Choose One Door

  • Work-from-home

shami-khan

Regular Member
Sep 26, 2013
53
70
18
lahore pakistan
Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar “Sakht Tar ” Nikla
Para Hai Vaasta Jis Se Wohi “Teer-o-Tabar” Nikla

Sabaq Deta Raha Umr Bhar Jo Roshan Khayali Ka
Usay Bhi Jab Paas Se Dekha Tou “Tang Nazar” Nikla

Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahay Thay Hum
Usay Jab Chhuu Kar Dekha Tou Faqat “Khaaki Bashar” Nikla

Mohabbat Ka Khumaar Utraa Tou Saabit Howa “Mohsin”
Jisay Hum Umr Samajh Rhay Thay Faqat “Be Maqsad” Safar Nikla

Chalo Chodoo By Mohsin Naqvi
CHALO CHORO
CHALO CHORO Muhabbat jhoot hai
Ehd-e-wafa ik shughal hai baikaar logon ka
“Talab” sookay huway patton ka baironuq jazeera hai
“Khalish” deemak-zada awraaq par boseeda satron ka zakheera hai
“Khumaar-e-wusl” taptee dhoop ke seenay pe Urrtay baadlon ki raaigan bukhshish
“Ghubar-e-Hijr” sehra main sarabon say atey mosam ka khamyaza
..

..
..
..
CHALO CHORO
CHALO CHORO Ke ab tak main andhairon ki dhamak main saans ki zarbon pe
Chahat ki bina ruk kar safar karta raha tha
Mujayehsas hi kub tha
Ke tum bhee mosumon ke saath apnay peruhun kay rung badlogi
..
..
..
..
CHALO CHORO
Wo saray khwab kachee bhurbhuree muttee ky baiqeemut gharonday they
Wo saray zaaiqey mairee zuban pur zakhm ban kar jam gaye hongay
Tumharee unglion ki narm poOrain puthuron pe naam liktee thee mera laikin
Tumharee unglian to aadat’an ye jurm kartee theen
..
..
..
..
CHALO CHORO
Safar main ajnubee logon say aisay haadsay surzud huwa karthay hai
Sadion say

..
..
..
..
CHALO CHORO
Mera hona nu hona ik barabar hai
Tum apnay khaal-o-khud ko aayeenay main phir nikurnay do
Tum apnee aank ki bustee main phir say ik naya mosum uturney do
“meray khwabon ko murnay do”
nuyee tasweer daiko
phir naya maktoob liko
phir nuye mosum nuye lafzon say apna silsila jorho
meray maazee ki chaahut raayegaan sumjo
meree yaadon say kuchey raabitay torho
..

..
..
..
CHALO CHORO
muhabbat jhoot hai
Ehd-e-wafa ik shughl hai baikar logon ka
 

shami-khan

Regular Member
Sep 26, 2013
53
70
18
lahore pakistan
Daman-e-Gull Me Hi Gulzaar BiKhar Jaate Hain
Aag Bujhti Hai To Angaar Bikhar Jaate Hain,
Shama Jalti Hai Sada Ek Hi Lamhe Me LeKein
Jal Ke Parwaane Kaie Baar Bikhar Jaate Hain,
Jin Ko Insaan Pirota Hai Bohat Ulfat Se
Haaye Woh Gull Sar-E-Bazaar Bikhar Jaate Hain,
Paaon Uthate Hain Tere Koche Ki Jaanib Jab Bhi
Apni Raahon Me Kayi Khaar Bikhar Jaate Hain,
Raat Ke Pichle Pehar Kehoon-e-Tamanna Ki Tarha
Hum Teri Yaad Me Ay Yaar Bikhar Jaate Hain,
Ho Ga Andaaz-e-Wafa Un Kea Alag Hi Mohsin
Jin Kei Rahoon Me Talabgaar Bikhar Jaate Hain...!!!
 
Top