Chale bhi aawo

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
chale bhi aawo

chale bhi aawo, hum tumhe yaad kiya karte hain,
yeh woh gunaah hai, jo hum baar baar karte hain,




na hai sukoon tumhe, aur na hai ab qaraar hamein,
jala ke charagh is dil mein, hum tera intizaar karte hain,



teri woh hotoan ki tabassum, aur woh teri qaatilaana nazar,
teri har ek adaa pe, hum apni jaan nisaar karte hain,



tere wafawon ki yaad, ab is seeney mein yun ubharti hai,
bhula kar tera har ek sitam, hum tum se hi pyaar karte hain,



chale bhi aawo, hum tumhe yaad kiya karte hain,
yeh woh gunaah hai, jo hum baar baar karte hain
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top