Aapka Manzar Apaki Kahani( 21st November 2013)!

  • Work-from-home

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
Assalam o Alaikum
meri khud ki likhi hy chori nhi ki hy baS admi bn k kahani muhskil thi
Mairi Khuwahishat Hain Qatail
Subha hoti hai sham hoti hai
uumr yunhi tamam hoti hai
insan jab kbi tanha bethy to kaheen na kaheen chalti hwaen usy mazi me kheench k ly hi jati hen phir mazi par sy jami dhool or gard aesy saf hojati hy jesy koi behty pani ka chasma tanhai me akar yaadon ki purani ghanten khulti hen kuch to insan ko hansa deti hen kuch rula deti hen par mera maazi bohat mjhy sanp ki tarah katta hy Q k meri ghaltiyaan maufi k Qbil nhi :( Q K me wo badnaseeb insan hun jis kbi kisi ki Qadar na ki meri maa maan jo khud sy pehly mujhy khilati mujhy sehlati meri naz nakhry uthati raat bhar jaag k mujhy kahaniya or loriyaan sunati meri ah py us ki ankhon ka num hona ghreebi me ameeri k ashaish dena mery liye tarpna mujhy duen dena me meri ma hi meri jnnat mery walid duniya k sub sy naik admi ghreeb maari hony k bawajood mujhy parhaya likhaya ek acha insaan banny ki taleem di jinho no mery liye apni sub khuwahishat ko maar diya par yahan kuch alag hy meri khuwahishat ny to un ko hi maar diya
meri ek hi rat thi ami mujhy is ghreebi sy nijat chahye me bara admi bnouga pesy k liye me kuch bhi ka joan mery nazdeek pesa hi sb hy agar me bara admi bn gaya to hmary halat phir jaengy abba ko roz jungle me mara mara na phirna parega tum smjho or mujhy pesy do kahan sy bhi par me koi smjhota nhi karunga agar aap ny mana kiya to me turk e taluq dunga hmesha aap or abba mery sath ghalat karty hen agar mujhy aesi behsi ki zindagi deni thi to mujhy bachpan me hi maar dety par yeh zindagi sy me khush nhi hun :
meri maa mohobbat sy labrez or sar py hath pherty huy kehti beta Allah ko jo log bohat piyary hoty hen wo unki bohat azmaeh leta hy Q k wo janta hy k yeh sabar karny waly hen tum na shukri mat karo tumhy hmari baaten buri lagti hen par unki taseer shehad sy bhi meethi hy tumhary bhally k liye kehty hen Allah ko dolat k pujari log pasand nhi hen jub hum na rahy to tum yaad karogy koi kaam chata bara nhi hota agar aesa hota to tum kbi parh likh na paty hm to ghreeb hen hmary pas duaaon k siwa kuch nhi hy
bas ammi baS karen aap mujhy hmesha kahaniya mat sunaya karen meri zindagi azab ap dono ny ki hy mujhy kya diya apny kuch nhi diya aap kya chahti me bhi jungalon me parindy pakrny nikal jaon is acha tha gawar hota to yun azab na jhelta me aap logon ko aram dena chahta hun par khud ko sooli py chara k nhi abba ji ny kuch nhi kiya din bhar parinday pakrny me kya mahart hy us sy hm kitny ameer huy kuch nhi mery paas kya aram hy kuch nhi
chordo do begum ab hmara beta bara hogya hy or saHI baat to hy hm ny kuch nhi diya isy beta meny koi maharat ka kam nhi kiya kaash me kuch kar pata
theeak kehty hen aap hmara bacha ab smjhdar hogaya isy ab hmari koi zrort nhi hy wesy bhi jahan dolat ki khuwahishat ghar bnaly wahan apno ki keemat kam hojati beta hm aaj hen kal nhi hungy zindagi boht choti hy yeh tumhary baap ka thela hy is me kuch sman hy tum rakhlo kya pata kaam ajaye shyad tub tum hmy smjho jeety raho bohat raat hogie hy so jana chahiye aaj ki raat neend ko ankho me samana hy
ami aap log yun har baat tal dety hen nafrat hy mujhy bohat nafrat hy
agly din aesi neend smayi k meri jannat or shafqat mujhsy rooth k bohat door chali gyi chand din to ghreeb khany me majood cheezon py guzara kiya par jub pet ko lagi or achi mulazmat na hony py abba ka thela uthaya to peron taly zameen na rahi mery abba ki digrees mpphill kiya tha unho ny par apny halat sy smjhota kar k sbar ka goont piliya or mery liye sb acha karny ki koshish ki bas me hi smjh na paya kya unk koi aman na thy kya unki koi khuwahish na thi bohat pachtawa hy mujhy kaash me wo sb na kehta na apny maa baap ka dil dukhata to aj meri jannat mery pas hoti meri shafqat paas hoti kaash me waqif hota kash meri khuwahishat katil na hoti bara zalim hy mera mazi
 
فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
Ye Rahi Meri Sharing...
Main Aur Meri Tanhayi..!!
Aaj bhi jab tanha baith ta hoon toh khayal aata hai ke kaash mera bhi koi saathi hota,jisse main apne dili jazbaat bant ta,uski khushi main khush hota aur uske ghum main afsurda.
Jawani main toh bohat se mawaqay aaye,har cheez mayassar thi,
Daulat ,Shaohrat ,itraaf main haseeno ka majma,apno ka pyaar aur dost wo ahbaab ka saath.Magar in tamam baaton par bas aik hi lafz ghalib aajata hai,,
Kaash......!!
Aey kaash ke us waqt jab sab kuch sehel tha,jab sab meri dastaras main tha tab hi aik adad naik hamsafar chun leta toh Main aur Meri Tanhayi yun tanha na hotay.Agar us waqt hi daulat ko ache kaamo main istemaal karta ,apne baap ka kehna maan kar use naik kaamon main lagata,toh shayad kisi ghareeb ki dua hi lagty,
aur aaj is waqt ye ghurbat mera muqaddar main na hoyt,meri tanhayi baantne k liye is kursi ke ilawa shayad koi ze-nafs bhi majood hoti .
Daulat bhi mayassar thi ,
shohrat bhi mayassar thi
us dor-e -jawani main,
har cheez mayassar thi
Tha dor -e- jawani jab,
kuch ho na saka mujhse
Ab baith k tanha main,
afsos hi karta hoon
Aey kaash ke us waqt mene,
kuch kaam kiye hote
to aaj Main Aur Meri Tanhayi,
yun tanha na hotay.
hmmmmmm boht pyari nazm likhi hai mashAllah
 
*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi

nice sharing :):)
 
