Coffee With REDROSE - S_ChiragH

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Hmmmmmmmmmm
kyunke yeh wo shey hai jiski ummat e Mohammad Saww ko sakht zaroorat hai
kuch aise sarbarah kuch aise hunar mand kuch aise danishwar kuch aise
qalamkaar jo khud bhi kuch bhi seh lein magar inhein rasta dikhana na chorhein
jaise ke chiragh khud ka rang kaala hi parh jaata hai jal jal ke magar roshni
zaroori auqaat mein deta rehta hai is hi tarah mein apne ishaar ke zariye apnon
ke liye haq ki roshni jagaana chaahta hoon :)
Allah pak aap ka hami o nasir ho..... Aameen :)
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Hmmmmmmmmmm
kyunke yeh wo shey hai jiski ummat e Mohammad Saww ko sakht zaroorat hai
kuch aise sarbarah kuch aise hunar mand kuch aise danishwar kuch aise
qalamkaar jo khud bhi kuch bhi seh lein magar inhein rasta dikhana na chorhein
jaise ke chiragh khud ka rang kaala hi parh jaata hai jal jal ke magar roshni
zaroori auqaat mein deta rehta hai is hi tarah mein apne ishaar ke zariye apnon
ke liye haq ki roshni jagaana chaahta hoon :)
g bilkul..
shayer moashre ka aham rukan hote hain..jis k hath me qalam ho us pe boht bari zimedari hoti hai..kyun k achi shairy aur acha adab logo ki soch me musbat tabdili ka bais banta hai..

apni pehli shairy ..agar yaad hai to share kren..kis age me pehli bar likha?
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Behetereen qalaam bhai ab peish e khidmat hain mere taaza tareen qalaam

aare hum kahan thehre hasti e khaas is jahaan ki
ke nahin moujood doulad humare paas is jahaan ki
qeemat e wafa itni thi ke is jahaan ka husn khareed na saka
tabhi ishq nahin aaiy chiragh ko raas is jahaan ki

***S_ChiragH***
bohat khoob janab.....:-bd
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
g bilkul..
shayer moashre ka aham rukan hote hain..jis k hath me qalam ho us pe boht bari zimedari hoti hai..kyun k achi shairy aur acha adab logo ki soch me musbat tabdili ka bais banta hai..

apni pehli shairy ..agar yaad hai to share kren..kis age me pehli bar likha?
pehli shayari diaries dhoondhni parengeen waise aaj se
3 saal pehle ki baat hai yaani 14 se 15 ke darmyan the hum

 

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
Welcome chiragh mere sawalon ka jawab dijeaye.
1. Zindagi ka na bhoolne wala haseen lamha aur afsuda lamha?
2. Aap ne tm ko kese join kya?
3. Ager aap ko aik din k liye TM ka admin bana diya jai to aap TM mein kya changes karein gi?
Waiting for replies.
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Welcome chiragh mere sawalon ka jawab dijeaye.
1. Zindagi ka na bhoolne wala haseen lamha aur afsuda lamha?
2. Aap ne tm ko kese join kya?
3. Ager aap ko aik din k liye TM ka admin bana diya jai to aap TM mein kya changes karein gi?
Waiting for replies.
Thanks

kya hi achhe achhe sawalaat hain bhai

sub se achha lamha nahin bhoolne wala lamha to eik nahin hai aise bohot saare hain waise mera 16th bday usme bohot khush tha mein

aur ghumgheen lamha woh tha jab mere Walid is dunya se rukhsat ho gaye aur mujhe aansu bahane ki ijazat nahin di giay kaha gaya

chhote bhai ko sanbhalo aur apni behenon ki taraf dekho......

aise hi google ko search karte karte

hmmmmm yeh 3rd wala bohot achha sawal hai :D

kuch khaas changes nahin karunga mere khayal se TM theek thaak hai sirf iske ke
thora sust sust chalta hai iske liye kuch kar saka to karunga

i hope ur waiting ends
 
  • Like
Reactions: star24

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
aray mujy kise nay abtaya he nae k saif mehman hay?{(angry)}

welcom welcom my dear sweet bro.......{(dancing)}
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
Sorry aapi shayad mene aapko VM nahi bheija

anywayz ab pata chal hi gaya hai to sawalaat poochhiyega

aur enjoy kariyega Thankyou very very much my sweet aapi


welcom chanda..

may kia sawwal pocho?samaj he nae araha,sab to pata hay tumharay baray may...

acha ye batao tumay khanay may kia cheez bhtttttt pasand hay?
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
[GLOW=red]
CoFFEE WITH RR

PART 1


[/GLOW]


1.Mere asal naam do hi hain saifali aur Asifali leikin Id card mein Asifali hai so
mukammal aur asal naam huwa Asifali s/o Abdulsattar

2.Karachi mein fajar ke waqt

3.22/08/1993

4.maybe Leo

5.Agar troubles naa aate to ab tak 2nd year kar chuka hota magar 7th hi kiya hai mene
yeh baat TM ke kuch dost jaan kar ghussa bhi hongein coz mene 2nd year bola tha unhein
so jinhein 2nd year bola tha un se advance mein tahe dil se muazrat :p

6.Tiution teacher

7.05 behen bhai hain mein 4t pe hoon mere baad eik hi chhota bhai hai

8.PAKISTAN

9.Mein mathematics mein bohot hi weak hoon :D

10.baaqi doston ki tarah mein bhi yehi kahunga ke Hazrat Mohammad saww ke personality hi ideal thi hai aur rahegi
kisi ko apni personality mein achhe soubhao laane hain to woh sunnaton pe amal karne lage thats it

I hope ke mere answers se kisi ko boriyat aur shikwa nahin hoga.......
 
Status
Not open for further replies.
Top