Addhuri Love Story

  • Work-from-home

adnan1

Senior Member
Dec 1, 2013
563
347
213
sundas hayat bhi unhi mazi ki yaadon mein mazi k darichy kholy behti thi.kuch yaadein kuch khayalat unhai khud sy apni zindagi ki riyasat ki hukmarani sop daty hain.or kuch rishtay kuch Aahsas hum jin sy bilkul anjaan hoty hain.achanak hi wo sary k sary Aahsast hamari zindagi ki tasveer mein kuch shok or madham rang liya dil ki dehleez par dastak dany lagte hain.

sundas hayat bhi aaj kahin rooz bad un lamhon ke hisar mai thi jin sy bahir nikal kar jeny ki tamana karti tu zindagi hone ka Ehsas uski zaat ko be mine kar jata. or un lamhon ko jeti tu zindagi jaise ke jeene ki waja mil jati.

hamari zindagi sy kahin rishtay jory hoty hain jin rishton ke milne se khoobsurat ghar ki takmeel hoti hai. sundas ki zindagi mein jaane kahan se ek tharao Aagaya tha aaj bhi wo apne kamre mai ankhe mundy sab se ajnabi ho kar unhi yaadon ko zaat ka mehwar banay yaadon ki chadar odhe Aankhen mundy guzre lamho ko yaad kar rahi thi. par kabhi kabhi hum kuch rishton ko kuch jazbon ko khud hi pamela kar daty hain.kabhi apni Aana ko samny lakar kabhi nadangi main.

ya bhi ek hakikat hai rishtay or un main chupi muhabbat rayt hi ki manind hoti hai ke jab tak muti band rahy ya ap k hathon main rahty hain muti jasy hi kholti hai phisal tajaty hain girty chaly jaty hain sachai sy kaim kiya rishaton ko hum abro ki chadar mai dhanp kar rakhty hain par kabhi kabhi be yakini be Aatabari or shaq unhai hum sy bahut dor kar deta hai.

sundas hayat bhi ek hasti muskarati larki thi be sakhta hi khayalon, khayalon main muskura dena or lab khamush hoty tu jasy us k dil ki har baat us ke jazbon ko wo do "2" Aankhen sab kuch Aaya kar dati .

sundas ki zindagi apny ghar or khayalon ki duniya ya coleg tak hi mahdud thi sundas thi bhi Aay si k us hai bahut chaha jay us ki Aarzoo ki jay sundas bhi tu ek Aam larki hi thi wo jab tanhahi main hoti tu wo bhi kuch sapny Aankhon main tartib dati or unhai apni marzi k rung phana kar saja sawar kar apne Aanchal mai ek ek kar k tank ne lagti us ki sochon mai bhi kisi shahzada ki tasveer thi jis k sat kisi lambe safar par us ka hath tham kar kahin manzilon tak safar karne ki Aarzoo bhi panapti thi.

sundas jahan kahin nigahon ko apna muntazir pati un mai sy ek hassan bhi tu tha.jo har roz jab wo coleg sy wapis loti ushai apne rasty mai khara pati ushai hi apna muntazir pati.hassan jis ki muhabbat jany kis inteha par thi ya shahid hassan ny sundas sy mohabbat ki inteha sy hi ibtida ki thi.

kabhi kabhi zindagi mai kuch log kuch jazbat mai kuch rishton ki inteha tak jaane ki koshish karte hain.unki khawish ek tamana ek jazba rahta hai ke wo kisi ki chaa main ya kisi sy apni waafa ka sabut dane ki khatir tamam hade par kar jain apni jaah sy bhi guzar jain.

hassan ny bhi sundas sy muhabaat ki inteha sy hi ibtida ki thi.tabhi tu Aaksar raaton ki tanhaiyon main ek hi shar us k naam sirf sundas k naam kiya karta.

Lipta hai Mere Dil se kisi Raaz ki Surat,
Woh shakhs k jis ko mera hona bhi nahi hai.

