Bila-unwaan - Spain Ka Suffer!!

  • Work-from-home

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Assalaam-O-alaikum Friends

Aaj main apnay 'Bila-unwaan' silsilay ka aaghaz kar raha hoon, taakay apnay safar kay douran jo nayii cheez dekhoon aur sunoo usski maloomaat aap sab say share karoon, I am sure this will help us learning and knowing many new things and will help us improve our understanding.

Kehtay hain kay 1000KM ka safar tay kar loo yaa 3 kitaboon ka mutala'a kar loo, aik hi barabar hay.... kiyon 1000KM kay safar kay douraan aap ko jo maloomat aur jo experiences miltay hain wohii maloomaat 3 kitaaboon kay mutala'ay kay baraabar hotay hain.

Main nay bhi apnay safar main bohat kuch seekha, bohat say mazahib, saqaafat, zabaan, cuisines, aur aisi hi bohat see baatain samjhee jo zindagi main kahin na kahin kaam zaroor aatii hain....!

Yeh Juma mubarak ka dinn tha aur main bus main rawaa dawaan tha, yeh bus bohat hi luxury thii aur mera safar ka rukh tha 'Saville'... Saville jo kay SPAIN ka aik shaher hay jahan muslamaanon nay taqrrban 800 saal hukumat kii hay.... Saville ko pronounce karnay main issay 'Savaiyaa' paRha jaata hay (SPAINISH language main double L (LL) 'Ya' ki awaaz nikaalta hay) waisay muslamaanoon kay dour main yeh aik shehzadi ISBHILIYA kay naam say jaana jaata tha jo ISBHILIYA say change hotay hotay SAVILLE hogaya!!

Khair iss safar kay douraan meri mulaqat aik Pakistani nazaad Spanish laRkay say huyii woh Karachi ka hi rehnay waala tha magar barsoon say SPAIN main aabaad tha.... hum dono nay aik dosray ko deekha aur qudrati ankhon hi ankhoon main aik aqeedat ka rishta qayim kar lia....woh SPANISH zabaan per uboor haasil rakhta tha.... uss nay mujhay SPAIN main muslamanoon ki history kay baaray main bohat kuch bataaya, aisi aisi baatain bhi batayii jinn say main itni history ki kitaabon ko paRhnay ka baad bhi na-waaqif tha.... chand baatain yeh hain kay:

1. SPAIN main ARABIC ko khatam karnay ki bohat koshish kay bawajood bhi aaj bhi SPAIN ki zaban main 800 say ziyada alfaaaaz Arabic zabaan kay hain.

2. SPAIN per muslamaanoon nay 800 saal kay qareeb hukumat kii magar wahan musalmanoon ka aik bhi QABRASTAAN nahin hay!!

Aur aik bohat hi hairatnaak baat jiss kay jaannay kay baad mujhay andaaza hua kay hum kisi baat ki HISTORY ko samjhay baghair kiyon uss baat ko follow karnay lag jaatay hain aur baRii khushii say uss ka charcha kartay hain!!!

3. SPANISH muslamanoon ko MOSQUITO kay naam say pukartay thay issi waja say muslim Masajid ko MOUSQUE ka naam dia gaya aur aaj hum yeh lafz barha istimaal kartay hain yeh soch kar kay hum MASJID ki ENGLISH main translation kar rahay hain..... magar yeh translation nahin hay.... humarii MASJID english main bhi MASJID hii hay... jaisay bohat say humaray Arabic aur Urdu kay alfaaz hain jinn ki translation usi main hoti hay maslan DHOUTI, SHALWAR, waghaira!!

Aur aik aur haqeeqat jiss ko sunnay kay baad mera dil doub sa gaya.... aur yaqeen karain aap bhi TAREEKH ka yeh DARK CHAPTER paRh kar bohat hairaan hongain.....

4. Yeh baat hay kay 2nd January 1492 main Spain kay last Muslim ruler nay SPANISH forces kay aagay surrnder kia aur Grenada (Jissay hum GARNATA) kay naam say jaantay hain Spanish forces kay haath main day dia.... iss douran uss nay aik TREATY sign kii thii jiss ko spanish jo kay FAATIH thay nay honor nahin kia.... uss treaty kay mutaabiq MUSLAMANOON ko qatal nahin kia jaayay ga, unnki jayidad ko zabt nahin kia jaayay ga, unhain zabardasti convert nahin kia jaayay ga, jo yeh mulk chouR kar jaana chahay unhain 'free passage' dia jaayay ga, taakay woh Morocco jaa sakain....!!

Inn Christians nay yeh sharayit manzoor kii aur SPAIN waapis unnki taheweel main chala gaya.... iss muhaday kay baad, muslamanoon main jo log SPAIN chouR kar jaana chahtay thay unhain aik BOAT main sawar kia gaya jinn main LAST KING MOHAMMAD XII bhi tha aur uss kay saath uss ki MAA aur uss kay rishtay daar aur muslim fouj, uss kay mehyl main kaam karnay waalay... mehaz kaafi taadaad main muslamaan thay.... MUHAMMAD XII Spain say widaa hotay huway bohat roya, uss ki MAA nay uss mouqay per kaha kay 'Mujhay afsoos hay kay main nay tujh jaisay buzdill ko apni kookh say janam dia'

Khair iss SHIP ka rukhh Morocco tha.... magar samandar kay beech main hii iss per hamla kar kay iss SHIP ko SAMANDAR NAZAR kar dia gaya.... aur aaj bhi SPAIN balkay duniya waalay jinn main MUSLIM MUMALIK including PAKISTAN bhi shaamil hay woh dinn baRiii KHUSHI say aur DHATAYII say manaatay hain.... Jee haan woh manhoos tareekh jiss din MUSLAMANOO ko MUHAIDA karnay kay bawajood FOOL banaya gaya aur unn ka shop paani main dibbo dia gaya woh tareek thii 1st APRIL 1492, jisay hum APRIL FOOL kay naam say jaantay hain!

May ALLAH Light and guide our ways AMEEN

FI amaan ALLAH

@Hoorain @h@!der @Shizu @AM_ @NailaRubab @DesiGirl @Shiraz-Khan @Fanii @fatimanoor @fouziakhan @Hira_Khan @Rubi kindly tag other members as well, khush rahyeh
 
  • Like
Reactions: Shizu

Rubi

๋• ˆ⌣ˆ ● ĴнαLLi ● ˆ⌣ˆ •๋
Hot Shot
Aug 17, 2010
47,979
14,096
913
WoℵdeℜLaℵd ツ
april fool wali baat main jaanti thi
baqi sb naya thaa
quite Informative !!

Reactions: thefire1

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Main nay bhi kitaboon main kahiin paRha tha. .. laikin uss jagah jaa kar yeh baat janna aur khudh Al Hamra palace ka visit karna aik bohat hi takleef dayy baat thii. ..

thank you for your kind words. Khush rahyeh :)

april fool wali baat main jaanti thi
baqi sb naya thaa
quite Informative !!
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!

waalaikum assalam
ohh thanx for sharing,,in may se koi b baat muje pehle se malum nhi thi....
Keep sharing more info...
sum aameen @ dua
 
  • Like
Reactions: thefire1
Top