Ab darindo se na haywano se dar lagta hai,
Kiya zamana hai ke insaano se dar lagta hai,
Izzat-e-nafs kisi shakhs ki mehfooz nahi,
Ab to apne hi nighebano se dar lagta hai,
Khoon raizee ka yeh aalam hai Khuda khair kare,
Ab musalmano ko musalmano se dar lagta hai.