Ye Ishq-e-Mohabbat ki Riwayat bhi Ajeeb hai,
Pana bhi nahi hai Usey , khoona bhi nahi hai


hassan sundas ko chaah kar bhi kabhi kuch na kha pata wo darta tha ushai khone k Aahsas sy abhi ek bharam tu kaim tha.shayad wo bhi ushai chati ho ushai hi sochti ho jase hassan k har lamhe,har pal mai wo shamil thi. kehne ko tu hassan ek work shop par kam karta tha us ke walid fout ho chuke thy.or ghar par ek budhi maa thi.halat bhi Aayse na tha k wo ziyada phar sakta wo matric hi kar saka. hassan ki shaqsiyat badalti duniya k rungon sy Aai thi subho sy sham tak work shop par kam karna or raat kisi ki yaadon mai basar karna sirf uski ek jhalk pana k liya wo work shop sy kuch dar ki chuti lay kar tapti dhup mai sundas ko dekhne k liya khara rahta. or ek nazar dekh kar bina lab hilay work shop ki taraf chal deta.

hassan aj bhi sundas ka muntazir tha 2 ghanty dhup mai kharay rahne k bad wapis lota.ishi tarhain poray 8 rooz guzar gae par hassan sundas ki ek jhalk na dekh saka.inhi dino sundas ki zindagi mai kahin rang bihkre.sundas k mamo jo kahin barson bad london sy wapis pakistan Aary thy.sundas ne apne mamo ko bachpan mai dekha tha ab jab wo wapis Aary thy tu itne barson bad bhala wo tanha ke se wapis Aate.

un k sat unki zindagi bhar ka ek bahut kimti Aasas bhi tha.un ke hamra un ka beta ali bhi tha.jis ko phali bar dekh kar hi sundas ko laga ya wohi tu hai jis ka ushai intizar tha.

sundas k mamo jo kahin barson bad bal ke bahut barson bad watan wapis lote thy ab wo hamsha ke liya pakistan Aay thy wo ali ki shadi apni family mai karna chaty thy par jis main ali ki pasand ho is fasly main unho ne ali ko pori Aazadi derakhi thi wo jis sy chay ga ushai apna humsafar bana sakta hai is ki ijazat us ke waladin ki taraf sy ushai pori pori hasil thi.

waqt guzarta gaya ali sundas sy dharon baatein karta or ziyada waqt us k hamra hi guzarta.or sundas ny bhi apna tamam waqt us ke naam kar dala.wo aksar coleg bhi kam jati bal ke yun kahiya us ny coleg bhi chor diya.kuch hi dino ki ya muhabbat ya kuch hi dino ki ya kurbat muhabbat mai badal gai.sundas ny to Aay si hi duniya ke khawab dekhay thy.kahin dawey kahin vaade kahin Adopama bandy gay.

par sundas nahi janti thi.wo bilkol bhi janti thi k jab Aankhen kholy gi tu ya sapna chikna chor ho chuka hoga or zahkmon sy khon rista howa dekhi dega.dosri janib sundas kahan janti thi wo nadan is baat sy bhi bekhabar thi ke koi kitni raaton ki neend gawa kar us ki dhid ki Aarzoo main jera hai.khaty hain dor hony sy jazbon mai shidat Aati hai hassan ka bhi kuch Aay sa hi hal tha ke har pal us ki ek hi dua hoti
Aay parwadigar ek bar mujhy us sy mila dy ke mai us sy dil ka hal khydon.apni tamam raaton ka hisab mango jo us ki Aarzo mai kat gai mari muhabaat ka kuch tu sila mile.

hassan Aaksar sochta rahta ke ab wo mujhy mily tu mai us sy khydon ga mujhy tum sy muhabbat hai mujhy tum sy bepanha muhabbat hai.muhabaat bhi Aaysi ke tumhari muhabaat mai apni jaan tak lota dange.

hum teri mohabbat mein.
yoon pagal rehte hain.
hum teri mohabbat mein.
yoon pagal rehte hain.
deewane bhi hum ko deewana kehte hain.


hassan aksar sundas hi ki sochon mai khoya rahta wo ishi tarhain k sapne dekhta ushai raaton mai neend bhi na Aati kyon k wo sirf OR sirf ushi ko sochta rahta us sy dharon baatien karta rahta ushai shayad wo zindagi mai sab sy ziyada Aachi lagti thi.raat mai chand sitaron ka husan bhi ushai maan sa nazar Aata.

dosri taraf sundas apni sochon or bore wahmat sy nikal ny k liya aj kitny rooz bad coleg jane k liya tiyar hoi.hamesha ki tare hain aaj bhi coleg se wapsi par ushai hassan ko apna muntazir paya.hassan jo sundas ko dekh kar jeta tha aj kahin roz bad ushai samne pa ke jane kis Aahsas k tabe us ki Aankhon sy Aasu chalak phary ushai tu laga tha k us ny apni khamoshi mai sundas ko khodiya hai.hassan ne fasla kiya ab ushai is bhir main gum hone nahi dega hamesha ki tarhain is bar der nahi kare ga.jab sundas us k pas sy guzri tu Aaj hassan k lab khol hi gae.or usne sundas k samne bahut himmat karte howe khahi diya.

