Aapka Manzar Apaki Kahani( 21st November 2013)!

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Assalam o ALaikum
to all TM members aik purana silsla phir sy start kiya hai umeed hai k ap sb enjoy krengy
Jis tara aksar manazir daikh k shayri dimagh may aati hay aur barmala insan koi na koi Shaer parhta hay..
Issi tara kuch log aik manzar pe poori kahani tarteeb daine ka hunar bhi rakhte hain..yahan har hafte aik image diya jaayega us pe sab ko Kuch na Kuch likhna hoga par kahani ki soorat may hona chahiye jo ussi manzar k mutabiq ho....(ye bilkul aisa hoga k aik jaamid image may apne alfaz se aise dikhana hay k parhne waale k dimagh may wo manzar harkat karey ,,
jis k alfaz ziada pur asar hon gaye aur parh k ziada maza aayega wohi us week ka winner hoga/gi)
AUr susti ya nakhrey dikhane ki koi zarurat nhi /:)
image pe aap kuch bhi likh sakte hain apni marzi se,, chahey to tanz-o-mazah ho ya sanjeeda sab chalega....
Ye rha ab ka manzar is pe aapko story bnani hay!
vincentvangoghfinalpaintings1.jpg
RULES:
1. Manzar likhne se pehle uska Mozu (title)bhi bnayain gaye,,, Mozu jitna pur kashish ho manzar utna hi jaandar lagega...
2, poori kahani sirf Urdu(language not font) may ho....
3. Kahani submit karwane ki last date 30th November 2013 hay INSHAALLAH!

4. Sab apni apni kahani issi thread may share karain gaye aur apni khanai k saath Ye image bhi post karain gaye!
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Assalam o ALaikum
to all TM members aik purana silsla phir sy start kiya hai umeed hai k ap sb enjoy krengy
Jis tara aksar manazir daikh k shayri dimagh may aati hay aur barmala insan koi na koi Shaer parhta hay..
Issi tara kuch log aik manzar pe poori kahani tarteeb daine ka hunar bhi rakhte hain..yahan har hafte aik image diya jaayega us pe sab ko Kuch na Kuch likhna hoga par kahani ki soorat may hona chahiye jo ussi manzar k mutabiq ho....(ye bilkul aisa hoga k aik jaamid image may apne alfaz se aise dikhana hay k parhne waale k dimagh may wo manzar harkat karey ,,
jis k alfaz ziada pur asar hon gaye aur parh k ziada maza aayega wohi us week ka winner hoga/gi)
AUr susti ya nakhrey dikhane ki koi zarurat nhi /:)
image pe aap kuch bhi likh sakte hain apni marzi se,, chahey to tanz-o-mazah ho ya sanjeeda sab chalega....
Ye rha ab ka manzar is pe aapko story bnani hay!
RULES:
1. Manzar likhne se pehle uska Mozu (title)bhi bnayain gaye,,, Mozu jitna pur kashish ho manzar utna hi jaandar lagega...
2, poori kahani sirf Urdu(language not font) may ho....
3. Kahani submit karwane ki last date 30th November 2013 hay INSHAALLAH!

4. Sab apni apni kahani issi thread may share karain gaye aur apni khanai k saath Ye image bhi post karain gaye!
Wooww..
Inshallah Zaroor hare karungi..:)and prize kya milega..:p @Sarlaa_Siddaqui siso..
 
  • Like
Reactions: Sarlaa_Siddaqui

HorrorReturns

Banned
Mar 27, 2013
6,009
1,093
163
meri yeah kahani shamil kr do... agr yeah wala thread nhi hai tau uss ko relative thread main daal do

ایک خوفناک ناک واقعہ

ایک دفعہ میں ایک کرسچن قبرستان سے گزر رہا تھا رات کا وقت تھا ایک اچانک قدوموں کی آہٹ سنائی دی پھر میں نے پچا مڑھ کر دیکھا تھا کوئی نہ تھا پھر ہر طرف سے آہٹ آنا شروع ہو گئی -- میں باگا جس طرف باگتا تھا اس طرف سے آواز اتی تھی کوئی پچھل پھری پیچھا کر رہی تھی -- باقی بعد میں سناؤں گا
:oops:
 

Guriya_Rani

❥❥ღ ☆º ❥❥SuB Ki LaAdAli GuRiYa❥❥ღ ☆º ❥❥
VIP
Oct 18, 2013
24,325
8,905
1,313
w.alakum salaaaaam kya {(thinkg)} cartoon pe story bnani hai {(oh0(}
 

