Ajal se khouf zada

  • Work-from-home

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Ajal se khouf zada zeeist se dare huwe loug
so jee rahe hain mere sheher mein mare huwe loug

yeh be dili kisi aafat ka paish e khaima na ho
ke chashm basta hain zaanon pe sar dhare huwe loug

na koi yaad na aansu na phool hain na chiragh
to kya dayaar e khamoshan se bhi pare huwe loug

hawa e hirs sabhi ko uraye phirti hai
yeh gird baad e zamana yeh bhus bhare huwe loug

yeh dil sanbhalta nahin hai vida e yaar ke baad
ke jaise so na sakein khuab mein dare huwe loug

kuch aisa ziulm ka mousam theher gaya hai Faraz
kisi bhi aab o hawa mein naa phir hare huwe loug
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Ajal se khouf zada zeeist se dare huwe loug
so jee rahe hain mere sheher mein mare huwe loug

umdah intikhab.....
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
kuch aisa ziulm ka mousam theher gaya hai Faraz
kisi bhi aab o hawa mein naa phir hare huwe loug

bohat khoob :-bd
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH
Top