k suniya........

magar sundas jis ny Aawaz tu suni lakin ruki nahi bina us ki taraf dekhy chalti gai.ab bharai hoi Aawaz main pher us ny kaha.

pls........ mari baat tu suniya.!

main ap ko bahut chata hon main ap sy bahut pyar karta hon.sundas us ki baat tu sun chuki thi lakin ek lamhy ko ruki nahi kyon k wo khy chuka tha mujhai tum sy muhabbat hai us k dil k tamam jazbe hassan ne Aaya kar dale wo Aajbharam ki duniya sy nikal chuka tha kyon k wo in kuch dino main jis karb sy guzra tha ya sirf hassan hi janta tha.

wo hassan ki sab baatien sune k bad ushai kuch khany k bajay thori si herat or pher haste howe Aagy chaldi magar jane sy phaly ushai ek baat khegai.....!

tum ne kabhi apne huliya par goor kiya ya bare bare kurty ya itne ghadle melay sy kapry tum kisi jokar sy kam nahi tum ny ke sy soch liya ke muj jasi larki ke kabil ho sakty ho tum.

bas akhiri baat yahi thi.....

"tum ny ke sy soch liya ke muj jasi larki ke kabil ho sakty ho tum"

or wo wahan sy chaldi magar hassan ki Aankho sy hoti hoi barsat or us raha sy ghar tak ki musafat kitni tawil thi.
hassan tu itna masruf tha gamy rozgar mai ke wo is badalti duniya k rang o dhang apna hi na saka.par hassan k pas bas ik izat hi tu thi or jazbo ki sadaqat. Aaj koi ghari chot lagi thi.us ki muhabaat thek hi tu hai.

har rishtay mai izat sy bhar kar kuch nahi hota.

"kisi ko kisi sy muhabaat nahi ya baat Aalag"

lakin sirf isliya muhabaat nahi?

"ke kisi kapry bahut ghadle hain"
"koi jokar dikhta hai"
"kisi ke pas sy pasinay ki badbu Aati hai"
"us ke bare bare kurty hain"


kisi bhi rishtay mai izat sy bhar kar kuch nahi hota.
izaton sy barkar tu or kuch nahi hota.

chahaton ki doori bhi turna hi pharti hai,
manzilon ki kashti bhi morna hi pharti hai ,
bhoolna hi pharti hai khud sy pyare logo ko,
dil ke Aagan main nakash un ki tasveery,
kush hasin lafzon ki kuch hasin thariray,

paon jin sy jagry hon wo wafa ki zanjiry kholna hi pharti
khub surat Aankho main basne wale khawabon ko nuchna hi pharta hai
dil sy milta har rishta torna hi pharta hai
izaton sy barkar tu kuch or nahi hota


hassan soch ny laga jab sena hai zakham khanay or sahny ke liya tu tut ny ke liya sirf ek dil hi kyon Aaj koi Aaysa na tha jo hassan sy roo ny ki waja pochta us ka dard banta Aaj ki raat kahin salon par muhit lag ny lagi itni tawil ke jasy us ki sahar hi na ho.

Bahut hi door kahiin wadeyon se yeh sada aai
Ke jab tum pyaar karna tu iqraar mat karna
Ke jo iqraar karta hai usse umeed hoti hai
Usse umeed hoti hai kisi ke muskurane ki

Kisi ke muskuraane aur phir nazrein jhukane ki
Inhee jhukti hue nazroo se us ke aah bharne ki
Woh jo iqraar karta hai usse umeed hoti hai
Haan jo iqraar karta hai usse umeed hoti hai

Usse umeed hoti hai ke woh nakaam na hoga
Usse umeed hoti hai ke woh badnaam na hoga
Usse umeed hoti hai ke jo sapna us ne dekha hain
Woh sapna aik din sharminda-e- tabeer honge

Woh sapne jin mein us ne khud ko bahut masroor dekha hai
Woh sapna jis mein us ne ek hasseen chehre ko dekha hai
Woh chehra jis peh bal khaati zulfoon ka pehra hai
Woh chehra jis peh do aankhoon ka kaala rang ghehra hai

