Cleopatra

  • Work-from-home

Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon
Cleopetra

Cleopetra ka rath pora pora soney ka tha, us main 12 sufaid kothal gorey (Horse) Jutay huay thy or us sunehray rath main Cleopatra malka e misar apni sari ranaiyon or fitna samaniyon k sath baithi thi. Us k peechy 2 larkiyan jo unani libaas pehnay hui thi kari holey holey sunehri pankey jull rahin thin. Cleopatra k sar par dewi ezoleen ki alamat ka sunehra taaj tha yani 2 seengon k beech main pansa hua chaand, Us taaj k neechy soney ka sanp tha jis ka pan Cleopatra ki peshani par tha. Sanp k neechy gidh ka taaj tha jis k bazo main jawahirat or ankhon main laal jhary huay thy or us taaj k neechy Malika k gungriyaly kaaly baal nikal kar us k qadmon tak agaye thy. Us ki surahi-dar grdan (neck) main Zamurd or marjan ka Galuband para hua tha. Us ki sadol or gori kalaiyon main meena kari k kangan thy. Us k aik hath main assa tha jo zindagi or quwat or dawam ka nishaan tha or dosry haath main misar e zaree or misar e baala ki alamat, ye dono cheezain bhi soney ki thin. Ye sab cheezain main ne aik nazar main dekh lin, phir us k chehry ki taraf nzar
ki jo unani husan ka mukamal namuna tha, Gol or khobsorat tori (chin) surh or ras bary hont, sathwan naak or choty choty pharakty huay nathny, nafees sadaf k se kaan or seemee matha jis par gungriyaly baalon ki latain lehra rahin thin, kamaan ki si bhuwain or lambi lambi palkain. Cleopetra dewotaon ne apne hathon se barey shoq se ghari thi, Us main koi haami koi nuks na tha or Ankhain ...... Us ki ankhain behad khobsorat or ajeeb thin, sehra ki raat ki tarha ghambir or Amwaaj e samander ki tarha mutalathim jin se Jalaal ayaan tha, sanjeedgi bhi, zair ki bhi or jazbaat ki bhi, main ne husan ka wo ajooba dekha jo alfaaz main bayan nahi kiya ja sakta halan ke main ne aisa karny ki koshish ki - Cleopatra ka zahiri husan hi kashish ka baais na tha balke kashish to shola zan rooh main thi jo dosray alfaaz main Cleopatra aik shola thi,Sarapa thi
aisi aurat na pehly thi or na aienda kabhi hogi ........

(Reyd Hegard ki Tasneef)
 
  • Like
Reactions: Manxil

Silent_lyf

Heart's Raaz
TM Star
Sep 20, 2013
4,932
2,021
713

Fanii badshah aap ko bhi baithna hai uske saath??;):p
 
Manxil

BEiNg SiNglE is My ATtITUde
Super Star
May 7, 2012
13,831
2,488
913
cleopetra bhut haseen thi..phir kia hua o_O
 
Top