*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Assalam o Alaikum
meri khud ki likhi hy chori nhi ki hy baS admi bn k kahani muhskil thi
Mairi Khuwahishat Hain Qatail
Subha hoti hai sham hoti hai
uumr yunhi tamam hoti hai
insan jab kbi tanha bethy to kaheen na kaheen chalti hwaen usy mazi me kheench k ly hi jati hen phir mazi par sy jami dhool or gard aesy saf hojati hy jesy koi behty pani ka chasma tanhai me akar yaadon ki purani ghanten khulti hen kuch to insan ko hansa deti hen kuch rula deti hen par mera maazi bohat mjhy sanp ki tarah katta hy Q k meri ghaltiyaan maufi k Qbil nhi :( Q K me wo badnaseeb insan hun jis kbi kisi ki Qadar na ki meri maa maan jo khud sy pehly mujhy khilati mujhy sehlati meri naz nakhry uthati raat bhar jaag k mujhy kahaniya or loriyaan sunati meri ah py us ki ankhon ka num hona ghreebi me ameeri k ashaish dena mery liye tarpna mujhy duen dena me meri ma hi meri jnnat mery walid duniya k sub sy naik admi ghreeb maari hony k bawajood mujhy parhaya likhaya ek acha insaan banny ki taleem di jinho no mery liye apni sub khuwahishat ko maar diya par yahan kuch alag hy meri khuwahishat ny to un ko hi maar diya
meri ek hi rat thi ami mujhy is ghreebi sy nijat chahye me bara admi bnouga pesy k liye me kuch bhi ka joan mery nazdeek pesa hi sb hy agar me bara admi bn gaya to hmary halat phir jaengy abba ko roz jungle me mara mara na phirna parega tum smjho or mujhy pesy do kahan sy bhi par me koi smjhota nhi karunga agar aap ny mana kiya to me turk e taluq dunga hmesha aap or abba mery sath ghalat karty hen agar mujhy aesi behsi ki zindagi deni thi to mujhy bachpan me hi maar dety par yeh zindagi sy me khush nhi hun :
meri maa mohobbat sy labrez or sar py hath pherty huy kehti beta Allah ko jo log bohat piyary hoty hen wo unki bohat azmaeh leta hy Q k wo janta hy k yeh sabar karny waly hen tum na shukri mat karo tumhy hmari baaten buri lagti hen par unki taseer shehad sy bhi meethi hy tumhary bhally k liye kehty hen Allah ko dolat k pujari log pasand nhi hen jub hum na rahy to tum yaad karogy koi kaam chata bara nhi hota agar aesa hota to tum kbi parh likh na paty hm to ghreeb hen hmary pas duaaon k siwa kuch nhi hy
bas ammi baS karen aap mujhy hmesha kahaniya mat sunaya karen meri zindagi azab ap dono ny ki hy mujhy kya diya apny kuch nhi diya aap kya chahti me bhi jungalon me parindy pakrny nikal jaon is acha tha gawar hota to yun azab na jhelta me aap logon ko aram dena chahta hun par khud ko sooli py chara k nhi abba ji ny kuch nhi kiya din bhar parinday pakrny me kya mahart hy us sy hm kitny ameer huy kuch nhi mery paas kya aram hy kuch nhi
chordo do begum ab hmara beta bara hogya hy or saHI baat to hy hm ny kuch nhi diya isy beta meny koi maharat ka kam nhi kiya kaash me kuch kar pata
theeak kehty hen aap hmara bacha ab smjhdar hogaya isy ab hmari koi zrort nhi hy wesy bhi jahan dolat ki khuwahishat ghar bnaly wahan apno ki keemat kam hojati beta hm aaj hen kal nhi hungy zindagi boht choti hy yeh tumhary baap ka thela hy is me kuch sman hy tum rakhlo kya pata kaam ajaye shyad tub tum hmy smjho jeety raho bohat raat hogie hy so jana chahiye aaj ki raat neend ko ankho me samana hy
ami aap log yun har baat tal dety hen nafrat hy mujhy bohat nafrat hy
agly din aesi neend smayi k meri jannat or shafqat mujhsy rooth k bohat door chali gyi chand din to ghreeb khany me majood cheezon py guzara kiya par jub pet ko lagi or achi mulazmat na hony py abba ka thela uthaya to peron taly zameen na rahi mery abba ki digrees mpphill kiya tha unho ny par apny halat sy smjhota kar k sbar ka goont piliya or mery liye sb acha karny ki koshish ki bas me hi smjh na paya kya unk koi aman na thy kya unki koi khuwahish na thi bohat pachtawa hy mujhy kaash me wo sb na kehta na apny maa baap ka dil dukhata to aj meri jannat mery pas hoti meri shafqat paas hoti kaash me waqif hota kash meri khuwahishat katil na hoti bara zalim hy mera mazi
@NamaL @Fa!th @Sana_20 @huny @Advocate @RedRose64 @Miss_Tittli @marib @Azeyy @Chaya @yoursks @Pari @Star24 @fareena_01 @shzd @Haya_Fatima @fdmemon @Fanii @Fa3tH @Asif_Khan @Hoorain @Sarlaa_Siddaqui @Haya_Fatima @Mahen @Don @Shiraz-Khan @Pakistani_angel @Iceage-TM @shzd @Pari
awsome sharing :)
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Aisa waqt har kisi par ataa hai
Ek Din ,main Apni Beti Ko TRip Par Lekar gayaa tha Taake main Use Dikha Sakon K Ghareeb Log Kaise Rahte Hain,
mene or meri beti ne Apna Waqt Ek Ghareeb family K Farmhouse main guzara Aur Wahan Kuch Din Rahne Ke Baad Jab me Aur meri Beti Ghar K liye niklay thy Toh mene Raaste Me apni Beti Se Poocha
Kya Tumne Dekha, We Kitne Ghareeb Hain ?
Tumne Isse Kya Seekha ??
meri Beti ne kaha
"Hamare Paas Swimming Pool Hai, Unke Paas Nadiyan (Rivers) Hain,
Hamare Paas Raat Ke Liye Lantern Hai, Aur Unke Paas Sitaare (Star),
Ham Khaana (Food) Khareedte Hain Aur Wo Ugaate Hain,
Hamari Hifaazat Ke Liye Diwaaren Hain, Aur Unke Paas Dost (Friends)
Hamare Paas Encyclopedia Hai, Aur Unke Paas Padhne Ko Quraan,"
phir meri beti ne kaha
"Shukriya Dad , Mujhe Dikhaane K Liye K Ham Kitne Ghareeb Hain"
Sirf Paison Se Hi Aadmi Ameer Nhi Ho Jaata, Allah Ki Zaat Ke Aage Hamari Auqaat Sirf Ek Faqeer Jaisi Hai
meri beti ne mujhy sekha dia k jeeny ka asal maqsad kya hai
aaj mujhy ehsaas hai k gareebi kesy kehty hen bura waqt har kisi par ata zindagi me kbi bhi apni dolat or shuhrat par garoor nhi karna chahiye qk bura waqt any me dair nhe lagti
@NamaL @Fa!th @Sana_20 @huny @Advocate @RedRose64 @Miss_Tittli @marib @Azeyy @Chaya
nice sharing :)
 
