Agar Ek Baar Hotaa

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
mere dil mere musaafir
huaa phir se hukm saadir
ke vatan badar ho.n hum tum
de.n galii galii sadaaye.n
kare.n ruKh nagar nagar kaa
ke suraag koi paaye.n
kisi yaar-e-naamaabar ka
har ek ajanabii se pochai.n
jo pataa thaa apane ghar ka
sar-e-ko-e-na-ashanaayaa.n
humai.n din se raat karanaa
kabhii is se baat karanaa
kabhii us se baat karanaa
tumhai.n kyaa kahuu.n ke kyaa hai
shab-e-ghum buri bala hai
humai.n ye bhi tha ghanimat
jo koi shumaar hotaa
humai.n kya buraa thaa marna
agar ek baar hotaa
 
Top