Bikhri bikhri si zulfein hai kyu?

  • Work-from-home

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
Bikhri bikhri si zulfein hai kyu?

Bikhri bikhri si zulfein hai kyu?
Khoyi khoyi si aankhein hai kyu?
Gum ka yeh pal guzar jaayega,
Phir koi humsafar aayega

Beete pal bhool jaa,
Wo pal nahi hai kahin,
Laayenge pal naye,
Ek zindagi fir haseen,
Yeh bheegi palkein utha,
Yeh soch ke muskura,
Laayega fir samay koi zamana aisa yahan,
Phir chalegi hawa manchali,
Phir se mehkegi koi kali,
Phir koi humsafar aayega,
Dil koi geet phir gaayega…

Raat lambi sahi,
Phir bhi yeh ek raat hai,
Subah ho jaayegi,
Sau baton ki baat hai,
Phir jaagegi yeh fizaa,
Phir dil ka ek raasta,
Le jaayega wahin tujhe,
Teri tay manzil jahan,
Sach to yeh hai ki hona hai yu,
To in aankhoin mein aansoo ha kyun,
ghum na ker to jo murjhagae,
phool khiljaenge phir nae....

 
Top