H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
thanks Hoorain for tagging me in...
thou kahani likhna yaa kisi manzar ko alfaz me biyaan karna mushkil kaam he.. but i wd give it a shot..
previous members ne to TM ke aala miyaar ko qaem rakhty hue apni apni kawish ki he.. all above sharing r awesome.

lets see :)

Title is : "Dard-e-Dil, Dard-e-Jigar..."

bahut dinon ki baat he sar-e-shaam apney ghar ke nazdeek waly park me chahel qadmi karty hue nazar ek bazurg aadmi par ja pari..
jo ek bench par akaila baitha khala ki wus'haton me jany kya dhoondney ki sahi-e-nakam kar raha thaa..
jee me aaya ke paas ja kar poochon ke badey miyan kisi pareshai me to mubtala nahi hen..
ek lamhey ko thathka ke kahin mere shauq ko bazurgawar gustakhi na samjhen, magar dil ne himmat badhai ke kya hua agar koi kadwi kaseeli baat keh b di to.. ho sakta he koi sabaq aamoz dastan suna hi den..
darty darty un ke pas poncha aur youn goya hua.. " hazrat agar dakhal dar-na-mahqool na samjhen to aap ke pas beth jaon?"
bazurg aadmi ne ek nazar meri taraf dekha aur khali aankhon se goya "i dont care" ka ishara de diya..
kuch tamheed bandney ke baad me ne poocha " kafi der se aap ko aisey bethy dekh raha hon.. khuda na khwasta koi pareshani to nahi he? "
bazurg aasman ki janab se nigah hata kar muj par markooz karty hue goya muskara diye .. aur bole.." miyan sahabzade, jis ki sari zindagi kabi hospital aur kabi police station ke chakkar lagaty guzri ho.. us ko bhala kya pareshani ho sakti he?"
ek lamhey ke liye to me gadbadaa sa gya.. ke bhala ab kya jawab don.. aur guftagoo ko kaisey aagey badhaon.. magar phir jab un ki aankhon me dekha to .. wahan basi veerani ne muje andar tak jhanjhodd diya..
me ne poocha.. "bazurgawar, kuch to farmaiye.. majra ky ahe..?"
badey miyan muskaraye.. aur boly.. "chorro miyan.. jab apney is dunya me chorr gye to ghairon se apny dukh kya biyaan karna. bas Allah par aas he.. wo to dekh raha he aur sab janta he.. us ne jo aazmaeshen dali hen.. wohi tamam dukhon ka madawa b kare ga.. "
muje bahut hairani hui ke badey miyan kafi suljhey hue aur padhey likhy lag rahy thy .. magar phir is haal me yahan kyun bethy hen..
so ek baar phir himmat kar ke poocha.. "agar ap ko nagawar na guzre to zaroor share kijiye.. ke bantney se dukh kam aur khushiyan badhti hen.. aap ke mazi ya mustaqbil ki takleefon ka to me shayad kuch na kar sakon magar abhi ki pareshani ka shayad koi hal nikal aaye."
bazurg aadmi muskaraey.. aur kaha " budhapa bazat e khud bahut bada dukh he.. jawani me to muej hosh nahi tha ke kis dagar par chal raha hon.. apney badon ki naseehaten ek kaan se dal kar doosrey se nikalna mera shewa tha.. magar jawani ke bhoot ab budhape me peecha karty hen.. budhapey ki waja se biymarion ka ghalba rehta he.. aur latest news yeh he ke mere sar me aur jodon me shadeed dard he.. aur doctor kehta he ke aap ko 1 week poora injections lene paden ge.. aur muje bachpan se hi injections se khauf aat ahe.. agar meri madad karna chahty ho to meri jaga injections tum le lo.. "
yeh sun kar to mere rahey sahe ausaan b khata ho gye.. kyunke injections se to meri b jaan jati he.. bazrurgawar ko yeh keh kar chala aaya ke "Himmat e Mardan, madad khudaa"
:)
 
