so it was a great experiance aub bhi jub voh moment yaad kerti hu so it makes mei happy...
sub se zyada khosh jub mai the so it was:
pahle den jub hum Afghanistan Kabul (Capital) phonche toh mere ammi k cousins ne usay raat ko plan kiya k aaj aapko Shaher now (city in kabul) ki safer karayenge raste mei safer k wajah se kafi tired the but phir bhi kaha k chalo chalte hain so when we went out so it was amazing summer mei gaye the toh waha k summer yaha k winter jitna hota hain Cold!!
haa but dust and polution buhut huti hain so raat ko jub bahir gaye so mountains mei waha houses hote hain toh raat k andhere mei jub aap mountains ko dkhete toh aisa lagta k sitare mountains per aker jama hue hain so her taraf aisa he view hota hain raat mei,
I was completely amazed!!! phir uske baad dinner bhi waha k ek resturant mei kiye buhut maza aya raste mei humare vain kharab hogae toh adhe gante usay dhaka delane k lie ammi k cousin kadhe the unhone Baba se kaha k yaar aap dhaka de koi aur toh nahi mel raha,mai gadhi start kerni ki try kerta ho hoa u k ghadi toh start nahin hue but bichare mere baba puray raste mei dhaka dete rahe and aise mei Baba ne kaha yaar yeh dhaka de de ker hum toh gher phunche but yeh ghadi start nahin hurahe :p phir ammi k cousin ne kaha kia kare yeh bhi ek mahman nawzi hain yaha k so wait kiye aur phir kuch dair k baad pahelwan bhai loug raste mei mele and unohne dhaka diya tub jaker ghadi start hue and gher wapas agaye aise kafi ache memories hain but it was apart form them...abi yaad ker k buhut acha laga...
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
hmmm..
gud..
ap ne high skol tk parha lekin ap to boht qabal hn ,ap ka knowledge b kafi zeyada hai..esa kese hai?:)

Oh sweety eska toh pocho he mut werna read kerne walo ko bhi Boriat hugi...
Daily Routine Subhe ko fajr k lie 6:30 uthna phir Namaz k baad wapas su the hain and then 10:30 ya 11:00 ko uthna :| nowadays toh Breakfast and Lunch ek saath he huti hain khana k mamle mei buhut he piche hain so a glass of milk with Naan ya phir Omlet.
uske baad room ki saafae kerna ya phir washing the dishes phir us se free hoker Zuhr ka time huti hain toh Nemaz k baad ya toh lunch kerte hain ya phir online ana hota hain upto 4:00 phir 4:00 ko aapni brothers and sisters ko Quran padhate hu uske baad phir khud bhi Quran Recite kerte hain ya Mostly Surah Yaseen so shaam tuk yeh masroofiat huti hain phir ager raat k lie dinner bana na ho specially Pulao toh voh banate hai mostly yeh dinner mei subko passand hain and uske baad again online huti hu phir raat ko living room mei sub dinner k lie ready hojate hain saath mei dinner kerne k baad mai subse pahle room se tea k glass lekar ghayeb hujati hu phir online aker mood kuch article read kerne ki huti hain toh vohi read kerte hain and then get ready for sleeping sleeping bhi kia khaak itne jaldi athe hain awie buss rest kerte hain upto 12 ya 1:00 then neend ajate hain and again subhe ko 6:30 for namaz he uth jaate hain..
Studies buss high School tuk he complete ki hain not more than it...
thats my daily routine :|
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
hmmm..
gud..
ap ne high skol tk parha lekin ap to boht qabal hn ,ap ka knowledge b kafi zeyada hai..esa kese hai?:)
hmmmm well yeh Allah ka karam hain k unhone kuch ways dekhaye aur knowledge mei izafa kerni k as I told before k mujhay Articles padhne ki kafi shauk hain so es wajah se shayed yeh hugi baki school mei bhi ache se padhaye huti the.. Alhamdulilah
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
mashALLAH
Allah ap k ilam me or zeyada izafa farmaye
ameen

hmmmm well yeh Allah ka karam hain k unhone kuch ways dekhaye aur knowledge mei izafa kerni k as I told before k mujhay Articles padhne ki kafi shauk hain so es wajah se shayed yeh hugi baki school mei bhi ache se padhaye huti the.. Alhamdulilah
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
hmmm aap TM ki apni 10 fav personality batao with ranking
hmmmmm Sabhe ache hai but phir bhi aub aapne pocha hain toh here are they:

1:Nasir (Saviou)
2:pF
3:Yoursks
4 Don
5:Nelli
6:Anaya
7:Atif
8:Storm
9:HM bro
10:the last but not the least Tari
but its just a ranking lekin guys aap sub buhut ache hain so I like you all...abhi yeh ranking bhi Genrally ki hain so all are the best...
 
Status
Not open for further replies.
Top