Woh chehra jis peh do hanste hue se lab hain
Hazaaroon phool baraste hain woh lab jab bolti hain
Woh lab jin se nikalte hue alfaaz jo sun le
Woh bas ulfat mein par jaye hazaaroon khowab woh ban le

Kisse kaise bataye us ke hai lehje ka assar kya
Ke jaise barsoon se pyasi kisi zameen peh baarish
Ke jaise sadeyoon se be-jaan jism per dam-e-Essa
Woh haseen aur woh khud ek chote se ghar mein rehti hain

Woh donoo choti choti batoon pe roz hansti rehti hain
Woh chota ghar ke jahaan har taraf khushiyan hi khushiyan hain
Woh chota ghar jahaan har taraf hi pyar ayyaaan hai
Yeh sapnay woh hi bunta hai jissay umeed hoti hai

Ke sapnay aik din sharminda-e- tabeer bhi honge
Magar aisa na ho tu phir
Agar aisa na ho tu phir

Woh sapnay toot jaayain tau
Woh gar nakaam ho jaaye tau
Woh lab na muskuraayain tau
Agar aisa na ho tu phir

Agar aisa na ho tu phir bahut takleef hoti hai
So jab tum pyaar karna tu kabhi iqraar mat karna
Ke jo iqraar karta hai ussay umeed hoti hai
Ke jo iqraar karta hai ussay takleef hoti hai...

 
  • Like
Reactions: Oheenatk

adnan1

Senior Member
Dec 1, 2013
563
347
213
wahain sundas ali k khawabon mai gom thi.us hai tu ya bhi yaad na tha ke Aaj us ny kisi ki zaat ka kitna bhara mazaq uraya wo kesy kisi dard ki shidadt sy Aashna hoti.wo tu ali ki muhabaat ke sarahab mai jee rahi thi har guzarti sham or dhalty suraj ke sat us ke naam ka diya jala kar apne dil ki taak ki oud sy jankty hasin lamho or Aany waly kal ke khawab sajati wo sirf un wadon ko yaad karti jo ali ny kuch din us ke ghar tahar kar ussy kiya thy lakin ali bhi kuch roz ka khy kar apny walid ke sat apne mamo ke ghar chaly gaya.

ab kuch roz sy sundas coleg se wapic Aati tu wohi mor us kitna suna sa lagta dor dor tak ushai kahin bhi hassan nazar na Aata. go k log tu bahut hoty lakin itny logon ki mujodgi mai bhi.sirf ek shakhs Aaysa hai jo phaly tha tu lagta tha ke sab kuch mujod hai lakin Aaj ek wo shakhs hi tu nahi sab kuch ushi tarhain sy hai rasta bhi wohi hai rash bhi ushi tarhain sy hai lakin wo do nighain kahin par nazar nahi Aati jo Aaksar us ka intizar karti rahti Aaj wo hassan us rah par kahin mujod na tha jo hamesha wahain muntazir rahta kitna suna sa lagta dor dor tak koi sadaa ya koi Aahat us ke bagar nahi or nahi us rasty par kisi ki nigahain ab us ka us tarhain sy hisar karti.jab wo samny tha tu sundas ny uske hony us ke Aahsas ko dil mai jaga na di ab us raah par koi nahi tu kyon us ko sochti pher dil mai uthny waly sawalon or us ke khayalat ko zahan sy jhatak dati

magar sab kuch insan k apne bas mai tu nahi hota guo k us sy muhabaat nahi thi lakin ek shakhs tu tha jis k dil mai is ki Aahmiyat tu thi bahut na sahi bahut kam na sahi lakin bahut kam sy bahut kam Aahsas tu us ka pher bhi us dil mai rah ga. zinda rah ga

Dil se tera khayal na jaye to kya karun,
Tu hi bata tu yaad aaye to kya karun,

Hasrat yehi hai tujhe dekh lun magar,
kismat wo lamha na laye to kya karun.


Aaj kahin dino baad ali or mamo wapis Aary thy wo kitni kush thi kabhi sochti k ali Aay ga tu wo us k samne tak na jae gi ya us par gusa kary gi rout jae gi ke us ny itny dino mai ek bar bhi yaad nahi kiya kasi muhabaat thi us ki kia ek bar bhi ali ko mari yaad na Aai us ny ya din k sy guzarypar ali ko samny paa kar jaise sary shikway bhool gai.sundas jis walihana nazron sy ali ko tak rahi thi.ali na sirf ek sar sari si nazar dal kar chera jukhaliya or thakawat ka bahana bana kar Apne room mai chala gaya sundas ko ya sab dekhny ko mila tu ushai bahut nagawar guzra ke itne dino ki dori ke bad wo ishai itni Aaj Nebiyat sy kyon kar mila.

