bta dey kis se hum jhagra karain!

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Log jayain ya taira peecha karain
har qadam par sochte hain kia karain
ya hmari talkh baaton ko sahar
ya bta dey kis se hum jhagra karain
dhundhte to hum bhi hain raah-e-frar
sochte to hum bhi hain k kia karain
ik muddat ho gai roye huye
yaar majlis hi koi barpa karey
apni marzi se guzarain zindagi
din ko soyain raat ko jaga karain
chorne ko chor dain dunya magar
itne saare doston ka kia karain
shehar ko shaur-e-qayamt chahiye
yaar ye do chaar chiryan kia karain
aapko ye haq akahir kis ne diya
aap ehl-e-dil ko q ruswa karain
aap ne to phir bahaya khoon-e-khalq
hum agar ghusse may hon to kia karain?
shaakh se q tor laye taza gulab
q kisi titli ka haq mara karain
tum mukammal baat par khamosh ho
log to poora maira jumla karain
bas nhi chalta zmane par agar
baal hain sar par inhe nocha karain
ye sumandar to ugal daita hay laash
qasad karna hay to sehra ka karain
Qais mil jaaye to poochain murshada
ishaq karna chor dain ya hum karain!
 
Top