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
Walaikum slaam @Sarlaa_Siddaqui aunty nice thread :-bd
wil particpate insha Allah :)
kya yeh urdu writing me share karna hai ya romon txt me {(thinkg)}
or agar rumon na hua to kesy karengy :p {(thinkg)}
 

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
hi frndz this is my sharing please bataiye ga zarur kaisi lagi meri sharing kahani ka unwaan hai

Kursi Pe Betha Hoa Ek Ghareeb Burha...
purane waqton ki baat hai kisi ghar main ek burha admi rehta tha bechara itna ghareeb tha ke har waqt neele colur ka ek hi jora pehne rehta tha
burhape ki waja se bechare ke sar ke aadhe baal bhi ur chuke the or uske ghar pe ek kursi b thi lakri ki or brown colur ki
bechara jab b ghar aata tha ussi kursi per hi beth jata tha or apne halaat ke bare main sochta rehta tha ke akhir kaise theek honge mere halaat or yeh gham uss bechare burhe ko din raat deemak ki tarha khaye ja raha tha
or abi abi maine note kya to pta chala bechara burha to itna ghareeb tha ke uske dono shoes bhi alag alag the
i mean dono shoes ko ghor se dekhen to left wale paon ka juta chota or right wale paon ka juta bara nazr arha tha or designe main b farq tha
kher jo b ho wo to ghareeb tha na or ghareeb log aise hi to hote hain
to ek dafa ka zikar hai woh burha routine ke mutabiq ghar per apni brown colur ki kursi pe betha hoa tha or apne halaat ka jaiza le rha tha ke achanak kahin se dhool mitti urti hoi ayi or uski ankhon main chali gayi
bechara burha dono haathon se apni aankhen chupa leta hai bilkol jaisa pic main nazr arha haina ap logon ko same ussi tarha
or jaise hi wo burha apni aankhon se haath uthata hai to us bechare ki beenayi hi chali jati hai or usko kuch nazar hi nhi arha hota yeh sara majra dekh kr to uske pairon tale zameen hi nikal jati hai
or wo zor zor se chillane lagta hai bachaoooooo bachaooooooo
yeh shor sharaba sun ker aas paros ke log bhagte hoye aate hain or uske ghar ka kibara khatkhatane lagte hain or bechara burha tatool tatool ker darwaze ki tarf jata hai or jaise hi darwaza kholta hai foren hi usse chakkar ajate hain or wo girta hai or behosh hojata hai
bechare parosi usko utha ker hospital main le jate hain or sara maajra doctor ko sunate hain itna dukh bhara maajra doctor jab sunta hai to uski aankhon main aanso ajate hain or woh elaan krta hai ke is burhe ka ilaaj wo free main karega ye sun ker parosiyon ki aankhon main b khushi ke aanso ajate hain or wo thank u doctor sahab keh kr hospital se nikal jate hain
lekin qismat dekhen us burhe ke bure din abi khatam nhi hoye the jaise hi doctor uska free ilaaj shoro karta hai achanak se police ati hai or doctor ko kisi mareez ko ghalt davai de kr halak krne ke jurm main giraftar kar ke le jati hai
ab bechara burha hospital main be yaro madadgaar para hota hai or apni bachi kuchi zindagi ke din gin gin ker kaat raha hota hai ke achanak hi kisi admi ki nazar us burhe pe parti hai uske dil main hamdardi ka jazba paida hojata hai or woh us burhe ki madad karne ki thaan leta hai
or phir wo farishta sift insan apne kharche per us burhe ka ilaaj karwata hai or is tarha uska ilaaj chalta rehta hai or ahista ahista us burhe ki beenayi wapis ane lag jati hai or phir us burhe ko pehle ki tarha sab kuch saf saf nazar ane lagta hai or phir wo ek dam theek hojata hai or hospital se usse chutti mil jati hai
or jaise hi wo burha hospital se bahar nikalta hai saamne hi wo farishta sift insan arha hota hai or wo burhe se pochta hai ke apka ghar kahan hai ap kahan rehte ho or apke ghar main kon kon rehta hai
to phir ghareeb burha us farishta sift insan ko apni dukh bhari kahani sunana shoro krta hai or burhe ki dukh bhari kahani ap log ussi ki zubani suniye...