Toot jaye na bharam hont hilaon kaise,
Hal jaisa bhi ho logon ko sunaon kaise,
tari surat hi mari Aankhon ka sarmaya hai,
tare cheray sy nighaon ko hataon kaise,
wo rulata hai mujhe jee bhar ke rulae,
mari Aankhyan hai,mai us ko rulaaon keise,
Khushk aankhen se bhi ashkon ki mehak aati hai,
Mai us k gham ko zamane se chupaon kaise,
Phool hota to mai us k dar pe saja bhi deta,
Zakham le k uski dehleez pe jaon kaise,


sundas ny socha sham ko ali sy baat ki jai duphar k khany par ali nahi Aaya. or sundas ke mamo ny sab ko ek kush khabri sunai......!

kisi ki kush khabri kisi ki kushi kisi ke liya gamm hota hai hamri zindagi main bhi bahut bari kushi ban kar Aany wali shay bahut bara gamm band kar ruksat bhi ho jati hai.

kush khabri kia sunani thi mamo kahne lage ke ali ny shadi ka fasla karliya hai ya sun kar sab ke chary kushi sy khil uthy sundas ki mama ny jab bahi sy pucha ke kon hai wo jo hamary ali ka intikhab hai apni mama ki ya baat sun kar sundas apni dharkano or kisi Aanjani si kushi ki kafiyat sy wahain sy uth kar jany lagi kuch kadam hi chali thi ke us ke kadam tahar gay kyon ke us ki samaton sy jo naam takraya wo uska tu na tha wo tu sundas ki czn hina ka tha.mamo ny kaha ke ali ny hina sy shadi karne ka fasla kiya hai izhar kiya hai tu maine un ka rishta tay kardiya.sundas ki mama khud bahut kush hoi.wo sundas ke jazbon sy shayad ab talak na wakif thi Aanjan thi.
 
  • Like
Reactions: Oheenatk

adnan1

Senior Member
Dec 1, 2013
563
347
213
Aab sudas raat ka intizar karne lagi apne Aansuon ko Zabt kiya ali k room mai chaly gai or ali ki neghao mai apne liya wohi pyar dhona chaha jo Aaj sy kuch dino phaly tak us ka maan tha.

magar Aafsos wahain AajNebiyat ke saaye ab bhi us ka intizar kare thy.
sundas ne pucha ali tum tu mujse pyar karte thy tu hine kase tumhari zindagi mai Agi.is se phaly ke sudas kuch or khati ali ne kaha sirf itna jan lo hamare darmiyan jo kuch tha wo sirf unsiyat thi us ka Aahsas mujhe jab howa jab maine hine ko dekha jab maine usse baatine ki tu wo larki nahi jaise muj jaisa ek Aaysa Aahsas hai jis ki mujhe sirf o sirf talash thi wo mari such ka mehwar hai or mari such ka mehwir tu sirf o sirf hine hai wohi tu hai jise mai suchta tha wohi tu hai jise mai chata tha wohi tu hai jis ki mai ne hamesha khawaish ki thi ek lamhe ko mujko yun laga tha jaise wo tum ho lakin shayad mai galat tha balke nahi main sara ser galat tha tum mari bahut Aachi dost ho.lakin wo jo mari duniya ki shazhadi hai jo mallika hai jo pari hai wo tu sirf hine hai sundas ko Aaj Aapne ghar ke sanaty mahsus howe wo diya jo jala hi nahi tha jise wo dil ke taek par sajana chati thi wo uska tha hi nahi magar itne duhk main ushai Aaj koi dard mahsus na howa us ki such mai jo chera ubrah wo tu hassan ka tha us ka dil us pal mai giraftar tha jab ishi tarhai usne kisi ka dil tora tha or wo ek lafz na kah saka tha us ki bhegi Aankho mai kitni iltijain kitne sawal thy wo kyon hassan ke aansoo ka jawab Aaj khud sy mangne lagi ushai kis ne haq diya tha ke wo kisi ke jazbon ka mazaq banay wo bhol kar bhi hassan ki bhegi Aankhon ko nahi bhola parahi thi Aaj ushai bahut shiddat sy koi yaad Aaya ek Aaysa shakhs jis ki Aankho mai bahut Aansoo bharne lage thy motiyon ki tarhain chamak ne lagte thy jis ne jate waqt ek lafz bhi na kaha Aaj roota howa wohi shakhs bahut yaad Aaya

