Ab ke baras

  • Work-from-home

AJMERI11

Active Member
Apr 6, 2011
189
46
178
mere rab ne ye kiya mujhpe karam abke baras
jaagti aankhon se dikhlaya haram abke baras

muddaton dil mein madine ki tamanna machli
meharbaan mujh pe hue shaah-e-umam abke baras

gaib se hoti rahi rahnumayi meri
haasil zeest tha har ek kadam abke baras

acche logon ko hamesha se raha saath magar
allah walon se badhi raah-o-rasam abke baras

yoon to duniya ke liye aankhein bahut royi magar
aakhirat ke liye aankhein hui nam abke baras


---------- Post added at 02:41 PM ---------- Previous post was at 02:35 PM ----------

duniya ko apne badan ke liye aur aakhirat ko dil ke liye apnao
apne liye duniya mein maal -daulat jama na karo kyunki yahan to keede kha jaate hain jang lag jata hai ,chor chura le jate hain. Isliye apne waaste aasmaan par maal (nekiyan) jama karo jahan use keede makode nuksaan nahin pahuncha sakte,jang bhi nahin lagega,koi chor chori bhi na kar sakega.jahan aadmi ka maal rehta hai uska dil bhi wahin laga rehta hai. Isliye apna maal aakhirat bank mein jama karo taaki dil bhi aakhirat se laga rahega
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~
Top