Aye Bandae Khuda Apni Jawani Per Faqr Na Kar

  • Work-from-home

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Assalamualaikum wrwb doston:)
ALLAH RABBUL IZZAT ka behisaab shukr o ehsaan hai ke isne hame na sirf apna banda banaya balke huzoor alaihusalaam ki ummat me rehkar behtar tareeqe se zindagi guzaarne ka mauqa inaayat farmaaya hai. sabse pehle hum apni qulqat per ghaur o fikr karen ke hum pehle kuch na the lekin isne hame wajood ataa farmaaya, wilaadat ke baad hum apni taraf se harkat karne ke bhi qaabil na the to apne waaldein ne hame is qaabil banaaya aur hum apni zindagi ke marhale taye karne lage yaha tak ke hum jawaan hogae.
ab hame ye dekhna hai ke hamari ye jawani kya ALLAH aur Rasool allah salal laahu alaihuasalam ke tareeqe ke mutabiq aage barh rahi hai ya nahi. ya phir hum apni jawani ka ghalat istemal karte hue dunya ko haasil karna chahte hai. Agar yahi mansha hamara hai to ye jawani hamare liye dunya aur aaqirat me koi kaam nahi aayegi.
ALLAH RABBUL IZZAT ka irshaad-e-paak hai ke (Aye habeeb-e-pak aap farmaadijiye dunya ka saaz o saman thora hai) ab is aayat me hame ghaur karna hai ke ALLAH RABUL IZZAt hamse is dunya ke baare me kya kehna chahta hai, yahi ke ye dunya aur usme jo kuch hai sab ka sab thora hai aur wo bhi khatam hone wala hai koi cheez baaki rehne wali nahi siwae Amal-e-saaleh ke jawani hame isliye di gai hai ke ham is umar me taaqat ka sahi istemaal karen gaali galoj, fahash guftagu, hasi mazaak, dusron ka nuqsan karna walidain ghar aur baaher ke afraad ke saath nazeba alfaaz ka istemal tamaam baron aur choton ka adab wo ehteraam asaateza ka ehteram, buzrugaanedeen ki taazim aur khaas taur per ALLAH ka khauf aur Rasool -e-pak Sallal laahu Alaihuasallam ki tazeem o takreem baja laana behad zaruri hai
Chunache Hazrat Imam e Ghazali rehmathullah alai apni kitaab Makaashiftal khuloob me tehreer farmaate hai ke ek buzurg hazrat Mutraf bin Abdullah rehmatullah alae ne ek shaqs ko reshmi jhubba pehne bare faqr o naaz se chalte hue dekh kar kaha ki Aye Bandae Khuda ye chaal unlogon ki hai jinhe ALLAH TAALA napasand karta hai aur jo Rasool-e-Khuda Sallal laahu Alaihuasalam ke dushman hai. to is shaqs ne kaha ke pehchaante hue ke mai kaun hun uske jawab me Hazrat Mutraf rehmatullah alai farmaane lage ke mai achi tarah jaanta aur pehchaanta hun teri ibteda napaak nutfe se, teri inteha gande murdaar ke taur per hai aur darmiyaani muddat me tu gandagi uthae phirta hai. to wo shaqs buzurg se ye saari baaten sun kar apni takabburaana aur magroorana chaal chor diya isse pata chalta hai ke hame apni jawani me takkabbur ko hargiz ikhtiyar nahi karna chahiye aye Naujawaan aane wali tehreer ko baghaur parhlijiye.
Aye naujawan yaad rakh!
Agar ALLAH TAALA ne tujhe khoobsurat banaya hai to usper tu math akarh balke RABBE TABAArakutaala ka shukar adaa kar.
Aye naujawan yaad rakh !
Agar tu khubsurti per faqr karega to yahi khubsurti tujhe qabr me badbudaar murdaar bana degi.
Aye Naujawwan yaad rakh !
Is dunya se tu koch karne wala hai tawaze aur inkesaari ko ikhtiyaar kar..
Aye naujawan yaad rakh !
Maut ka inkaar tu kabhi math kar takabbur ko chor aur salaamti per khaayam reh..
Aye naujawaan yaad rakh !
ye dunya ki zindagi chand roza hai, maut ko har roz yaad kar.
Ye tehreer ki chand baaten hum naujawaanon ke liye bohot hi zaruri hai ke wo isko parh kar apni zindagi me inqilaab laane ki koshish karen aur ye irada bhi karlen hum aayinda kabhi aisa koi kaam ghalat nahi karenge ke jisse hamare muashre ki badnaami hojae, balke hum ye koshish karenge ke hum bhi nek banen aur hamare saath rehne wale bhi nek bane
Hum tamaam ye ehed karen ke hamesha ALLAH TAALA aur Rasool ALlah sallla laahu alahiuasallam ki itaa'at zarur karenge
Kabhi bhi shaan-e-risaalat me beadbi aur gustaakhi nahi karenge balke eshaat-e-deen aur sunnat-e-mustafa Sallal laahu alaihuasalam ko ujaagar karne ke liye hum tamaam naujawan apni taakhat ka har waqt sahi istemaal karenge ALLAH RAABUL IZZAT hum tamaam naujawano ko nek taufeeq ataa farmae Ameen
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
  • Like
Reactions: Sis