Aj rota hua 1 shakhs bahut yaad aaya,
Achcha guzra hua kuch waqt bahut yaad aaya,
meri aankhon k har ashk pe rone wala,
aaj ye aankh jab royi to bohut yaad aaya
Jo mere dard ko seene mein chupa leta tha,
Aj jab dard hua muj ko to bahut yaad aaya,
jo meri aankh mai kajal ki tarah rehta tha,
aaj kajal jo lagaya to bohut yaad aaya,
jo mere dil ke tha qareeb faqat,
ussi ko aaj jab dil ne bhulaya to bohut yaad aaya…


sundas kahan dhoondti ab us joker ko ab us shakhs ko jis ke kapry bahut ghadle thy bahut melay thy bahut bare bare kurty thy jo joker tha jis ki wafain sachi thi ab us rah par tu koi uska muntazar na tha.

kuch hi rooz main ali ne apni naayi zindagi ka Aagaz kiya
 
  • Like
Reactions: Oheenatk

adnan1

Senior Member
Dec 1, 2013
563
347
213
sundas Ali ke naam ke Aansoo bahana nahi chati thi kyon ke wo apna ek bhi jazba us ke naam na karti ya shaid us ke naam karna nahi chati jis ki nighaon ne muhabaat or unsiyat ke faraq main tamiz na ki ab lakh jhonke khushboo ka paigam late wo to us kurbat ki talabgar thi jis mai sachai or muhabaat ki mehak thi ushi wajod ki jis ke kurb sy uthne wali mehak usne badboo jan kar raad kardiya tha wo to banawat se Aanjan tha.

ab sundas ki zindagi mai parne wali silwate kon dor karta kon un Oorak ki tharir samjhata jin Oorak ko sundas ny khud apni zindagi se phar kar hawaon ke supard kardiya.wo kisi ke dil ke tukde kar ke uraya rahi thi shaid duniya walon ko hawaon ka ruhk bata rahi thi.sudas ko Aahsas howa ke us ke dil ke karib tu hassan ne jaga banai thi tabhi tu us ke kho jaane par uski nigahyen uski mutalashi thi.

kabhi kabhi koi Aapna na hokar bhi kitna apna sa ho jata hai Aaj wo hassan ke kho jane ka Aahsas or muhabaat ki kirchiyon ko chunte chunte apni ungliyon ke pore zakhmi kar bethi thi kahin rat jagon ko Aankho mai liya rayt ke gharonde banai bathi thi wo aj pher kisi Aahat par ekdum se piche mur kar dekhne lagti.pher kisi rasty par koi chalta kahin koi Aahat koi Aawaz Aati wo guzarte guzarte mur kar dekhti k shayad wo chera wo mutalashi Aankhy muntazri nighain pher se nazar Aajai ....!

Hazar rahein mud ke dekhin
Kahin se koi sada na aayi
Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

Jahan se tum mod mud gaye the
Ye mod ab hi wahin pade hain
Hum apne pairon mein jaane kitne
Bhanwar lapete hue khade hain

Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

Hazar rahein mud ke dekhim
Kahin se koi sada na aayi
Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

do pal ki kushiyan thi ek pal tha kushi ka.
pher ek pal main itne dard mil gai shikwa zindagi se nahi shikwa us ek pal se tha jo tha tu bahut hasin lakin thara bhi nahi us ek pal ne kitni bagawat ki us ek pal ne kitna zulm kiya us ek pal mai zindagi kia hogi us ek pal ne zindagi ne sab kuch cheen liya us ek pal ne zindagi ki sari kushiyan cheen li..........!

Ek Pal Mein Hi Apni Zindagi Kya Se Kya Ho Gayi
Tere Mere Rishte Ko Jaan Kiski Nazar Lag Gayi
Tera Maasoom Chehra Yaad Aayega Har Pal Mujhe


yakinan wo masoom sa chehra wo masoom si nighain wo namnak nighain jin mai kuch Aansoo tearte thy jin ki parwa tak na ki.....!

THE End.........!
 
  • Like
Reactions: Oheenatk
Top