  • Like
Reactions: Mahen

faari

Super Star
Nov 13, 2009
6,380
4,321
713
Allama iQbal ki zameen
Assalam o ALaikum
to all TM members aik purana silsla phir sy start kiya hai umeed hai k ap sb enjoy krengy
Jis tara aksar manazir daikh k shayri dimagh may aati hay aur barmala insan koi na koi Shaer parhta hay..
Issi tara kuch log aik manzar pe poori kahani tarteeb daine ka hunar bhi rakhte hain..yahan har hafte aik image diya jaayega us pe sab ko Kuch na Kuch likhna hoga par kahani ki soorat may hona chahiye jo ussi manzar k mutabiq ho....(ye bilkul aisa hoga k aik jaamid image may apne alfaz se aise dikhana hay k parhne waale k dimagh may wo manzar harkat karey ,,
jis k alfaz ziada pur asar hon gaye aur parh k ziada maza aayega wohi us week ka winner hoga/gi)
AUr susti ya nakhrey dikhane ki koi zarurat nhi /:)
image pe aap kuch bhi likh sakte hain apni marzi se,, chahey to tanz-o-mazah ho ya sanjeeda sab chalega....
Ye rha ab ka manzar is pe aapko story bnani hay!
RULES:
1. Manzar likhne se pehle uska Mozu (title)bhi bnayain gaye,,, Mozu jitna pur kashish ho manzar utna hi jaandar lagega...
2, poori kahani sirf Urdu(language not font) may ho....
3. Kahani submit karwane ki last date 30th November 2013 hay INSHAALLAH!

4. Sab apni apni kahani issi thread may share karain gaye aur apni khanai k saath Ye image bhi post karain gaye!
main un ka tha hi kon

aj wo guzry hoye dinoo ko yaad kr k buhat roo rha tha lkn waqt hamesha eik sa nae rehta eik waqt wo tha jb
us ki Ollad aur bivi us k sath thi choty bachy idar udar shoor machaty khelty thy aur wo bary etminaan se
un ki hansi aur sharartoon me mazy ly kr khush hota tha lkn aj us ka sath dene wala koi na tha apne sunsaan
se ghar me eik hasta lakri ki kursi par bethy apne hathoon se apne monh ko chupaye apne haal par roo rha tha
wo shayad apne ap se chup rha tha apni galtiyoon par pashemaan tha jb us ne khud apni bivi aur bachoon ko dar badar
thokrein khane ke lye choor dya tha par aj itne saloon baad apne bachoon ko dekh kr wo tarap utha tha jo usay
pehchanne se inkaar kr rhy thy sahi tu kr rhy thy main un ka tha hi kon jo un ki kisi zaroorat ko pura na kr saka
un eik baap ki muhabbat na de saka aur us waqt un se monh moor lya jb un bachoon ko meri zaroorat thi
sahi kya unhoon ne main un ka kuch nae ,kuch nae main un ka
kabhi apne haal par roo kr chup ho jaon
kabhi guzri yadoon ko apne pass paoon
phir esa ho ke un ko milne k lye taras jaye dil
un ki jaga main kis ko apne pass la kr bithaoon
meri hi galti thi sab jo ane waly waqt ko bhool gya
ab apne hi gunaho'On ka kafara kese kr paoon
ab kaha se laoon etminaan wo kese milli ga sakoon
sach hi tu hai main un ka tha ki kon
@Hoorain @Chaya @sarla_siddiqui​
 
