Aik wada hai kisi ka jo wafa hota nahi,

  • Work-from-home

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Aik wada hai kisi ka jo wafa hota nahi,
Warna in taroo'n bhari raaton mein kia hota nahi,

Ji mein Aata hay Ulat dein un k chehrey se naqaab ,
Hosla kartey hain lekin hosla hota nahi,

Shama jis ki Aabro pe jaan de de jhoom kar ,
Woh patanga jal to jata hay Fana hota nahi,

Ab to muddat se Rah-o-Rasm-e-Nazara band hay,
Ab to unka toor par Bhi samna hota nahi,

Har Shanawar ko nahi milta Talatum se kharaaj ,
Har safeeney ka muhafiz Nakhuda hota nahi,

Har Bhikaari pa nahi sakta muqaam-e-khawajgi ,
Har kas-o-nakas ko Tera Ghum Ata hota nahi,

Haye ye begaangi, Apni nahi muj ko khabar ,
Haye ye alam, Keh Tu dil se juda hota nahi,

Baarha dekha hay Saghir Rahguzaar e Ishq mein ,
Karwaan k saath aksar Rehnuma hota nahi....!!!!
 
Top