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
@sweet_c_kuri, @Abidi, @F-iceage, @~Bella~, @~Ambitiou$ Girl~, @lovelyalltime, @Fitna e Dil, @i love sahabah, @shizz, @Tooba Khan[DOUBLEPOST=1350729582][/DOUBLEPOST]@marib, @whiteros, @anoush, @arifmaqsood1125, @chaya4, @cute bhoot, @sweet bhoot, @cutepoison, @cute_doll, @Diva[DOUBLEPOST=1350729738][/DOUBLEPOST]
I'm speechless .......!
really thought provoking reality
very well done
congratulations for such a great article!
Keep writing.....:)

JazakALLAH Khair @Sient Soul
Mai ek article parh raha tha news paper me isse related to maine us article ke kuch hisse is me add kiye aur ye topic per likh diya:)
 
  • Like
Reactions: Silent Soul

Silent Soul

Banned
May 24, 2012
3,420
2,568
113
Karachi
@sweet_c_kuri, @Abidi, @F-iceage, @~Bella~, @~Ambitiou$ Girl~, @lovelyalltime, @Fitna e Dil, @i love sahabah, @shizz, @Tooba Khan[DOUBLEPOST=1350729582][/DOUBLEPOST]@marib, @whiteros, @anoush, @arifmaqsood1125, @chaya4, @cute bhoot, @sweet bhoot, @cutepoison, @cute_doll, @Diva[DOUBLEPOST=1350729738][/DOUBLEPOST]


JazakALLAH Khair @Sient Soul
Mai ek article parh raha tha news paper me isse related to maine us article ke kuch hisse is me add kiye aur ye topic per likh diya:)
Appne acha article likha hai. wese Indian konca news paper parh rahe the? Can u tell me konce indian news paper articles ke hawale se ache hote hain ta ke mai net par parh loon!
 
  • Like
Reactions: Wasif Safi

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Yaha Hyderabad me 3 ya 4 urdu news papers hai jisme
Munsif
Etemaad
Rehnuma-e-daccan[DOUBLEPOST=1350730233][/DOUBLEPOST]
Appne acha article likha hai. wese Indian konca news paper parh rahe the? Can u tell me konce indian news paper articles ke hawale se ache hote hain ta ke mai net par parh loon!
Agar artices ke hawale se aapko parhna hai to mai kahunga ke Munsif aur wo bhi friday ka bohot hi acha hota hai usme ek secton hota hai Classifieds ka wo paper zarur parhne ki koshish karen, mai aur ek silsila shuru karne waa hun jo har Jumma ke din Munsif me aata hai jisme maine islam kyu khabool kiya jo log Islam me daakhil hote hai aur kaise kaise marhalo ko paar karte hai us paper me aata hai..
 