mera asli naam Abdul Quddos hai or hum chaar behen bhai the jab maine aankh kholi to khud ko ek ghareeb ghar main paya
mera baap mehnat mazduri kar ke apne bv bachon ka pait bhara karta tha or aye din ghurbat ki wajah se hamara pura pura din faaqo main guzra karta tha
apne ghar ka yeh haal mujse dekha nhi jata tha isliye ek din maine b apne baap ka baazu banne ki thaan li or apne baap ke sath mazduri karne ghar se nikal para
ittifaq dekhiye abi maine mehnat mazduri shoro hi ki thi or ghar ke halaat thore thore kar ke ache hone hi lage the per qismat ko kuch or hi manzur tha or ek din mera baap mazduri karne gaya to kisi truck wale ne usse takkar maar di or mera baap moqe pr hi jaan bahaq hogaya
yeh khabar hamare ghar main kuhraam ban ker pohonchi or meri maa yeh sadma bardasht nhi kar payi or foren hi usse heart attack hogaya or wo b moqe pr hi jan bahaq hogayi
jaise hi bare bhai ko pta chala ke unke maa baap ab is duniya main nhi bechara ussi waqt hi yeh sadma bardasht na kar pane ki waja se mar gaya
uski laash jaise hi bari behen ne dekhi uski cheekhen nikal gayin or bechari wo b mar gayi
bari behen ki mout ki dekh ker choti behen se b raha na gaya or bechari wo b mar gayi or is tarha is zalim duniya main main akela reh gaya
abi itne sare gham bardasht kar hi nhi paya tha ke malik makan aya or usne kaha ke pichle 6 maah se ap logon ne makan ka kiraya nhi dya isliye hamara makaan khali kardo
or phir maine apne sare kapre ek sandoq main bhare or sandoq pakar ker bojhal qadmon ke sath sheher ki tarf chal para
or sheher main pohonch ker maine ek kamre ka makan kiraye per liya or mehnat mazduri kar ke apna pait paalne laga waqt ka pahiyya dheere dheere chalta raha or main bachpan ki haden paar kar ke jawan hogaya
phir ek din muje ek larki pasnd ayi or maine us se shadi karli or phir Allah ne hamen aulaad ki nemat se nawaza or hum sab hansi khushi rehne lage lekin qudrat ko to shayed kuch or hi manzor tha meri bv ko dimme ki bemaari lag gayi or jald hi wo apne khaliq e haqiqi se jaa mili
or main tanha apne 4 chote chote bachon ka pait bharne ki khatir mehnat mazduri karta raha or unhe paal pos kr bara krta raha
phir bache jab bare hogaye to mere dast e baazu ban gaye or meri tarha mehnat mazduri karne lage
phir bachon ki shadi ka time aya to maine apne chaaron baiton ki shadi bari dhoom dhaam se ki lekin uska anjam yeh hoa ke jab unki biviyan agayin to yeh burha baap unhe bojh lagne laga
mujse yeh sab dekha na gaya or maine wo ghar jo kiraye pr liya tha lekin mehnat mazduri kar kar ke paisa jama kar ke khareed lya tha wo ghar apne bachon ke naam kya or mazeed bojh banna pasand nhi kya or ghar chor ker ek kiraye ka makan le kr rehne lga
pehle pehel to jism main itni taqat mojod b thi ke mehnat mazduri kar ke apna pait bhar lya karta tha per waqt ke sath sath burhapa barhta chala gaya or ab to itni b himmat nhi ke uth kr pani pee sakon
isliye ghar main jo brown colur ki kursi hai uss pe beth kr zindagi ke baaqi din guzarta rehta hn or mout ka intizar karta rehta hon

yeh kahani sun ker to us farishta sift insaan ki aankhon se aanso jaari hojate hain or wo us burhe aadmi se kehta hai ke mere maa baap to mere paida hone se pehle hi mar gaye the lekin unho ne mere liye boht sari dolat chori hai
or meri wife b naik sift aurat hai or mera ek beta b hai lekin baap ki kami hamesha mehsos hoti hai or main chahta hon ke main apka baita ban ker puri zindagi apki khidmat karta rahon isliye plz uthiye or aaj se ap mere ghar pe rahenge jo boht bara hai
yeh sun ker to us burhe ki aankhon main aanso ajate hain or wo us farishta sift insan ko gale lagata hai or uske sath uske ghar chale jata hai jahan per us farishta sift insan ko na sirf ek baap balke uske uske bache ko ek dada or uski bv ko ek susar mil jata hai or phir sab log hansi khushi rehne lagte hain.....Khatam Shud
 
  • Like
Reactions: Haya_Fatima
Top