Ye achi parda dari hai, ye achi raaz dari hai
Jo aye tumhari bazm main deewana ho jaye
Tu ne deewana banaya tu main dewana bana
Ab mujhe hosh ki dunya main tamasha na bana
Main apni aah k sadqe k meri aah main bhe
Teri nigaah k andaaz paye jaate hain
Yousaf-e-Misr e tamana tere jalwon pe nisaar
Meri bedaarion ko khwab-e-Zulekha na bana
Teri soorat se nahe milti kisi ki soorat
Ham jahan main teri tasveer liye phirte hain
Zauq-e-barbadi e dil ko bhe na kar tu barbaad
Dil ki ujri hui bigri hui dunya na bana
Ishq main deeda o dil sheehsa o paimana bana
Jhoom k baith gaye ham wahin mai kahan bana
Tu mila bhe hai, tu Juda bhe hai tera kya kehna
Tu sanam bhe hai, tu khuda bhe hai, tera kya kehna!
Ye tamana hai k azaad-e-tamana he rahoon
Dil-e-mayoos ko manoos-e-tamana na bana
Jo bahaar ayee mere gulshan-e-jaan se ayee
Khak-e-dhair main ye baat kahan se aye
Nigah e naaz se poochen ge ye kisi din Zaheen
Tu ne kya kya na banaya, koi kya kya na bana?
Ab mujhe haosh ki dunya main tamasha na bana
Tu ne dewana banaya tu main deewana bana!