  • Like
Reactions: Silent Soul

Silent Soul

Banned
May 24, 2012
3,420
2,568
113
Karachi
Yaha Hyderabad me 3 ya 4 urdu news papers hai jisme
Munsif
Etemaad
Rehnuma-e-daccan[DOUBLEPOST=1350730233][/DOUBLEPOST]

Agar artices ke hawale se aapko parhna hai to mai kahunga ke Munsif aur wo bhi friday ka bohot hi acha hota hai usme ek secton hota hai Classifieds ka wo paper zarur parhne ki koshish karen, mai aur ek silsila shuru karne waa hun jo har Jumma ke din Munsif me aata hai jisme maine islam kyu khabool kiya jo log Islam me daakhil hote hai aur kaise kaise marhalo ko paar karte hai us paper me aata hai..
Thanks for ur guide! mai online read karongi. Haan yeh silsila shuru karen ta ke humen maloom ho sake woh kia awamil hain jinse non muslims islam ki taraf raghib horahe hain.best of luck:)
 
  • Like
Reactions: Wasif Safi

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
wo0ow.........
such a nice thought
indeed a message..............
bht khub likha bht acha

Thankoo Bela:)[DOUBLEPOST=1350731198][/DOUBLEPOST]
Thanks for ur guide! mai online read karongi. Haan yeh silsila shuru karen ta ke humen maloom ho sake woh kia awamil hain jinse non muslims islam ki taraf raghib horahe hain.best of luck:)

Haan Insha'ALLAH jald hi karunga start wo bhi..)
 
  • Like
Reactions: Silent Soul

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
walaikum assalam
mene poora nai para lekin highlights paray hain aapke article k, n i would say its an amazing effort bro:) beshak Jawani chand din ki hoti hai aur yeh ek tarah se hamare liye aazmayesh hai k kis tarah hum apne nafs aur khwahi'shat pe qaboo rakhte hain. my mum always says k jawani ki umar main ki hui ibaadat ALLAH ko bohat pasand aati hai (m not saying k baqi ages main ibaadat karne ka sawab kum hai, but is age main bohat kum log esa karte hain).
 
  • Like
Reactions: Wasif Safi

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Wa'alaikumussalaam
great thread Wasif bhai Pc se aa
kar mukammal parhunga INSHA'ALLAH .
Zarur parhiyega Saif:)[DOUBLEPOST=1350764891][/DOUBLEPOST]
Walaikum salam
Ameen
JazakALLAH khair for sucha beautiful advice note:)
Thanks a lott Msc:)[DOUBLEPOST=1350765004][/DOUBLEPOST]
walaikum assalam
mene poora nai para lekin highlights paray hain aapke article k, n i would say its an amazing effort bro:) beshak Jawani chand din ki hoti hai aur yeh ek tarah se hamare liye aazmayesh hai k kis tarah hum apne nafs aur khwahi'shat pe qaboo rakhte hain. my mum always says k jawani ki umar main ki hui ibaadat ALLAH ko bohat pasand aati hai (m not saying k baqi ages main ibaadat karne ka sawab kum hai, but is age main bohat kum log esa karte hain).

Highlights se amazing dikh gaya kya neelu:p pura parhleti to kya chae jata:p
Just kidding, haan bilkul sahi kaha kehte hai ke Jawani ki ibadat sona hai, yahi umar hai ibrat haasil karne ki aur deen ko mazbuti se tham ker chalne ki.
ALLAH TAALA tamaam musalmano ke imaan me pkhtagi ataa farmae aur un sabko seerat ul mustaqeem per chaae Ameen..:)
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH
Top