Miss_Tittli

TM Star
Jun 10, 2013
1,632
1,106
163
Aisa waqt har kisi par ataa hai
Ek Din ,main Apni Beti Ko TRip Par Lekar gayaa tha Taake main Use Dikha Sakon K Ghareeb Log Kaise Rahte Hain,
mene or meri beti ne Apna Waqt Ek Ghareeb family K Farmhouse main guzara Aur Wahan Kuch Din Rahne Ke Baad Jab me Aur meri Beti Ghar K liye niklay thy Toh mene Raaste Me apni Beti Se Poocha
Kya Tumne Dekha, We Kitne Ghareeb Hain ?
Tumne Isse Kya Seekha ??n
niMashallah nice sharingmeri Beti ne kaha
"Hamare Paas Swimming Pool Hai, Unke Paas Nadiyan (Rivers) Hain,
Hamare Paas Raat Ke Liye Lantern Hai, Aur Unke Paas Sitaare (Star),
Ham Khaana (Food) Khareedte Hain Aur Wo Ugaate Hain,
Hamari Hifaazat Ke Liye Diwaaren Hain, Aur Unke Paas Dost (Friends)
Hamare Paas Encyclopedia Hai, Aur Unke Paas Padhne Ko Quraan,"
phir meri beti ne kaha
"Shukriya Dad , Mujhe Dikhaane K Liye K Ham Kitne Ghareeb Hain"
Sirf Paison Se Hi Aadmi Ameer Nhi Ho Jaata, Allah Ki Zaat Ke Aage Hamari Auqaat Sirf Ek Faqeer Jaisi Hai
meri beti ne mujhy sekha dia k jeeny ka asal maqsad kya hai
aaj mujhy ehsaas hai k gareebi kesy kehty hen bura waqt har kisi par ata zindagi me kbi bhi apni dolat or shuhrat par garoor nhi karna chahiye qk bura waqt any me dair nhe lagti
@NamaL @Fa!th @Sana_20 @huny @Advocate @RedRose64 @Miss_Tittli @marib @Azeyy @Chaya
 
فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
main un ka tha hi kon

aj wo guzry hoye dinoo ko yaad kr k buhat roo rha tha lkn waqt hamesha eik sa nae rehta eik waqt wo tha jb
us ki Ollad aur bivi us k sath thi choty bachy idar udar shoor machaty khelty thy aur wo bary etminaan se
un ki hansi aur sharartoon me mazy ly kr khush hota tha lkn aj us ka sath dene wala koi na tha apne sunsaan
se ghar me eik hasta lakri ki kursi par bethy apne hathoon se apne monh ko chupaye apne haal par roo rha tha
wo shayad apne ap se chup rha tha apni galtiyoon par pashemaan tha jb us ne khud apni bivi aur bachoon ko dar badar
thokrein khane ke lye choor dya tha par aj itne saloon baad apne bachoon ko dekh kr wo tarap utha tha jo usay
pehchanne se inkaar kr rhy thy sahi tu kr rhy thy main un ka tha hi kon jo un ki kisi zaroorat ko pura na kr saka
un eik baap ki muhabbat na de saka aur us waqt un se monh moor lya jb un bachoon ko meri zaroorat thi
sahi kya unhoon ne main un ka kuch nae ,kuch nae main un ka
kabhi apne haal par roo kr chup ho jaon
kabhi guzri yadoon ko apne pass paoon
phir esa ho ke un ko milne k lye taras jaye dil
un ki jaga main kis ko apne pass la kr bithaoon
meri hi galti thi sab jo ane waly waqt ko bhool gya
ab apne hi gunaho'On ka kafara kese kr paoon
ab kaha se laoon etminaan wo kese milli ga sakoon
sach hi tu hai main un ka tha ki kon
@Hoorain @Chaya @sarla_siddiqui​
wowwwwwwwww what a heartouching and beautiful poetry u wrote
 
  • Like
Reactions: faari

nice shring thnks
 
Top