Ahl-e-Jahaan Ka Nazara

  • Work-from-home

saj_killer

Newbie
Jul 23, 2008
90
68
0
37
Ahl-e-jahaan ka nazaara dekh ke aise hairaan hogaye ham.
Insaniyat-o-izzat ka khel se umeed-e-khizaan hogaye ham.

Zikr-e-Khuda hoti bhi hai to aise bedeenon ki zubaan se.
Un ki shaitani kartooton se hi, ya Allah, veeraan hogaye ham.

Pichhle aah-e-ranj ko rokne, doosre gham mein dafan hote hain.
Fariyad-o-aitraaz abas hain, jaan kar be zubaan hogaye ham.

Zulm dhaane ki aadat khatam hui nahi, jaise sehni ki bardasht hone ko hai.
Angaaron se khaufzada na kar, aaj sailaab-o-toofaan hogaye ham.

Anjaam-e-sabr par ahl-e-asoolon ko yaqeenan shiqayat rehegi,
Majboor hain lekin, Dil Se.. Insaano ke sitam se hi haivaan hogaye ham.
 

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Zikr-e-Khuda hoti bhi hai to aise bedeenon ki zubaan se.
Un ki shaitani kartooton se hi, ya Allah, veeraan hogaye ham.

humnice
 
Top