Apna hissa shumar karta tha
mai tujhey itna pyar karta tha
wo banata tha meri tasveerain
aur batain hazar karta tha
mera dukh bhi khulus e niyyat se
apne dukh mai shumar karta tha
sach samajhta tha jhoot ko bhi merey
yu'n mera aitebar karta tha
pehle rakhta tha phool rustey mai
phir mera intezar karta tha
aaj pehloo mai wo nahi hai Faraz
mujh pe jo jaa'n nisar karta tha
mai tujhey itna pyar karta tha
wo banata tha meri tasveerain
aur batain hazar karta tha
mera dukh bhi khulus e niyyat se
apne dukh mai shumar karta tha
sach samajhta tha jhoot ko bhi merey
yu'n mera aitebar karta tha
pehle rakhta tha phool rustey mai
phir mera intezar karta tha
aaj pehloo mai wo nahi hai Faraz
mujh pe jo jaa'n nisar karta tha